8|Abhimanyu's side of story

1.5K 97 7
                                    

A/N
I am actually frustrated how people react biased on AbhiRa's topic and today I am gonna represent Abhimanyu side of perspective

Man: Aadu!... Abhir!

Ab: umm bade papa..

Man: tum nahi Abhimanyu tumhare vajah se hi yeh rayita faila hai aur tum to unke...

Ab: papa hu! (Everyone shoked) Pata hai mujhe yeh baat bas Akshu ko nahi bata sakta ki mujhe pata hai na hi bacho ko.. please aap ku6 mat karna yahi meri sabse badi help ho jaeyege.. no more drama please! Maine jo bhi kaha jo bhi kiya uske liye main Akshu se sorry mang lunga

Man:(sarcastically chuckles) sahi hai Abhimanyu sorry mang lunga "tumne mere bhai ko maar diya , tumhare vajah se aaj mere bache hamare saath nahi hai, tum manhoos ho , tumse meri khushyan dekhi nahi jati" yahi kuch dialogues the na jo tumhare ghar ke logo ne maare the meri bachi ke upar? Arre kehne vale ko kya pata Abhimanyu, vo to kehkar hat jaate hai sehne vale ko pata hota hai ki uspar kya beet rahi hai bacho ko samjhana aasan hai par kabhi sochkar dekhna ki kya ek sorry sab thik kar sakte hai..

Swa: tumhare jo man me aaya  tumne vo kiya Jab tumhe Akshu sachi lagi to Akshu aao aur jab laga nahi Akshu.. nahi nahi Akshara ne ku6 galat kiya to Akshara  jao arre tumhara kuch clear kyu nahi hai? Tum na ek kaam karo Abhimanyu shaanti se ek jagah betho aur socho agar Akshu ne tumhe maaf kiya hamare liye vo bhi manjoor hai aur agar nahi kiya vo bhi hum hamare Kartik Naira ki akhri nishani ke saath yeh sab hote hue nahi dekh sakte pehle hu Aarohi ko choti keh keh kar aur usse sar par chada kar dekh chuke hai! Par ab aur nahi jo Akshu chahegi jaisa chahegi vaisa hi hoga..

Mimi: aur tumne soch kya rakha hai Abhimanyu ? Hamare poti koi khilona hai ki jab tumhara mann karega tab tum kahoge ke nahi mujhe nahi khelna aur jab man me hoga to mujhe khelna hai koi majak chal raha hai? Shaadi to hum nahi hi hone denge tum dono ki kabhi bhi nahi! Kittu hamesha kehta tha ki uski Akshu adjust nahi karegi aur tumhe hamare bachi dubara dena Kittu Naira ko fail karne wali baat hogi aur hamare jite ji to tum hamare Akshu se shaadi nahi hi kar sakte... aur ho sake to Aadu Abhir se dur raho hamari Akshu ke liye ek aur problem mat khadi karo tum Ruhi ke tauji ho vo chahti hai ki tum yaha raho to uss rishte se chahe puri umar yaha reh lo hum me se koi kuch bhi nahi kahega! Sahi main koi ku6 bhi nahi kahega par agar tumne Akshu ya uske bacho se rishta  jodne ki koshish bhi ki to humse bura koi nahi hoga aur hum kasam kha kr keh sakte hai agar tum unke aas paas bhi dikh gaye na..!

Ab: kya kar lenge? Baap hu main unka kuch keh iss liye nahi raha tha kyunki galti hai meri... pata hai mere ko agar main rude ho jao to uske liye I am already sorry

par har time meri galti nahi ho sakte kabhi kabhi time bhi galat hota hai aur aap apni baat to aise justify kar rahe hai papa aur maa(KaiRa) ka naam leke jaise unke saath to aisa hua hi nahi Shubham chachu ki death ke baad aap hi log the na jinhone Naira mumma ko ghar se nikal diya tha ,

vo papa hi the naa jo do saalo ke baad bhi mumma ko dosh dete the to fir hamare ghar main kya alag hua aur yeh pehle baar nahi hua tha dusri baar tha deaths ko jhelna itna aasan hota hai aur haan puri nahi to kahi na kahi to galti ghi na aapko bhi pata hai maut ka matlab? Ek insaan ko

hamesha ke liye kho dena... uss din ek maa ne uska beta ek bhai ne uske bache jaisa bhai ek biwi ne uska pati arre ek bacha jo iss duniya main bhi nahi aaya tha us bache se uska baap china tha aur sir unka to sochiye?

Unhe apna ek aur bacha mila tha kuch din pehle vo chin gaya aap sab yeh jaante ho ki Akshu par kya beeti uska mental trauma usko hi to hui saare problem main to khushi khushi jhoom raha tha naach raha tha na?

Nahi main to Independence years celebrate kar raha tha! Haina bade papa aapko to yahi lag raha hai? Par aisa nahi hai main bhi utna hi dukhi tha roz kosta tha apne aap ko apne maa ko arre jo bhi mere aas paas tha vo ho kahegi vo karunga par nahi
aapke Kartik Naira ki aakhri nishani yahi keh rahe hai na aap log to yeh tab kaha thi jab itne saal aapki ladli Aarohi usko torture kar rahi thi vo kuch bhi kehti aur aap manipulate ho jaate the haina? Kuch galat kaha maine nahi.. kyunki aisa hi hai aapko apni galti nahi dikhte aapne to kabhi Akshu se kaha hi nahi na ki Akshu beta adjust karle
Aarohi ke dar se aap usse baat bhi nahi karte the par agar yahi aapne uske gaal par do tamache maare hote aur usko kaha hota na ki agar aaj ke baad usme aur apne aap mei saage aur sautele mein fark kiya to arre tamache nahi to atleast boli to hoti yeh baat par nahi
Akshara beta adjust karle aur aaj ek dum se yeh realise kar lena ki nahi yeh jo hua vo galat hai
Come on yaar kab tk ? At the end suffer to hamare bache hi kar rahe haina ? Unke liye koi hai jo unki father figure bankar unke school mai jaata hai apne saage baap ke hote hue bhi vo aise reh rahe hai! Had hai!

Man: bas ho gaya Abhimanyu!

Ab: bas itne hi himmat hai aapme main sorry mang sakta hu kyunki I realise ki maine jo kiya vo sahi nahi hai par kya aap keh paeyenge?
"Sorry Akshu?"
———————————————

This part is for all who say about Akshu suffering but forget about Abhimanyu 's pain
:) Author

AbhiRa's twins ✔️Where stories live. Discover now