5. ARGUEMENT

78 4 0
                                    

With Siddharth and Avneet. As they reach in their room. "Ye kya kiya tumne? Apne sthan ka ye maan kiya? Kya tumhare is bartaav ke baad, tumhe lagta hain tum Maharani ke sthan ke liye layak hain? Tumhe pata bhi hain ye baat Rajya bahar gayi to Mahamanyu Rajya ka kitna apmaan hoga? Aese karte waqt aapne man me ek baar Rajkumari Sonavee ke bare me socha unhe kaise lagega? Hume tumse ye umeed bilkul nahin thi. Aapne hume thees pahuchayi hain. Tum Maharani swaroop Rajkumari Sonavee ko apnate hue dekh hume sabse zyada khushi hui thi par abhi hum utna hi dukh ho raha hain. Tumhare is bartaav se sirf hum hi nahin balke sampuran kutumb ko dukh hua hain. Sampuran kutumb ke bhavnao ka mazak diya tumne Maharani Avneet. Ishi tarah tum humara sath dogi humare Rajya ko sambalne me. Humari Rajya ki zimedario ko sambhalne me. Agar ishi tarah chalta raha to humare lafzo ki gaanth (knot) band lo. Tum humara or humare Rajya ka sar sharam se zuka jayega or to or humare Rajya ka maan- samaan, naam sab milti me mil jayega. Maharani Avneet tumhe ye sab karke sirf humari bhavnao ko nahin, humare maan- samaan, humare Maharaj hone ka sthan or to or apne Maharani ke sthan ka bahut apmaan kiya hain. Tumhare is bartaav ko hume kabhi nahin bhulege or nahin hum tumhe kabhi kshama karege" shouted Siddharth fuming in anger. All the time Avneet was guilty. Tears were rolling on her cheeks. She was looking down only. Along with guilt she has angry too. She couldn't control her anger anymore.

"Haan hum maante hain humne galat kiya. Hum maante hain humare is bartaav se aap hi nahin sampuran kutumb ko dukh hua hain. Hum maante hain humne jo kiya vo bachkani harkat thi parantu Maharaj Siddharth aap jo karne wale hain vo? Aap dusra vivah karne wale hain. Aapki dusri biwi aa chuki hain is Rajya me. Aapne ek kshan bhi humare bare me socha hume kaise lagega? Aapne ek baar bhi humse baat karna uchit samajha Abhishek dada ko haan karne se pehle? Aapne socha aapki pehli biwi Avneet ko kaise lagega aapka dusra vivah hote dekh? Kya humara koi mahhtav hain aapke jeevan me ya hum sirf is Rajya ki Maharani ke sthan ke liye hi hain is Rajya me?" Avneet shout back on Siddharth in anger.

"Tum glaani mehsoos karne ke bajaye humse tark kar rahi ho. Tumhe andaaja bhi hain tumne aaj kya kiya hain? Rajya ke liye kartavya bhul kar. Aaj tum swaarthi ban gayi thi. Aapne ek baar bhi Rajya, Sthan ki zimedari ka nahin socha? Hum sirf dusri shaadi karne wale hain. Tumhe chorne nahin wale. Tum iss had tak kaise gir sakti ho? Tum kaise bhul sakti hain humne Rajya ki raksha hetu vachchan liye hain." argued Siddharth in high voice.

"Aap zimedari ki baat kar rahe hain nah Maharaj. To aapki humare prati bhi zimedari hain. Aap vachan ki baat kar rahe hain nah. Haan to hume bhi pata hain aapne Rajya ki Salamati or Suraksha ke liye vachchan liye hain. Kintu in sab me aap kaise bhul gaye Maharaj Siddharth ke aapne humare pitaji ko bhi vachan diya tha Vivah ke samay humari suraksha, khushio ka khayaal rakhne ka. Aapko humare khushio ki kadar hain? Agar hain to bhej de Rajkumari Sonavee ko vapas. Hum unhe aapki dusri biwi roop nahin swikaarte. Aap Maharaj hone ka faraz jarur ada kare. Aapki zimedario me hum aapki sahayta karege parantu humse aapka dusra vivah kataie swikaar nahin hoga Maharaj." Avneet poured her anger.

"Bhej de vapas? Tumhe ehsaas bhi hain aap kya keh rahi ho? Rajya ka maan-samaan, naam sab mitti me mil jayega. Maharaja Sumedh or Janayu Rajya ke samne hum mukh dikhane ke kaabil nahin rahege. Abhishek dada ka diya hua vachan tut jayega." said Siddharth with shock as he heard Avneet's words.

"Aap humari khushi ke khilaf jaa kar ye vivah karege? Tab aapka pitaji ko diya hua vachan nahin tutega? Tab aap pitaji ko mukh dikhane kaabil hoge?" Avneet said controlling herself from break down.

"Hum is vishay par aur vivad nahin chahte." with these words Siddharth stomped out of there. Avneet fell on her knees and broke down.

For the time being with Siddharth. He went in backyard of Palace. He was silently walking and thinking about the whole conversation he had with Avneet. He was feeling helpless. Neither he want to break promise with Janayu's Maharaj Sumedh nor he want to hurt Avneet. After sometime, Abhishek came there.

"Kya soch rahe hain aap Siddharth?" asked Abhishek sensing worried Siddharth. "Kuch nahin dada bas aese hi." lied Siddharth. "Aap jante hain nah hum chaaro bhai ek dusre ko sahayta hetu hamesha sath rahete hain. Hum apne man ki baat hamesha ek dusre ko batate hain." said Abhishek. Siddharth nodded. "Haan to chaliye bataiye kya hua? Aap pareshan kyun hain?" asked Abhishek calmly. Siddharth shared about his and Avneet's conversation with Abhishek.

"Ab aap bataye dada hum kya kare? Hum Avneet ko dukh nahin dena chahte or nah hi Rajya ki prati apni zimedari nah nibha kar apne sthan ka apmaan bhi nahin karna chahte hain." Siddharth poured his feelings in front Abhishek. " Siddharth hum aapki paristhti samajhte hain. Aap Sunbai Avneet ko thora samay de. Ve aapki baat jarur samjhegi." explained Abhishek. Siddharth nodded with small smile. "Aap chintit nah hoye. Sab theek ho jayega" Abhishek said patting Siddharth's shoulder.

A Senapati came there. "Maharaj Siddharth, Yuvraj Abhishek Rajmata Supriya ne sab ko baithak ke liye bhulaya hain." said Senapati bowing. "Theek hain. Hum jate hain" said Siddharth. Siddharth and Abhishek went to living area where whole family was present there including Sonavee, Prisha and Anushka.

"Siddharth humne aapke vivah ki tarikh nikalvayi hain. Chaar din baad ki" announced Supriya happily. Avneet felt hurt. She look down controlling her tears. Sonavee blush. Vaishnavi squeeze Avneet's hand understanding her pain. Siddharth looked at Avneet.

"Maa ye vivah hum chaar din baad nahin. Kuch samay baad karege. Humara matlab hain vivah ki tarikh ko kuch din ke liye sthagan (postpone) kare" said Siddharth. "Par kyun? Kuch samsya hain?" asked Supriya worriedly. "Nahin maa. Vo Siddharth or Hum Maharaj Sumedh ko is vivah me upsthit hone ka aamantran bhejna chahte the." lied Abhishek understanding Siddharth's condition. Sonavee squeal in happiness but quickly hid it. "Vivah ki tarikh sthagan kar hi rahe hain to hum Rajkumar Nihar ka vivah bhi us din kar sakte hain." suggested Surbhi happily. "Haan kyun nahin Surbhi didi. Or to or hum Rajkumar Ridham or Rajkumari Kyaaraa ka bhi vivah kar sakte hain" joined Smita. "Nahin maa ye aap kya keh rahi hain? Humara vivah ho gaya hain Rajkumari Anushka se" said Ridham with shocked listening Smita's words. "Haan hum aapke dusre vivah ki baat kar rahe hain Rajkumari kyaaraa se" explained Smita. "Parantu hum dusra vivah nahin karna chahte or nah hi karege" said Ridham and everyone frown. "Parantu kyun? Dekhe aapke Abhishek dada or Siddharth dada bhi to dusra vivah kar rahe hain nah to aap kyun nahin?" said Smita with sad face.

"Kyunki hum nahin karna chahte. Hum sirf or sirf ek hi vivah karna chahte hain or humara vivah Anushka ke sath ho gaya." said Ridham. Anushka felt happy. She saw true love for her from Ridham's side. Ridham went from there.

"Hum Nihar or Tisha ka vivah bhi ushi din aayojit karege" said Surbhi with smirk. Smita felt hurt but stayed quiet.

With few more discussion about Nihar and Tisha's wedding along with Siddharth and Sonavee's. They dismiss the family meeting.

Few days passed....

In Supriya's room. Surbhi went. "Didi itne din ho gaye abhi tak Siddharth vivah ke liye nahin maane. Maharaj Siddharth vivah ke liye taiyaar to hain nah? Aesa to nahin ke ve vivah ke liye mana kar de. Kahin Maharani Avneet to unhe kuch nahin keh rahi hain? Humne dekha tha jis din humne Maharani Avneet, Choti rani Vaishnavi aur Smita behan ko chilaya tha bachkani harkat ke liye. Kuch samay baad Siddharth aur Avneet ke bich bahut tark hua tha or to or humne ye bhi avlok kiya hain kuch din se Maharani Avneet, Maharaj Siddharth se bilkul baat nahin karti. Kal bhi bhojan ke samay jab Maharaj Siddharth ne pani manga tab Sunbai Sonavee ne diya nah ki Maharani Avneet ne. Jab ke ve to Maharaj Siddharth ke baaju me khari thi." said Surbhi with smirk.

"Aesa kuch nahin hain. Haan Maharani Avneet ne pani nahin diya kyunki ve Sunbai Sonavee ko mauka dena chahti hogi. Hum aaj hi Siddharth se baat karte Vivah ke bare me." said Supriya. "Theek hain didi. Jaise aap theek samajhe. Hum bas isliye puch rahe the vivah ke liye kyunki Rajkumari Tisha ka parivar tarikh ke liye pratiksha kar rahe hain. Jaise samay se vo bhi taiyaari kar sake." said Surbhi innocently and went from there. But Surbhi's words was ringing in Supriya's mind.

End of Chapter.

Why Siddharth postponed his marriage?

What Supriya will do now?

Word count: 1515.

PALATINE'S STRUGGLE (COMPLETED)Where stories live. Discover now