"Jis kahani mein pyaar ek tarfa ho, uska anth hamesha dard bhara hi hota hai Mr. Vishwas...!" Haseena said coldly. "Nhi Miss Malik, do tarfe pyaar ka anth bhi dardnaak hota hai...jaise aapke aur Anubhav ke pyaar ka hua...!" Vishwas added with a smile.

"Anubhav ne humse kabhi pyaar hi nhi kiya...!" Haseena said angrily. "Aapne toh kiya tha na?" "Hadd se jyada kiya...shayad isliye aaj bhi unki yaadein dard deti hai hume...!" She said, controlling her emotions.

"Aur vishwas?" Vishwas asked. "Ji..?" "Vishwas kiya Anubhav par aapne?" He repeated his question.

"Haan...!"

"Isliye jab Karishma Singh sagai wale din aakar aapse boli ki Anubhav sagai nhi karna chahta tha isliye chala gya aapne itni asani se maan liya?" Vishwas said tauntingly.

"Karishma Singh unki behan hai aur hamari dost...!" Haseena said.

"Jo kabhi nhi chahti thi ki aap aur unke bhai ek ho...!" Vishwas smirked at KS. "Haan nhi chahte the kyunki hume lagta tha dono ek dusre ke liye sahi nhi hai..!" KS said angrily.

"Toh phir achanak se jab Haseena Malik Anubhav ko rokne ke liye Airport par gyi tab aap Pushpa ji aur team ke saath mil gyi?" Vishwas asked.

"Hume laga ki jab dono itna pyaar karte hai toh hume koi pareshani nhi honi chhaiye, MS hamari senior aur dost dono hai unki khushi main hum khush the aur hamare bhai ki khushi ke liye bhi...!" KS said coldly.

"Wah re dosti...matlab dost ke liye apne bhai ki jaan le li, shaadi ke liye taiyar ho gyi..par aaj tak apne usi dost ko nhi bataya ki sagai wale din Anubhav kyun gya tha...!" Vishwas taunted her. Haseena looked at KS questioningly.

"Dekhiye Mr. Vishwas...(cutted by him), kya dekhe Karishma Singh, aapki pyaari maddam sir mahino tak roti rahi, gum mein rahi...par aapne unhe sach batane ki takleef nhi uthai...kyun?"

"Kyunki Anubhav Singh ne mana kiya tha, woh nhi chahte the ki unke jaane ke baad bhi Maddam sir unka intejaar kare...!" KS shouted, spilling the truth.

"Kyaa...???" Haseena looked at her surprisingly while Vishwas smirked. "Judge sahab, sagai wale din jab Anubhav Singh kaafi der tak nhi aaye tab humne unki maa ko phone kiya, unhone hume bataya ki Anubhav Singh ghar par nhi hai aur (she narrated the whole sagai wala episode and headquarter scene, which shocked Haseena) par woh sab natak tha, Anubhav Singh ne kabhi pyaar hi nhi kiya tha isliye woh jhooth bol kar bhaag gye...!" KS said angrily.

"Judge sahab aapki table par ek file rakhi hai, jisme Anubhav Singh ke senior Mr. Ajay Bakshi ka byan darz hai ki sagai se pehle Anubhav ko ek dangerous mission diya gya tha...jisme bachane ke chance na ke barabar the...!" Vishwas explained. "Karishma Singh, is file ke according Anubhav ne aapse sach kaha tha...phir aap aisa kyun bol rahi hai woh natak tha?" Judge questioned. "Kyunki unhone khud kaha tha us din..!"

"Unhone kaha toh yeh bhi tha ki woh Haseena se pyaar karte hai par woh toh nhi mana aapne...!" Vishwas said tauntingly.

"Mr.Vishwas, in sab se aap sabit kya kar lenge, sach toh yahi rahega ki Anubhav deshdrohi hai...!" Anjali said.

"Aap hi bataiye Anjali ji, jo insaan Haseena Malik ki jaan bachane ke liye use sagai wale din chhod sakta hai, khud par bhagoda hone ka kalank le sakta hai woh kaise in par goli chala sakta hai..!"

"Toh aap kehna chahte hai ki Haseena ka pyaar jhootha tha...isliye isne goli chala di aur maar diya Anubhav ko..!" Anjali taunted.

"Nhi...inka pyaar sach tha par us pyaar mein bharosa nhi, pehli baar dil tutate hi tut chuka tha, hein na Miss Malik?" Vishwas raised his brows.

Mohra Where stories live. Discover now