خاتم شدہ

311 21 54
                                    

Epilogue―

Kuch saal baad―

"Zayd!!"
Wo ab chilayi thi.. Aur uski taraf dekhe usse ghoor rahi thi.

"yarr mai help kar raha tha!" wo masoomiyat andaz mai wazahat dene laga

"aesi help se acha hai banda akela kaam kare" wo ird gird nazarein ghoomaye boli

Aj itwar tha, Amira aur Zayd dono kitchen mai mujood dupher ka khane ka intizaam kar rahy thy.. Balke Zayd ne aake uski madad karna chaha lekin afsos jese hi aatay ka daba usne kholna chaha wo zyada takat lagne ki wajha se niche gir gaya.. Aur sara farsh ird gird se aatay se bhar chuka tha aur isi baat pe Amira uspe chila rahi thi..

"sorry begum.. Mai yeh sb samait dunga!" wo sharminda gi se bola tha aur Amira ne phr se uski taraf dekha tha balke ghoora tha

"na rehne de! Mai khud kar lungi Zayd sahab"

"par begum ―" uski baat mukamal hone se pehle hi Amira ne usse aur ghoora tha

"mamaaaaa" dono us chaar sala bache ki awaz ki taraf mutwajha huwe thy..

"mama baba ko mat ghoora kare.. Wo masoom hain" wo apni masoomiyat se apni bahy apne baba ke ird behlaye keh raha tha.. Amira ne us chaar salay bache ko be-yaqeeni se dekha tha.

"dekh le begum.. Humara beta mujhe masoom tehra raha" Zayd apni hasi ruku fakhar se keh raha tha..

"ji ji.. Dekh raha masoom baap ka masoom beta"

Zayd ne Chaar saal ke Zaroon ko uthaye Amira ki tarah masoomiyat muskurahat uchali thi..

"baba ka beta kya kahe ga?"

"ieey cream" wo khushi se farmaish karne laga.. Zayd ne uska halke se matta chumaa tha "oke mere bache"

"Amira mama ap kya kahey gi?" wo Zaroon samait uske qareeb aye puch raha tha.. Amira muskura di
"apka sar!"

"jo hukam sarkar!" wo uski aage ayi latty piche kiye muskura diya..

"baba.. ieey cream" Zaroon dono ko lamhe bhar dekhe ab bola tha..

"sure bache" Zayd uski gaal chume usse bahir le aya..
..

Amsterdam ke sarkon pe wo dono ek dosere ki bazu pakre chalte arhy thy..

"Faaz!?" yunhi khomoshi mai chalte usne uska naam pukara tha

"hm!"
Usne apni Leather jacket Sahi karte jawab dia

"mai bhut khush hun!" Faaz ne usko be-yaqeeni se dekha tha

"kyu?" uske sawal pe Zohra ne usse be-yaqeeni se ghoora tha "jahil insaan.. Mera Matlab tha tumhare sath mai bhut khush hun!"

"oh Acha tou aesa..Mere sath tou har larki khush rehti hai yeh nayi baat nahi hai mere liye" wo mazak mai usse mukatif tha..

"har larki???? Seriously Faaz????!" Zohra ne apne kandhe se pehna huwa bag utare usse hi usse mara tha..

"ah.. Jangli auraat khyal kro aas paas ke log kya kahein ge"

"yeehi ke ek mard apni biwi se pit raha hai" Zohra ne sharati muskurahat ke sth kaha

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon