Khalish

321 13 25
                                    

Woh kitchen mai aate cupboard Se ek cup nikal Kar us se dhooti huwi side pe rkhti phr dosere cupboard se sugar coffee nikal Kar cup ke sth hi rakh kar fridge se dhood ki bottle liye cup Mai Dale phr tori coffee aur sth hi 2 table spoons cheeni ke dalte huwe usko microwave Mai rak Ke 2 min ka time on karke side pe pari kursiyo mai se ek pe aa bethi samne wali pe uski ami sara bethi huwi sabziya Kat rhi thi aur sath hi sath ek nazar isko dekh bhi rahi thi

"kya huwa Ami ese baar baar kyu mujhe dekh rhi hain jese maine apki koi cheez chura li ho"
Woh tora haste huwe boli

"Hasi nahi ai"
Sara usko bolte nazre wapis sabzi ki taraf le gyi

Apni coffee microwave Se nikal ke wapis apni kursi pe beth gyi

"Ami kya huwa hai mujh se baat kyu nhi kr rhi"
Sath kehti Apni coffee ka ek ghont bharne lagi

Sara ne uski baat nazar andaz Karte ab piyaz ko kattne lag gyi

"Ami akhir bataye tou sahi esa maine kya kar diya jo ap aur baba mujh se baat tak nhi kr rahe pichle do hafto se"
Amira Parishani lehje mai puchne lagi

Aur ek baar phr Sara usko nazar andaz kiye ab tamatar kattne lagi

"acha tou ap log un logo ki wajha se apni ek louti beti se naraz rehe ge"

"khabar dar Amira agar ab maine Tumhare muh se un logo ke liye ek lafz sunna"
Akhir apni khomoshi tore sara boli

"Ami ap tou haqeeqat janti haina phr kyu le rhi hain unki side"

"haqeeqat janti hun tabhi tou tumhe samjhane ki khoshish kr rhi hun ke jesa tum sochti ho uske bare mai wesy hargiz sach nahi hai"

"ap kese keh sakti hain ami meri ankho ne jo dekha woh jhoot hai"

"Haan tou batao kya dekha hai Tumhari in ankho ne"

"sunna chahti hain ap ami"

"Haan chahti hun sunna mai akhir kya Amira ki in ankho ne dekh liya jo humne nhi dekha"

"tou sunne ami"

*Woh chaar saal ki choti bachi khelte khelte thak Kar ghar ke andar pani peene ayi jese hi woh ghr mai dhakil hoi Har jhaga andhera hi andhera tha woh dar gyi khoof zada hogyi phr bhi bhi asta asta aage chal pari jese hi kuch aage woh ayi usko ek Awaaz ayi woh awaz bohot khoof zada thi usko nhi pata tha woh kis cheez ki awaz hai uske Awaaz sunte hi paseene Aane lage aur aage jakay dekhne ki uski himmat toot chuki thi isliye ek koone mai aa bethi roone lagi phr kuch dair tak usko koi Awaaz nhi ayi tou usne aage jakay dekhne ka socha jese hi woh tora aage gyi usko chaar logo ka saya dikha aur ek khoofnak cheez ka woh khoofnak cheez bandook thi lekin ye is sey waqif na thi tora aur aage bhari tu suna ek baar phr se wahi khoofzada awaz ayi lekin is baar bohot zyada kyu ke woh is baar is awaz ke khareeb thi ye pillar ke piche chupi hui sab dekh rhi thi lekin waha majood shaks isko dekh nhi paye thy, isne dekha niche gira shaks laal rang se lipta huwa tha ye waqif na thi woh laal rang khoon hai yehi cheez isko aur dara rhi thi phr iski nazar ek aur shaks par pari iske best friend par jokay ek cheez hath mai liya khara tha woh cheez bandok thi ye baat us panch saale bache ko bhi maloom nhi thi woh khushi se usko pakre khara tha, is sey phele us char Sala bachi ne dekha tha ek aurat aur mard jokay miya biwi thy aur sath mai ek aur shaks jokay ke inke bare thy inke hath mai bandook thi aur woh miya biwi ne inko pakra huwa woh tou us shaks ko ruk rhe thy aur tabhi hi us shaks ne unki ek na suni aur nishana laga diya aur waha se khud chala gaya lekin.... *

"Amira jo kuch tumne dekha tha woh khud adha sach hai"

"tou asal sach kya hai ami bataye agar meri ankho dekha apko pora sach nhi lag raha tha"

"bache Tumhare Dada ka qatal sirf kareem ne kiye tha woh bhi kuch business deals ki wajha se Ahmed bhai aur Asiyah tou unko ruk rhe thy aur jo tumne dekha ke Zayd ke hath mai bandook thi jo woh bare khushi se liye betha tha woh tou khud tab panch saal ka tha usko kaha pata tha woh bandook hai aur us bache ne koi goli nhi chalai thi "

ʀᴀᴀʙᴛᴀ√Where stories live. Discover now