2. CROWNING

113 5 0
                                    

Siddharth and Nihar did all the rituals. Whole kingdom was mourning the death of their king. His wives were not in good state. Supriya controlled her emotions as she was the eldest and she had to take care of all the family and general public.

Supriya called whole royal family for sabha. Whole family gathered except Abhishek and Ridham. Supriya noticed all were devasted. She sighed. "Hum maharaj ke aksamit nidhan par shok pragat krte hai. Hum jante hai ki humare rajya ke lie ye bohot badi durgatana hai parantu hum hi shok mein doob jaenge to praja ko kon sambhalega? Wo humari zimmedari hai. Ab hume rajya ki baag dor kisike haath saupni hogi." said Supriya. "Ji ma hum ne Abhi dada aur Ridham ko sandesh bhijwa denge. Wo sheegra hi laut aayenge." said Siddharth.

"Nhi Rajkumar Siddharth. Aap un dono ko nhi bulayenge. Wo dono padosi desh ki sahayta ke lie gaye hai. Aur Maharaj ne unhe sawayam bheja tha. Ab hum apne kaarya ke lie unhe wapis nhi bula sakte. Janaya Rajya ko unki awashyakta hai." stated Supriya. "To maa apne rajya ki bhaag dor bhi to unhe sambhalni hogi aur Rajya zyada wakt bina apne raja ke nahi reh sakta. Hum sinhasan kaise rikt rakh skte hai ma?" asked Siddharth as a matter of fact.

"Aap theek keh rhe hai Rajkumar parantu ye bhi satya hai ki un dono ko hum nhi bulayenge parantu rajya ki bhag dor sambhalna bhi awasgyak hai. Isilie humne faisla lia hai ki Rajkumar Siddharth ko rajya ki bhag dor sambhalni hogi." announced Supriya. All started murmuring. Vaishnavi was numb hearing this.

Siddharth stood up. "Ma ye sambhav nahin hain. Hum aapka aadar krte hai. Aapki har ichha humare lie hukum hai parantu ye hum nhi kr skte. Is singhasan par dada ka adhikaar hai. Hum unse ye nahi chheen sakte." said Siddharth sternly and left the place.

"Dekh lijie Maharani Supriya aapko na bhi bol dia aur bina aapki anumati ke sabha bhi chodke chale gye Rajkumar Siddharth." said Smita taunting. "Apne bete ko kaise samjhana hai hum samajhte hai aur hume fakara hai iss baat par ki use gaddi ka lalach bhi nahi hai. Hota to hume kabhi na nhi kehta." said Supriya and left the sabha. All left slowly except Surbhi, Smita and Vaishnavi.

"Dekhlo yha to ab sirf Maharani Supriya ki chalti hai. Hmf!! Jab Maharaj ne bol hi dia tha ki Abhishek raja banega to usse wapis bhi bula hi sakti thi. Par nhi unhone to mauka dekh apne ladle bete ko raja ghoshit kar dia." mocked Surbhi.

Vaishnavi was sitting with teary eyes. "Aree didi bechari Sunbai Vaishnavi ka to socho. Kitne sapne dekhe honge rani banoongi ki singhasan par bethoongi." said Smita.

Vaishnavi left frustratedly. She went in her room in anger. She sat on floor crying. "Adhikar to inka tha na to aese kaise sasu ma ne Siddharth ko raja banane ka faisla le lia? Humare pati hi rajya ke adhikari hai. Sabse bade bete hai aur pita shri ne bhi to ye nishche kia tha ki wahi rajya ki bhag dor sambhalnge." she said crying in anger. She picked up things and threw here and there. Her kajal flowed down her blood red eyes.

"Humare pati se ye adhikar kaise chheena ja skta hai kaisa?" she shouted breaking down. She felt on her knees.

Meanwhile with Siddharth

He was sitting on his bed thinking about his mother's announcement.

"Hum rajya ki bhag dor kaise sambal skte hai? Jis singhasan par humare dada ka adhikar ho wo hum kaise le skte hai?" said Siddharth to himself. "Bilkul le sakte hai Rajkumar Siddharth." Sid looked up. Supriya was standing at the door. He immediately stood up.

"Ma hume shama kijie hume aese sabha chhodkar aapka apmaan nahi krna chahie tha." apologized Siddharth. Supriya came inside and sat on bed and asked Siddharth to sit beside her.

"Dekho Siddharth hum tumhari duvida ko samajhte hai. Par tumhe is samay ek bhai nhi, iss waqt jo iss rajya ka sabse bada rajkumar yha upasthit hai, tumhe wo banke sochna hoga. Tumhare dada apna farz aada krne gye hai aur tumhe apna krna hoga. Tumhare pita shree ki agya ka palan krne gaye hai wo dono. Tumhare pita shri ne wachan dia hai Janaya Rajya ko unki suraksha ka. Iss prakar Abhishek kowapis bulwa kar tum apne pita ka apmaan krna chahte ho?" asked Supriya.

PALATINE'S STRUGGLE (COMPLETED)Where stories live. Discover now