Chapter 16

1.8K 172 36
                                    

Yeh lo next part 😄

...............................................

Next 3 days passed. Sidharth nahi aya sana se milne. Roj sana wait karti hai ki sayed aa jaye but pura din wait karne ke bad rat ko silently roti hai khud ke aur betiyo ke kismat pe. Sirf janvi ji hai jai har roj sana ke pas ati hai rat ko hospital pe rukti bhi hai.

Udhar Sidharth ke liye bhi muskil hai sab kuch. But uska problem alag hai. Usko iss bat ka sabse zada dukh hai ki dadi se kiya hua wada wo nahi nibha paya. Itna block ho chuka hai uska dimag ki woh ekbar bhi apni bache ayur biwi ko dekhne nahi gaye.

Dadi bhi ek mauka nahi chodti hai sid ko sana ke khilaf bhadkane mein. Sana ke delivery ke next day sid ke factory mein kuch problem hua jiske wahah se ek contract uske hat se chala jata hai. Sid bahut zada frustrated ho jata hai and when he shared this with dadi toh dadi ne iss luksan ka bahut ache se faida uthaya.

Dadi - Abhi to suruat hai beta. Mein aise hi nahi boli ki ye manhus hai. Dekha kal paida hui aur aj se manusiyat dikhana suru kar diya.

Sid - Nahi dadi yeh problem bahut din se chal raha hai.

Dadi - Hai beta lekin luksan to aj hi hua na. Ab tere bad tera  kam kaun sambhalega? Jay bhi kitna badal gaya tara hone ke bad. Tu to nahi badal jayega na beta? Pata nahi mera vansh ko kaun age badhayega??? Hum to barbad ho gaye. Tujhe nahi pata yeh jo teri biwi hai na jitni bholi dikhti hai utni hai nahi. Mere sath bhi ache se bat nahi karti. Fake crying.

Sid didn't say anything.

Aj sana discharge hone wali hai hospital se.

Janvi - Beta aj sana discharge hole wali hai. Aj tera zaroorat hai udhar.

Sid - Yeh lijiye paise aur jakar discharge karke laiye. Mere pas itne faltu waqt nahi hai.

Janvi - Itna bhi woh mat kar beta. Woh bache hai tere. Tera khoon hai. Abhi tak tune ekbar bhi unko dekha bhi nahi. Sana roj intezar karta raha. Aj to chal beta.

Sid - Kaha na nahi jaunga. Kitni bar bolu mein... Kash woh mera khoon na hota. Kash woh mere bache na hote. Ekbar bhi socha apne parivaar ke bare mein? Dadi sahi kehti hai manhus hai. Jisdin paida hui next day mere business mein loss ho gaya. Mera koi nai hai woh dono. Yeh bat apne dimag mein dal lijiye aut apni us bahu ke dimag mein bhi dal dijiyega. Samjhe ap?

Janvi ji is just numb. Unko samaj nahi aa rahi hai ki woh kaise samjhaye Sidharth ko. But abhi unke liye important hai woh jakar unko ghar lekar aye.

( My thought - I just pray ki janvi jaise saas sabko mile life mein. Actually meri saas bhi janvi jaise hi hai. Bilkul beti ki tarah pyaar karti hai mujhe. 😍😍 )

In hospital.....

Sana jab dekhti hai ki janvi akeli ayi hai toh uska dil aur ekbar toot gaya...

Sana apni dono beti ko lekar ghar ati hai. Janvi arti karke bachoko ghar ke andar leke ate hai. Swagat karne ke liye sirf janvi hai aur koi nahi.

Sana apne kamre mein jati bachio ko leke. Jakar dekhti hai do pink colour ki chote chote baby cot aur couch pe kuch khilona hai.

Sana - Mummy ji aap kyu yeh sab lekar ayi? Itna kharcha kyu kiya? Mujhe pata hai yeh sab aap hi leke aye ho.

Janvi - Chup ekdom... Agar mein apni potioyo ke liye nahi lekar aungi toh kon karega hai? Woh malti hai na uske sath gayi thi market yeh sab lene ke liye. With moist eyes jada to kuch nahi laa saki apni pariyon ke liye bas yeh thoda sa hi hai.

Sana - Yeh thoda nahi hai bahut hai. Par paise?

Janvi - Mujhe na har mahine jay bhejta hai paise. Toh woh sara mein save karke rakhti hu. Usi paiso se hi layi hu yeh sab. Dekh hum bat kar rahe hai aur yeh dono to shanti se soo bhi gaye. Chal tu bhi aram kar mein khane ke liye kuch lati hu. Left from there.

UNWANTED RELATION ✅Where stories live. Discover now