Chapter 48: Ending Life

2.4K 288 41
                                    

"How many times do I tell you that I can't come office today?" Rita Ji said a little bit loudly being very much annoyed.

Sana was in Sid's room and taking care of him. She heard Rita Ji's voice and came out of the room to hear what she was saying.

"I know it's important but my son has high fever. How can I leave him alone in this condition?..... Please try to understand.... Hello! Hello!...."

The call was cut.

"Kya baat hai Aunty Ji? Kiska call tha?" Sana asked.

Rita Ji looked at her and said, "Office se call aaya tha Beta. Aaj ek bohut hi important meeting thi. Lekin tu Sid ki haalat dekh rahi hai nah? Main kaise usse iss haalat mein chhor ke office jaa sakti hoon?"

"I think aap ko jaana chahiye. Sid ke liye toh main hoon hi. Main uska khayal rakhungi." Sana said giving her assurance.

"Tu aur kitna karegi? Main dekh rahi hoon, kab se tu usse thande paani ki patti de rahi hai, uska khayal rakh rahi hai. Tu bhi toh thak chuki hogi nah. Aur tu zaldi ghar nahi gayi toh tere parents bhi pareshaan honge."

"Main unhe call kar ke baata deti hoon ki main yaaha hoon. Jab tak aap office se nahi aa jaate, main Sid ke saath hi rahungi."

Rita Ji sighed and said, "Thik hai. Jaisi teri marzi. Waise subah se kuch khaya tune?"

"Woh main zaldi mein ghar se nikli thi toh breakfast karna bhul gayi."

"Mere paas toh abhi time nahi hai. Ho sake toh bahar se order kar ke yaa phir humare kitchen mein hi kuch bana ke khaa lena."

"Main kuch na kuch khaa lungi, aap fikar mat ki jiye."

"Aur sun, maine doctor ko call kiya tha. Woh aaj dopeher ko aa rahe hai Sid ko dekhne."

"Thik hai."

Rita Ji smiled and said, "Main chalti hoon, haan? Zaldi aane ki koshis karungi. Aap na khayal rakhna"

Sana also smiled back.

Rita Ji went to her room, got ready for office and left her home.

Sana took care of Sid the whole day.

In The Noon...

The doctor came and started doing the check up.

"Sid abhi kaisa hai doctor?" Sana asked being worried.

"Darne ki koi baat nahi hai. Tez bukhar ki wajah se unconscious ho gaya tha. Lekin bukhar abhi utar chuka hai. I think hosh bhi zaldi aa jaayega." The doctor said.

Sana was relived.

"Waise accha hua aap ne waqt rehte home remedies apply kiya. Tab hi fever utra hai. Aur lagta toh nahi hai phir se fever aayega, phir bhi main medicines likh deta hoon. Phir fever aaye toh de dena." The doctor said and noted down the name of the medicines on a paper and gave it to Sana.

"Thanks doctor. Aur aap ki fees... "

"Rita Ji ne kaha hai woh baad mein mujhe de degi."

After that the doctor left from the house. Sana was about to lock the door, but at that very moment Asim came there. He didn't expect Sana in Sid's house.

"Asim, tu?" Sana asked.

"Main football practice ke liye Sid ko bulane aaya tha. Lekin tu yaaha kya kar rahi hai?" Asim asked curiously.

"Sid ki tabiyat kharab hai. Main uska khayal rakh rahi hoon. Isliye aaj woh football practice ke liye nahi jaa paayega."

"Oh! It's ok. Waise kya hua Sid ko?"

Dil Na Janeya (Completed)Where stories live. Discover now