No more differences

270 39 158
                                    

Meera reaches the graveyard where Haider was. She sees him in front of a grave but Haider doesn't notice her.
Haider - Jaanti hein choti, zindagi ek bohot lamba safar hein, aur lambe safar mein kaanch ka saman aksar tut jata hein.
Hum sab ke andar kuch kanch sa tuta hua hein. Shayad ussi ko hum dil kehte hein.
Iss dil ki fitrat hein, kabhi akele nahi judta, judta hein toh kisi aur ke dil ke saath.
Main aur Meera bhi akele the, jo shayad mukkamal hone ke liye ek dusre ki talash kar rahe the.
Kal gusse main na jane kya sab keh diya maine unhein, abb samjh nahi aa raha hein ki kya kahu unse. Chot toh lagi hein iss dil par choti, agar unhe waqt chahiye tha toh mujhe unhe dena chahiye tha. Pata nahi main suddenly itna insecure kaise feel karne laga. Janta hu ki woh bohot mohhabat karti hein mujhse, shayad unka ateet (past) unhein aage badhne se abhi bhi rok raha hein. Par waqt ke saath shayad unka mujhpar bharosa aur pakka hojaye. Main abb tak tere baare mein unhe nahi bataya paya hu aur unpar ilzaam laga baitha ki woh cheezen chupa rahi hein. Kash tu hoti aur hum milkar teri honewali bhabhi ko manate. (He smiles sadly.)

Meera hears it all

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Meera hears it all. She was very emotional. Haider was blaming himself for everything that had happened last night. If it was for someone else, they would have rather blamed her and left. But he...he was different. Even though he was hurt, he was still trying to understand her situation.
Meera(in a crying tone) - Haid... Haider...
(Haider turns and sees Meera standing beside him. He was stunned.)
Haider- Meera... Aap...
(Before Haider could say anything, she hugged him tightly, tears flowing from her eyes.)
Haider- Meera, roiye mat.. I am sorry... I know...
Meera- Aap itne aache kyun hein Haider!
Haider-Meera...
Meera-Kuch mat kahiye. Bas yunhi mujhe aapki bahon mein rehne dijiye...
Meera (in mind, looking at Firdous's grave) - Main janti hu tumne galti ki thi Firdous par jisne tumse ye gunaah karwaya usse main sukoon se jeene nahi dungi. Chaar zindagiyon ko barbaad kar diya uss insaan ne. Mera wada hein ye apne aap se ki abb tanhaiyon ko apni jholi mein woh insaan lega jisne humari  ye halat ki hein.

Haider - Kahan kho gayi (he says breaking the hug) Meera- I am sorry Haider, mujhe kal

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Haider - Kahan kho gayi (he says breaking the hug)
Meera- I am sorry Haider, mujhe kal ...Aapse...
Haider- shh... Kal ki baat nahi karte hein..
(Meera gives a guilty smile)
Haider- Waise aap yahaan kaise...?
Meera- Woh Ammi ne bataya...
Haider- Main woh...
Meera- Main janti hu Haider, aapko kuch kehene ki zarurat nahi hein.
Haider - Aaiye phir aapko main isse milwata hu... Hamari ghar ki sabse badi badmash se... (he laughs) Meri choti behen, Firdous…
Aur choti...yeh hai Meera...
Meera smiles at him looking at his love for his sister.
Meera- Aapse milkar behad khushi huyi Firdous.
(Haider smiles)
Meera- Ek baat bolu Haider.
Haider - Boliye...
Meera - Pata nahi abhi mujhe ye kehena chahiye ya nahi..,par Haider main sach mein manti hu ki Firdous aapko kabhi chod kar gayi hi nahi, woh aaj bhi aapke dil mein zinda hein. Isiliye, ye uska hak banta hein ki woh aapki tanhaiyon ki wajah nahi balki aapki khushiyon ki wajah bane. Jo voh apne bhaijaan se itni mohabbat karti thi, kya usse accha lagega ki uski wajah se uske bhaijaan dard mein hein, taqleef mei hein?

TanhaiyanWhere stories live. Discover now