Prologue

2K 168 114
                                    

"Aksar suna hai humne ki kisi ke halat par hasana nhi chahiye...kyunki waqt ka koi bharosa nhi woh ek din tumhe bhi usi halat mein lakar rakh dega...aur waise bhi kismat badi bewafa hoti hai kab dokha de jaye koi soch bhi nhi sakta..jaise shatranj ke khel ka ek aam MOHRA pura khel badal de yeh koi nhi janta...😉

19 March, 2023

High Court, Lucknow

A lady in her mid sixties, sitting in front of High Court of Lucknow with her son' picture. The camera flashes and the focus is focused only on her, While news reporters are reporting breaking news to their viewers.

"Hamare desh ka ek agent, Agent Anubhav Singh jise mohra banaya gya ek aise khel ka jisne uski puri duniya badal di aur use maut ke neend sula diya, deshbhakt ko deshdrohi ghoshit kar diya gya, yeh Anubhav Singh ki maa ka manan hai, puri duniya ne use galat samjha par uski maa ne nhi...kya ek maa ka vishwas sach hai ya phir sirf unki bhavnaye hai jo apne bete ko deshdrohi manane nhi de rahi hai, kya ek maa ka vishwas jeet payega Kanoon se....janane ke liye jude rahiye hamare saath aur dekhte rahiye hamara news channel...!" The reporter dropped his mic and looked at the lady.

"Maa ka pyaar...!" He said with a smile.

Atiwak's POV

Maa..maa..jisne tab bhi apni bete ki baatein samjhi jab woh kuch bol nhi pata tha..uski tutli bhasha ko bhi samjha aur ankahe ehsaason ko bhi...aur aaj wahi maa nyaay ke aas mein nyaay ke mandir ke samne baithi hai...samay kabhi kisi ke liye nhi rukta woh bas apni gati se chalta jata hai...par iss maa ke liye uska waqt, uski duniya usi waqt ruk gyi jab usne apne bete ko khoya....use aaj bhi lagta hai ki na jane kis kone se uska beta nikal kar uski saree ka pallu pakad lega aur puchhega..maa aap itna kyun roti ho...kyun hume itna prem karti ho aur kyun hume itna laad ladti ho? Uske meethe meethe sawal, uski woh pyaari si muskaan..phir se us maa ke us makan ko ghar bana degi..."

POV ends.

Police Headquarters, Lucknow

"Yeh sab kya hai Miss Malik..aapke rehte Anubhav ki maa ghar se bahar kaise nikali aur aapne ab tak unhe samjhaya nhi ki unka beta ek gaddar tha...!" Commissioner yelled out on Haseena.

"Sorry sir par hum kya kare..woh samjh hi nhi rahi hai ki unke bete ne desh ke saath gaddari ki hai..!" She put her reason.

"Jazbaat queen kaha jata hai aapko aur aap ek maa ko apne jazbaat nhi sikha payi..!" CS taunted her.

"Sir woh maa hai..maa ko hum kya jazbaat sikhayenge..!" She said with a smile.

"Par hum sikha sakte hai Maddam sir...!" KS interrupted them.

"Karishma Singh..aap rehne hi de kyunki aap dono ke bas ka kuch nhi hai...!" CS taunted them.

"Par sir... (Cuts off by CS) aap dono abhi ke abhi Anubhav ki maa ko court ke bahar se hataiye, unhe samjhiye jo karna hai kariye bas yeh matter khatm kariye kyunki agar case dobara khula toh sabse pehle aap dono par gaaz giregi kyunki aap dono bhi janti hai ki aap dono ne kya kiya hai...!" CS warned them. KS and Haseena looked at each other and then nodded at CS but they are unaware that they are already late because.........










The game will begin on 19 March....

____________________________________

A/N- After so many requests main yeh story lekar aayi hoon par don't worry main na khud rone wali hoon aur na apne readers ko rone dene wali hoon..🤭 bas jhatke denge hum kyunki hum Anubhav ke prashansak hai..😉

Waise Chess khela hai sabne?

Some important points

1. The story starts one year after the end of Mission Bahroopiya, and for the characters the story of the last one year will same as the story of the show.

2. Before reading the story, remove one thing from your mind that Anubhav or Haseena or Karishma cannot do this.

3. Is kahani ko padhte waqt apne dil dimaag sabko saant karke padhna kyunki..😉

◦•●◉✿ Thank You✿◉●•◦

Mohra Où les histoires vivent. Découvrez maintenant