Chapter 3: Accepted Or Not?

Start from the beginning
                                    

"Nervous hogaya tha main yaar. I don't know Sidharth iss situation ko kaise handle karega." Said Kushal.

"Ab situation usne create ki hai toh handle bhi woh hi karega."

Kushal noticed her tone of speaking and said, "Tu upset hai nah? Sidharth ki aise shaadi hogayi. Tu usse baata bhi nahi paayi that you love him."

"What shaadi? Yeh koi shaadi nahi hai. Sidharth bhi iss shaadi ko nahi maan ta. And main unn sab ke baare mein soch bhi nahi rahi thi. I was just thinking yeh jo bhi ho raha hai iski wajah se Naaz ko suffer na karna pade. Uss bechari ko toh paata bhi nahi uske saath kya hua hai. Life badal gayi hai uski."

Kushal agreed to what Tina said.

On the other hand, Sidharth came out his room and saw Rita Maa staring at him.

"Kushal ka dimaag kharab hogaya hai kya? Keh raha hai yeh bacchi teri wife hai. Adhi raat ko aisa mazak accha nahi lagta. Tu hi baata baat kya hai." Said Rita Maa.

Sidharth sighed and said, "I'm telling you everything. Pehle idhar baitho."

He made Rita Maa sit on the sofa and himself sat near her leg.

"Ab main jo kuch bhi bol raha hoon shaanti se sun na."

Sidharth paused for a while and said, "Kushal was right. Naaz meri wife hai. Kaal hi hum dono ki shaadi hui hai."

Rita Maa was shocked.

"Thuuudddddd!"

Sidharth got a slap from Rita Maa.

"Hosh mein hai tu? Paata hai nah kya bol raha hai?" She yelled.

Sidharth closed his eyes to stay calm as he had to handle everything very calmly.

"Maa aap please meri puri baat sun lo. I had no option......"

Sidharth narrated the whole story to Rita Maa who was looking at him with disbelief all the time. Meanwhile Naaz also woke up and came out of the room.

After telling everything, Sidharth said, "Aap hi baataiye Maa main kya karta? Mujhe usse apne paas rakh ke ek acchi life deni thi. Aur agar shaadi karna hi uska solution tha toh maine kar liya."

"Sidharth, shaadi koi bacchon ka khel nahi hai. Kitne sapne the mere teri shaadi ko lekar. Aur tune shaadi bhi ki toh ek bacchi se, jise inn sab ki koi samajh hi nahi hai. Main kisi ko baata bhi nahi sakti iske baare mein kyu ki iss shaadi ko toh kanoon bhi nahi maanta." Said Rita Maa while crying.

"I know yeh shaadi, shaadi nahi hai. Aur sirf kuch hi dino ki baat hai. Naaz bas badi ho ke apne pairon pe khadi ho jaaye, phir sab thik ho jayega. Aap please abhi ke liye Naaz ko accept kar lo. Usse humare pyaar ki zaroorat hai." Said Sidharth.

"Main kaise accept kar loon Sidharth?"

Rita Maa continued crying.

Naaz understood that it was happening because of her. She immediately ran to her and sat near Rita Maa's leg.

Both Sidharth and Rita Maa noticed her.

"Maa!" She called.

Rita Ji's heart melt hearing the voice.

"Aap meri wajah se ro rahe ho nah? Aap mat ro please. Main pakka aap ki har baat maanungi. Aur aap ka kaam bhi kar dungi. Aap bas mujhse naraz mat hona." She said.

Rita Maa laughed hearing that and pulled Naaz closer.

She cupped her face and said, "Nahi Bacche. Main tujhse naraz nahi hoon. Main toh iss gadhe se naraz thi."

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now