Chapter 3

799 80 92
                                    

"Kya hua tha Bhaiya?", Naina asked fearfully.

Naveen took a deep sigh. He doesn't want to share this with her but Raj will not either.

Naina suffered a lot and both of them are responsible somewhere for this. Her innocence which is her best quality. A quality which both of them treasures a lot is withering away. The truth will scar her further but she need to know the truth. He can't save her anymore.

"Raj mahino se gumrah ho rha tha...tujhe aur mujhe usse dur karke un logo ne uske sambhalne ke sare raste band kar die the....hum dono ke bad ek Sherry hi thi jo shayad dil se uska bhala chahti thi...lekin vo bhi....", Naveen lips trembled recalling his friends fate.

"Pr Bhaiya ...unke Dad...vo bhi to the....he is so influential...unhone kyu nai bachaya unko?", Naina asked.

"Jab rakshak hi bhakshak ban jaye to kisi ko kaun bachaye", Naveen mumbled.

Naina is in shock. She can't believe this.

"K...k...Kya kahna chahte hai aap bhaiya?", Naina asked with her voice trembling.

"Lala Saheb hi vo insan hai jo in sab ke piche hai Naina. Unhone ne sab kuch kia hai...Us Pulkit ko bhi unhone hi plant kia tha....he knew Raj in and out. Unhe pata hai ki how much possessive he is about you"

Naina looked at Naveen with tears in her eyes, "par...Bhaiya vo to unke Pita...aur fir Sherry?"

"Sherry was a genuine accident. Vo Raj ko shayad marna nahin chahte the...atleast shuru me nahin. Vo bad use is tarah se emotionally tod dena chahte the ki vo unke alawa uska koi support system na bache", Naveen told taking a seat on the floor.

Naina sat along with him.

"Unka plan kafi had tak kamyab bhi hua...Raj ne tujhe chod to dia lekin bhul nai paya. Uske dil ne humesha se sirf tu basti thi. Jis pagalpan ki had tak usne tujhse mohabbat ki thi ab usi shiddat se tujhse nafrat kar rha tha vo....fir jab use sacchai pata chali to vo fir tere kareeb ane ki koshish karne laga...

Lekin is khel me shayad usne kuch aise maryada tod di ki tu bhagne lagi usse. Tu usse jitna dur jana chahti thi vo utna hi tujhe pakadne ki koshish kar rha tha.....

Fir us din jab tune thappad mara use. Uske andar kuch hil gya. Ek hung shuru ho gai...uska conscience usse ladne laga...vahi hone laga jise Lala Sahab dabana chahte the"

"Par in sab se ye to nahin prove hota bhaiya ke unhe apne kie ka dukh hai", Naina asked. She is still scared.

"Han sach kah rahi hai tu, islie hi jane dia maine tujhe. Mujhe khud yaqeen nahin tha ki Raj badal rha hai....", Naveen said looking thoughtfully at Naina.

"Fir?", Naina asked.

"Jis din tu bhagi thi Gunraj ke sath. Raj ko pata chal gya tha....bahut chat pataya tha vo lekin fir usne kuch suna....

Ritu aur Lala tumhare plane ko udane ki tyari me the...unhone bomb plant kar dia rha plane me. Raj ne apni jan ki parvah kie bina sahi waqt par use diffuse karvaya with the help Col. Chandra....

Vo janta tha Naina ki iske bad Lala Sahab ko pata chal jayega ki vo sab jan gya hai. Raj ko un par shaq kuch waqt se hone hi laga tha...."

Naina closed her mouth with her hands in shock.

"Fir jaisa use dar tha Lala Sahab sab jan gaye aur unhone use marvane ki koshish ki. Vo kisi tarah bach gya aur underground ho gya. Choubey ki madad se kisi tarah use bachaya humne lekin tab tak kafi der ho chuki thi.....

Uski zindagi ke lamho par ab waqt ki seema lag chuki hai....vo shayad khud bhi yahin chahta hai islie jo thoda bahut chance hai vo bhi nahin lena chahta...

Ye Dil Kya Kare( Cont. as Final moments)Where stories live. Discover now