Chapter 3: Insult

2.7K 302 40
                                    

Sid was sitting on a bench in the school playground, making a sad face. It was their tiffin period. Suddenly Kushal came and sat beside him.

"Kya hua bro? Muh fula ke kyu baitha hai?" Kushal asked.

"Aur kya karu? Ms. Solution ko thanks bolne gaya tha aur woh mujhe hi suna ke chali gayi woh bhi uss Ayush ki wajah se." Sid said.

"Tu jo bhi keh, Sana tere liye bohut karti hai. Aur jo apke liye karte hai unhe apko suna ne ka bhi haq hai."

"Woh toh hai. Sana nahi hoti toh aaj mera bachna impossible tha. Kabhi kabhi na mujhe samajh nahi aata ki woh kyu meri itni help karti hai. Jab ki main toh uske kisi kaam mein nahi aata."

Kushal thought for a while and said, "I think she has feelings for you."

Sid burst into laughter.

"Tu bhi naa yaar! Ghum phir ke ek hi topic pe aata hai. Ms. Solution aur main toh friends bhi nahi hai aur tu pyaar ki baat kar raha hai?"

"Kya? Tu usse friend nahi maanta?"

"No. Friends woh hote hai jinke saath humari vibes match hoti hai. Jaise meri tere aur Asim ke saath vibes match hoti hai. That's why we are best friends. Aur jaha tak Sana ki baat aati hai, she is very boring and bookworm type. Hum dono ek dusre se bilkool opposite hai. How can we be friends? Pyaar toh dur ki baat hai."

"Accha, toh phir har waqt tu uss se help kyu leta hai? Tab toh tujhe yaad nahi aata ki woh teri friend nahi hai?"

"As a topper main uss se help leta hoon. Iss se zyada aur kuch nahi."

"Lekin ek baat toh clear hai, Sana tujhse bohut pyaar karti hai, uski aankhon mein dikhta hai. Ek din tujhe bhi dikhega."

"Nahi Bhai, mujhe nahi dekhna. Meri nazar toh filhaal kahi aur hai." Sid said and started thinking about Rashmi.

"Kaha?" Kushal asked.

At that very moment, Rashmi came there talking with Devoleena. Sid noticed them.

"Waha." Sid said pointing towards Rashmi.

"Chal mere saath." Sid said and took Kushal with him. They went to Rashmi and Devoleena.

"Hi! I'm Sid. And he's my friend Kushal. " Sid introduced themselves to Rashmi.

"Myself Rashmi."

"And I'm Devoleena. You can call me Devo."

"You guys are new in this school, right?" Sid asked.

"Yeah." Rashmi said.

"I know naye school mein adjust karna thoda muskil hota hai. Isliye agar kabhi bhi koi bhi zaroorat ho na, you can tell us. We will help you."

"Koi bhi help?"

"Haan koi bhi."

"Accha? Toh mujhe ek help chahiye. Karoge?" Rashmi asked while coming close towards him.

"H... haan haan....b... baatao." Sid stuttered as she was coming too close.

Suddenly Rashmi's expression changed.

"Meri bicycle thik se park nahi hui. Usse park kar do." Rashmi said with full attitude while giving the key.

Sid took the key and stood like a fool.
Rashmi and Devoleena left from there.

"Aur haan, aaj se har roz meri bicycle tum hi park karoge. Do you understand?" Rashmi said before leaving.

Sid nodded.

Rashmi and Devoleena laughed silently and left from there.

"Rashmi, mujhe toh yakeen nahi ho raha woh ladka har roz tera bicycle park karne ke liye ready ho gaya." Devoleena said.

Dil Na Janeya (Completed)Where stories live. Discover now