CHAPTER - 13 🥀🍂🦋

143 15 0
                                    

SOHANSHI FOREVER!

3 months later........

They were in a call since one hour.

Divu.... Main bahut dinon se notice kar rahi hun.. you're not sounding like normal. Kuch toh hua hai , Tu khush nahi hai... Teri baaton mein , teri uss aawaz mein woh khushi woh Divyanshi nahi hai jise maine pichhle do saalon se dekha hai.....

A girl from another side asked her consequently.

Nahi....nahi toh... Kuch bhi toh nahi... Kyun tujhe aisa kyun lagaa? Main theek hun re.... Pehle ki hi taraah.

Divyanshi answered.

Dekh Divu... Main naa tujhse durr ho sakti hun... Paagal nahi , joh tu mujhe banaa rahi hai yeh soch kar ki main ban jaaungi... Baaton ko ghumaana band kar aur seedhe shabdon mein bata kya hua hai?

She stated.

Kuch bhi nahi hua.... Sachhiii mein Jyoti! Tujhe kyun baar baar aisa lag raha hai...

She again let her words out.

Jyoti: Achha.... Kuch bhi nahi hua jab toh tu itna stutter kyun kar rahi hai!
Divyanshi: ......

Jyoti: Dekh tujhe bhale hi main paagal nazar aa rahi hun , par main paagal hun nahi. Roz hum baatein karte hain , do saalon se dost hain ... Ek bhi din Aisa nahi gaya jab humne baat nahi ki ... Ek bhi cheez aisa nahi hai joh humne ekdusre ko nahi bataaya.. phir ab kya aisi cheez hai joh itne dinon se tu chhupa rahi hai mujhse.. kaunsi aisi baat ho gayi hai joh bataa nahi paa rahi tu woh bhi mere puchhne ke baad bhi!

Divyanshi: Aisa ku...
Jyoti: Mujhe pata hai tera kabhi kuch hota hi nahi hai... Duniya nakhren hote hain bas! Divyanshi mujhe jalebiyaan nahi pasand.. toh baaton ka jalebi bhi mat bana... Aur seedhe se bol... Joh main puch rahi hun!

Divyanshi finally ended her capacity of tolerance as Jyoti pressurized her to it's peak. Listening the concern for her she broke into tears while sobbing silently.

Jyoti: Divyanshi! Divyanshi are you crying? What happened!

No response.

Jyoti: Divu ... See.... Ik kuch toh baat zaroor hai aur ab tere aansun dekh kar toh I'm sure! Bata kya chal raha hai!!! Kyun ro rahi hai tu! Bol divu bol!!!!
Divyanshi: SOHAAN!
Jyoti: Sohaan?
Divyanshi: Yaad hai yeh ladka!
Jyoti: Y..you mean Sohaan jiju!
Divyanshi: Haan... Unhiki baat kar rahi hun main ...

Flashback... 📸

I met him on 04'th February 2024 , At my chachu's wedding. In the beginning when I first traced him I found a person full of arrogance , attitude and selfishness. But when we started coming known to eachother with time I realised that how much wrong I was then at first. He's actually all opposite of my assumption. Kind nature , pure soul , with the most beautiful heart. ~Her Story.

Ohoo.... Kya baat hai Divyanshi madam... Zara jiju ka name toh bataaiye!

Jyoti replied to her story.

Divyanshi: Hain! Kya matlab!!
Jyoti: Chal chal... Baatein mat bana aur jiju ka name bol!
Divyanshi: Kaun jiju stupid!
Jyoti: Areyyy.... Yahi... jiski itni taarifen kii hain tune! Tera pure soul , beautiful heart wala pati.
Divyanshi: Whatttt!!! Dumbo mera cousin hai woh .. tera jiju nahi .. samjhiiii kya! Bakwaas mat kar!
Jyoti: Lol.... Bechaari.... Waise galat bhi nahi hai... Cousin hai... Biological brother nahi... Handsome ho agar toh banaa sakti hai bhaiyaa ko saiyaan!
Divyanshi: Waah waah waah ... Kitna achha wala ghatiya idea diya tune! Very good! Huh.... Hatt..
Jyoti: Kya yaar... Jiju milte milte ruke!
Divyanshi: In dreams tujhe milenge tere jiju... Jaa jaake sote hue dekh unhe ...
Jyoti: Sad life!

𝑰𝑵 "𝐿𝑂𝑉𝐸" 𝑾𝑰𝑫 𝑴𝒀 "𝐶𝑂𝑈𝑆𝐼𝑁"Hikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin