Chapter 9: Meri Tum Ho

Start from the beginning
                                    

"Lekin ek problem hai. Mujhe unki tarah acchi English nahi aati. Woh log jo bhi kehte hai, der se samajh aata hai."

"Koi nahi. Thode din mein sikh jaogi. Waise English mein kya keh rahe the tumhare dost?"

"Yeh hi kuch... What is your name, in which class do you read, you pretty girl, your smile is beautiful... Wagera wagera."

Sidharth frowned hearing that.

"Ek minute. Pehle wala samajh mein aata hai. Lekin pretty girl, your smile is beautiful, yeh sab kisne kaha?" Asked Sidharth.

"Suhaan ne." Replied Naaz.

"Kaun Suhaan?"

"Mera dost. Aap ko paata hai woh na bohut accha hai. Usne mujhe chocolate diya. Aur bohut tarif bhi ki meri. Bas English mein tha isliye samajh ne mein der hogayi ki woh tarif thi."

Sidharth didn't say anything.

"Yeh aaj kaal ke bacche bhi na! Itni si umar mein flirt karna chalu kar dete hai. Kuch sikha te nahi hai kya inke parents inhe?" He said in his mind getting irritated.

Suddenly Sidharth asked, "Accha Naaz, tumhari koi ladki dost bani hai?"

"Bani hai nah. Suhana, Suhaan ki behen. Woh bhi bohut acchi hai, meri best friend hai."

"Toh phir tum Suhana ke saath zyada time bitana. Suhaan se thoda dur rehna." He said being possessive but he himself couldn't understand that.

"Kyu?" Asked Naaz being confused.

"Woh kya hai na saare ladke acche nahi hote. Woh log dusro ko pareshan karte hai, tumhe bhi karenge. Isliye tum Suhaan toh kya saare ladko se dur rehna." He said giving the most stupid logic.

"Lekin Suhaan unn mein se nahi hai. Paata hai aaj kuch ladke mujhe pareshaan.... Woh kya kehte hai.... Bully.... Kuch ladke mujhe bully kar rahe the. Tab Suhaan ne meri madad ki."

"What?" Sidharth freaked out.

"Bully? Kaun bully kar raha tha? Are you fine? Kuch hua toh nahi tumhe?" He asked being concerned.

"Main bilkool thik hoon Sidharth. Suhaan ne toh unn ladko ko yeh bhi bol diya ki woh log aage se mujhe pareshan na kare."

Sidharth calmed down a little.

"Aur usne kaha padhai mein koi bhi help chahiye ho toh uss se puch ne ke liye. Usne mujhe apna number bhi diya...."

"Koi zaroorat nahi hai." Said Sidharth in a stern voice. "Office ke baad main khud tumhe padhaunga. Understand? Aur tum har waqt Suhaan Suhaan karna band karo."

"Aap ko bura lag raha hai?" Asked Naaz.

"Mujhe kyu bura lagega? Main bas itna keh raha hoon school khatam ho chuka hai. Jaise main har waqt apne office ki baatein ghar pe nahi karta, tum bhi har waqt school ki baatein mat karo. Koi aur baat karo."

"Thik hai. Toh phir main...aap ko ek kahani sunati hoon. Ek na kauwa tha aur ek chidiya thi...."

Naaz started telling her story and Sidharth started laughing hearing her funny story.
______________________________________

Sidharth dropped Naaz home then he again went to office.

At night he came back and after having dinner he started teaching Naaz.

He gave some questions and told Naaz to write the answers.

Naaz took her pen and started writing. While writing she was massaging and shaking her right hand again and again.

Sidharth became curious and asked, "Tumhare haath mein kuch hua hai kya?"

Naaz immediately nodded her head in no.

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now