2 *ignore mistakes* Writer:Wafa Fatima

389 11 0
                                    

PART 2

Me soch rha hu tumhay University dobara join krne du..Yazdan Khan ne kaha
To??Salar ne bezari se kaha
To se tumhari kia murad h??hum pareshan rehte hain hr waqt tumhari taraf se ..Shazain tumhara bara bhai kabhi hum uski taraf se pareshan nhi hote,Nimra tum se choti hokr bhi hamare lie problems nhi create krti or ek tum ho majal h tumhari zuban kabu me rahe..Yazdan Khan ne us se gusse me kaha...wo jese unki aesi baton,nasihato or daant ka aadi hogya tha us ne jawab me kuch nhi kaha or kamre se chala gya....

To arahay ho tum kal se University?Imran ne pucha
Han..Salar ne mukhtasir sa jawab dia
Chalo shukar h......Imran ne lambi sans li..or is bar tum ne professor Hammad se behes ki to wo tumhay University se nikaal denge, aane se pehle kal apni zuban ko tala laga kr aana...Imran ne tanzia andaz me kaha
Wo ghalat hokr bhi agar khud ko ghalat nhi maanenge to me behes krunga samajh gaiee???
Tumhay mujh pe gussa krne ki zarurat nhi h me to sirf itna chahta hu k Jo hum ne plans banaye hain wo hum mil k pure krein...
Han Han theek h ....har 2 min baad tum call krlete ho ab nahi krna kal hi milenge
Acha bhai theek h tum kuch ziada hi straight forward ho lekin........khair kal milte hain Allah hafiz
Bye.

Salar h to musalman hi lekin us k ghar wale ziada mazhabi nhi hain us ne kabhi hi bachpan me Eid ki namaz parhi hogi ,na wo khud koi ibadat krta or na uske ghar wale use kuch kehte , wo raat ko speaker pe gaane lga kr sone ka aadi tha,wo class me top krta tha,khasa aqalmand tha, lekin uski zuban dusron ko ye baat samjhane me rukawat thi;jab wo zuban istemal krta to aqal nhi krta tha halan k jahan aqal istemal krta wahan zuban nhi krta tha,bohat ziada straight forward or saaf go tha use koi farq nhi parta tha k wo Jo bhi keh rha h dusro ko us se takleef to nhi ho rhi us k mu se Jo nikalta wo bina mazrat kie use continue rakhta or dusro ki bilkul parwah nhi krta tha wo sheher me rehta tha

Or dusri taraf Zelish Salar k bilkul opposite thi 5 waqt ki namaz k sath Quran e Paak ki tilawat bhi krti or uske ghar wale bhi kaafi mazhabi the,wo parhai me itni achi nhi thi lekin wo lafzon ki mahir thi Jo us se ghalat baat krta wo use aesa jawab deti k samne wale ko la-jawab kr deti,jis sheher me Salar rehta tha us se kai kilometre ki duri pr Zelish ka gaon tha,Zelish k baba (Nasrullah Shah) gaon k sarbarah the

Hope you enjoyed!!!

Rah e Ishq [COMPLETED]Where stories live. Discover now