CH-07

792 52 8
                                    

(sab un dono ke liye cheer karte Hain aur phir se photos kheenchna shuru ho jaata hai koi dulhe koi dulhan ke saath laakh koshish karne ke bawjood Yasir yn see baat nhi Kar paata hai)

(Aakhir 4 ghante ke baad function kahtam ho jaata hai aur sab apne-apne room main chale jaate Hain)

(Aakhir 4 ghante ke baad function kahtam ho jaata hai aur sab apne-apne room main chale jaate Hain)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Yn aur uski behne room main aati Hain)

Laiba- oh my god kitni bheedh this

Hina- and it was tiring

Laiba- appi itna heavy lehnga pehen ke aapko dikkat nhi Hui?

Yn- lehnge se dikkat nhi thi in heels se thi vaise ab aap dono apne room main jaaen aur change karke so jaaen raat ke 11 ehe Hain

Hina- accha vaise aapne jiju se baat ki?

(Hina ke poochne pe yn apna sar na main normally hilaati hai but andar se wo dukhi hai)

(Wo dono wahaan se chale jaate Hain aur yn bhi change karke aa jaati hai)

Yn's dress:-

(Yn apne bed par lait kar apna phone chalaane lagti hai)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

(Yn apne bed par lait kar apna phone chalaane lagti hai)

Yn- main unko message karoon?

(Yn sochti hai aur Yasir ko ek simple hello bhejti hai but Wo sirf blue tick ho Kar reh jaata hai)

Yn- inhone Mera jawaab kyun nhi Diya Kya humse koi galti Hui hai

(Yn sochti hai tabhi uske door par ek knock hote hai wo apna door kholti hai aur uss insaan ko dekhkar shock ho jaati hai)

Yn- aap yahaan?

Yasir- shhhhhhh

(Yasir yn ke muh pe apna haath rakhta hai aur peeche se door band Kar deta hai)

Yn- aap yahaan kyun aae koi dekh leta to?

Yasir- ham aapse Milne aaen hai aur hamain kisi ne nhi dekha agar dekh bhi le to Yasir Khan ko kisi ka khauf nhi hai

Yn- aapko nhi hai par hamain Hain koi dekh lega to Kya sochega?

Yasir- yhi ke ek larka apni mangetar see Milne aaya hai ab aap shaant ho jaaen Bahar zaroon aur Tariq Hain kisi ko nhi aane denge

(Yn aakhir kaar thori si relief hoti hai)

Yn- vaise Kya baat karni thi aapko humse?

Yasir- yahi ki humaari mangetar kitni haseen lag rhi thi aur abhi bhi lag rhi hai

(Yasir ke aisa bolne we yn paaglon ki tarah blush karti hai)

Yasir- app blush karte hue aur haseen lagti Hain

Yn- aap humain tang karne ka ek bhi bahaana nhi chorte na

Yasir- humne aapko tang kab Kiya humne to aapki tareef ki

(Yn aur Yasir aaram se baith jaate Hain)

(Outside of the room)-

Tariq- arey ye Yasir Bhai kahaan reh gae koi bhi kabhi bhi aa sakta hai

(Tariq zaroon ko dare hue face ke saath dekhta hai tabhi unhain kuch sunaai deta hai)

Zaroon- tumhain bhi kuch sunaai Diya Kya?

Tariq- haan

Zarron/tariq- koi aa that hai

(Un dono ke hosh urr jaate Hain but isse pehle wahaan koi aae un dono ko koi kheench leta hai)

Zaroon- mhmm

Laiba- shhhh khala aa rhi Hain shaant rehna

(Laiba aur hina Tariq aur zaroon ke muh par se haath hataati hai aur apni khala ke pass jaati Hain)

Hina- kh.kala aap kahaan j.iaa rhi Hain?

Khaala- yn ke room main,ye face mask hai Kya hua

Laiba- w.wo k.kya hai na aapi so gyi Hain aap ye humain de dijiye hum Kal unhain de denge

Khaala- theek hai ye lo

(Wo hina ko wo face mask deti Hain aur chali jaati Hain aur raasta saaf hone ke baad wo dono Bahar aate Hain)

Laiba- aapke paas yahaan Tak aane ka koi aacha reason to hoga hi

(Laiba apne arms fold karke puchti hai)

Zaroon- Yasir Bhai jaan andar Hain

Hina- KYA!!!

(Hina chillati hai aur Tariq jaldi se uska muh band karta hai)

Tariq- shaant rahain nhi to bari daant paregi

Hina- abhi khala jaan aai thi phir koi aur aaega aap log ab jaaiye Varna hum bhi fasenge

Zaroon- main Yasir Bhai ko awaaz deta Hoon

(Inside the room)

Yasir- aur-

*Knock knock*

Zaroon- Yasir Bhai main Hoon ab Chaliye Varna koi pakar lega

Yn- khuda haafiz

Yasir- aap humse door jaane ke liye bohot bekaraar Hain kahin aisa to nhi ke hum hamain pasand nhi karti?

(Yasir thori si hurt tone main puchta hai)

Yn- nhi nhi aisa nhi hai hum aapko bohot pasand karte Hain

(Yn jaldi se bolti hai but turant chup ho jaati hai Yasir uska laal face dekhkar hasta hai)

Yasir- khuda haafiz yn

Yn- khuda haafiz

Yasir- aap humaara naam kyun nhi leti Hain?

Yn- a.aise hi ab jaaiye bhi

Yasir- jab Tak aap humaara naam nhi leti hum nhi jaaenge

Yn- accha baba theek hai Allah Hafiz......Khan

(Yasir yn ke diye hue naam par muskuraata hai usse aaj Tak kisi ne iss naam see nhi bulaaya)

(Yasir jaldi se yn ke forhead par ek peck deta hai aur ek blushed yn ko chorkar Chala jaata Hai)

- to be continued

Hope you all liked the chapter my dear moonlights sorry for the spelling errors

💜BORAHAE💜

PURE LOVEWhere stories live. Discover now