YRRKH OS Book

By Kairafan2017

141K 7.4K 1.3K

Different os,ts, fs and ss on Yrrkh More

Tilak fiasco
Note
Abhira Tilak
Neil Adoption Track
Mehendi Track
Abhira ki Shaadi
Bachelorette party
Papa ki pari
Post leap track
Post leap track - Part II
Anisha death track
Akshara ka birthday
Abhi ki Akshu (CS)
Abhi ki Akshu - 1
Abhi ki Akshu - 2
Moving on ( Character Sketch)
Moving on ( Part 1 )
Moving on ( Part 2 )
Moving on ( Part 3 )
Akshara's life
Akshara's Life ( Part 2 )
Moving on ( Epilogue)
Akshara's life ( Part 3 )
Help
Akshara's life ( Part 4 )
New Life ( Intro+ CS )
New Life ( Part 1 )
New Life ( Part 2 )
New Life ( Part 3 )
New Story
A new start( Intro + CS)
New Life ( Part 4 )
KaiShu Reunion
New Life ( Part 5 )
New Life ( Part 6 )
New Life ( outfits )
New Life ( outfits -2 )
New Life ( Part 7 )
New Life ( Part 8 )
Vabby ki Babydoll
Confrontation
New Life ( Part 9 )
Note
Family
Bond of Love ( Part 1 )
Suggestions
Bond of Love ( Part 2 )
Note
New Life ( Part 10 )
Bond of Love ( Character Sketch 1 )
Bond Of Love ( Character Sketch 2 )
Bond of Love ( Part 3 )
New Life ( Part 11 )
Bond of Love ( Part 4 )
New Life (Part 12)
Bond Of Love ( Part 5 )
AkshNav ( Part 1 )
AkshNav ( part 2 )
AkshNav ( Part 3 )
AkshNav ( Part 4 )
AkshNav ( Part 5 )
Mimi's birthday I ( os )
Mimi's birthday II ( OS )
Kartik- KaiShu Reunion
Mendak ki Sherni ( Part 1 )
Anisha death track
Brother's Love
Custody Battle ( Part 1 )
Custody Battle ( Part 2 )
Custody Battle ( Part 3 )
Custody Battle ( Part 4 )
Custody Battle (Part 5)
Custody Battle ( Part 6 )
Custody Battle ( Final Part )
Naira ki Akshi ( Introduction )
Goenkas ki jaan FS ( Introduction )
Note
Returning back
KaIra Family ( Part 1 )
KaIra Family ( Last Part )
MusRav ( Part 1 )
MusRav ( Part 2 )
MusRav ( wedding outfits)
MusRav ( Part 3 )
Photos
Photos ( 2 )
MusRav ( Part 4 )
Confession ( Part 1 )
Confession ( Last Part )
New Story
New Story
Note

Confrontation

1.1K 105 35
By Kairafan2017

Here unlike the show Surekha dislikes Sirat and Arohi from the start and loves Akshara a lot as she is the last piece of her favourite daughter Naira who she loves more than her own daughter Mansi. Also she isn't after Muskan and Kairav instead she ships them together as she wants Kairav to be happy in his life and can see that Kairav and Muskan will have a good future together. Here Akshara had told everything to Kairav in Kasauli about what happened with her after leaving Udaipur not Muskan.

Scene starts with Manjari revealing Abir's  to the Goenkas.

Listening to the truth all the Goenkas are shocked.

Manish: Kyun kiya aisa tunhe Akshu kyun nahi bataya tunhe humhe sach. Aisi kya galti hogayi thi humse ki tumne humhe sach batana zaruri nahi samjha. Agar aaj Kartik Naira hote toh tum unse yeh baat kabhi nahi chupati phir humse kyun chupaya.

Swarna: Kya kami rehgayi thi humare pyaar mein Akshu ki tumne humse itna bada sach chupaya. Kya sachmein hum tumhari zindagi mein humare Kartik Naira ki kami puri karne mein nakaamyab rahe.

Suhasini: Hai bhagwan kya dikhaogi mein Kittu aur Naira ko. Jab meri maut hojayegi aur main Kittu aur Naira se milungi toh kya hoga. Jab woh mujhse puchenge ki maine apna farz theek se kyun nahi nibhaya? Kyun unki chotu sherni ko itna dukh jhelna pada toh kya jawaab dungi main unhe. Mujhe maaf kardo Kittu Naira mere hote hue Akshu ko itna sab kuch sehna pada.

The mention of Kartik Naira makes Swarnish, Surekha and KaiShu emotional.

Manjari: Arey yeh toh hai hi aisi jhooti aur dhokebaaz. Pehle mere Abhi ko chodkar bhaag gayi aur ek saath uss parayi aadmi Kunal Khera ke saath reh rahi thi aur pata nahi kya hua Abhi ko ki usne Akshara ko maaf kardiya. Neil ke maut ke baad phir mere Abhi ko chodkar bhaag gayi divorce papers sign karke. Aise giri hui aurat maine aaj tak nahi dekhi.

Surekha(shouts): Bas Manjiri bas ab ek aur shabdh nahi meri Akshu ke khilaaf. Hum chup hai iska matlab yeh nahi ki aap humare ghar mein khade hokar humare ghar ki beti ko kuch bhi keh sakte hai.

Arohi: Choti dadi aap maa ko kyun suna rahe hai sach hi toh kaha. Yeh Akshara humesha mere khushiya cheenti hai aur ab bhi wahi kar rahi hai. Isse dekha nahi jata meri khushiyan. Ab jab main aur Abhimanyu shaadi karne wale hai toh yeh phirse wapas aagayi humari zindagi mein apni manhoosiyat phelane.

Listening this Surekha gives Arohi a tight slap and she falls on the floor with a red cheek.

Surekha(shouts): Shut up Arohi just shut up. Himmat kaise hui teri meri Akshu ko manhoos kehne ki. Akshu ne kabhi tumse kuch nahi cheena, woh tum thi joh aaj tak Akshu aur iss ghar se bas chinti aayi ho. Bachpan se sab kuch cheena hai tumne Akshu se. Tum gayi thi mandir Sirat ke peeche isliye Akshu tumhare peeche aayi thi. Sirat ka pair fisal gaya tha mandir ki sidiyon pe jisse woh girke margayi aur tumne uska ilzaam Akshu pe lagaya. Usse ghar chodne pe majboor kardiya, uska bachpan cheenliya. Tera gussa, nafrat, ilzaam sehte sehte thakk gayi woh bechari, dil tut gaya uska tumhari nafrat dekhe aur chali gayi woh Cape Town Singhanias ke paas. Jis beti ko Kartik apne palko pe bithata tha, uske saare nakhre uthata tha usko ek kaanch ke gudiya jaisa nazu se palta tha ussi beti ko Kartik ke maut ke baad kya kya nahi sehna pada sirf apni sauteli behan ke wajah se. Akshara ji aur Naira ke jaane ke baad Akshu hi hai Naitik ji ke jeene ki eklauti wajah. Apne princess Naira ki princess ke liye hi toh ab tak Naitik ji zinda hai. Apni patni Akshara ji ke jaane ka dukh toh Naitik ji ne seh liya kyunki unke bacche unke Naksh aur Naira te unke saath uss wakt. Lekin jab Naira ki maut ki khabar mili Naitik ji ko toh woh sehen nahi karpaye woh ussi wakt mar jate agar unhone Akshu ke baare mein na socha toh. Tumhare wajah se Arohi sirf tumhare wajah se aaj Keerti iss ghar mein kadam tak nahi rakhti. Apne khudke maike ki taraf aankh uthake nahi dekhti Keerti aur Mansi sirf isliye kyunki woh nafrat karte hai tumse tumhari shakal nahi dekhna chahti joh tumne Akshu ke saath bachpan mein kiya aur aaj tak karti aayi ho uske baad. Tumhare maa ki wajah se mere beto ne ghar chod diya aur US chale gaye Kartik aur Sirat ki shaadi ke baad kyunki woh nahi dekh sake ki Naira ki jagah Sirat ne leli. Ek Naira thi jisne humare bikhare hue parivaar ko phirse joda aur tumhari aur tumhari maa ki wajah se humara parivar phirse bikar gaya, Naira ki saari mehnat par paani pher diya. 10 saal tak Naira ne jis parivaar ko bade pyaar se ek saath rakha woh tut gaya, kitni tadpi hogi Naira ki aatma apne pariwar ko bikhare hue dekhar, apni bachi ko itna dukh jhelte hue jisse woh duniya ki saari khushiyan dena chahti thi par afsos woh apne beti ke muh se mumma sunne keliye bhi zinda nahi rahi.

Manjiri: Mujhe aap sabka yeh bakwaas nahi dekhna, mujhe bas humara hakk. Main Abhir ko humare sath humare ghar nahi nahi uske apne ghar leke jaungi.

Hearing this Akshara holds Abhinav's hand tightly, they look at each other and Akshara assures him through her eyes that no one will be able to snatch Abhir from them.

Manish: Kyun kiya aisa Akshu kyun nahi bataya hume sach agar bata deti toh kya hum tera saath nahi dete, pure duniya se lad jaata yeh Manish Goenka par apne Akshu ke saath kuch bhi galat nahi hone deta.

Kairav: Bade papa aap please Akshu ko kuch mat kahiye maine kaha tha Akshu se ki aap sabse sach chupaye Abir ka.

Hearing this everyone is shocked except AkshNav and Muskan.

Swarna: Yeh tum kya keh rahe ho Kairav tumhe pehle se hi pata tha ki Abhimanyu Abhir ka pita hai.

Kairav: Nahi badi mumma yeh aapne galat kaha, Abhimanyu Abir ka baap nahi hai woh to sirf Abhinav ji hai. Abhimanyu Abir ka sirf namesake biological father hai, sahi mayno mein Abhinav ji hi hai Abhir ke asli pita. Jab main Kasauli gaya tha Akshu se suleh karne tab usne mujhe sab kuch bataya. Meri behan ne bohot kuch saha hai Udaipur chodne ke baad tab sirf Abhinav ji hi te Akshu ke saath. Akshu ne joh kuch saha hai woh main sapne mein bhi nahi soch sakta aur inn sab ke zimmedar sirf Abhimanyu hai aur koi nahi.

Manjiri: Bas karo Kairav mere bete ko dosh dena bandh kardo. Galti tumhari behan ki hai usne chupaya tha Abhir ka sach hum sab se. Aur inn sab mein woh akeli nahi thi yeh aadmi Abhinav Sharma bhi issmein barabar ka hissedaar hai.

Manjiri goes and stands infront of Abhinav.

Manjiri: Kitne gire hue aadmi ho tum, tumse zyada gira hua aadmi maine aaj tak nahi dekha. Tum ek neech, khudgarz aur ek bohot hi gire hue insaan ho. Log toh paisa, daulat aur pata nahi kya kya churate hai lekin tumne toh ek baap se uska baccha chura liya.

Abhinav has tears hearing these words, Akshara gets sees Abhinav's tears and gets angry on Manjiri.

Akshara(shouts): BAS BOHOT HOGAYA AAPKA. Kis hakk se aap Abhinav se aise baat kar rahi hai Ms.Manjiri Jindal. Aapko joh kehna hai mujhse kahiye Abhinav se nahi. Agar aapne Abhinav ke khilaaf apne muh se ek bhi shabdh aur nikala toh Kanha ji ki kasam mujhse bura koi nahi hoga.

The Goenkas see a glimpse of their sherni Naira in Akshara. Kairav who was standing near Muskan whispers to himself which Muskan hears.

Kairav: Shabash Akshu yeh hui na sherni wali baat. Sherni mumma ki chotu sherni.

Akshara: Jis pote par aap apna hakk jatane aaye hai na aaj agar woh pota zinda hai na toh issi gire hue aadmi ki wajah se. Jis din Neil ki maut hogayi thi na uss din mera bhi miscarriage hua tha, ek aurat hone ke naate aapko mera dukh samajhna chahiye tha par aapne toh mujhe Neil ka aur mere bacchon ka khooni kehdiya aur aapke bete the great Dr. Abhimanyu Birla ne kya kiya mere saath. Jis wakt mujhe pyaar, support aur care ki sabse zyada zarurat thi uss wakt iss Abhimanyu ne kamre mein aake mujhpe itne zor se chillaya. Mujhpe Neil ki maut ka ilzaam, mere bacchon ki maut ka ilzaam yaha tak ki Sirat mumma ki maut ka ilzaam lagaya.

The Goenkas are shocked learning about this as Abhimanyu didn't tell them anything except Kairav as Akshara had already told him this too in Kasauli. They get angry at Abhimanyu for blaming Akshara for Sirat's death and hiding it from the Goenkas till day when they were treating him like their son even after Abhira's relationship broke.

Akshara: Phir kya kiya tumne mere muh pe divorce papers sign karke phek diya aur mujhe ghar se jaane ko kaha. Main jeeyo ya maru usse tumhe koi farak nahi padta, tumne kaha kaash ki main khud mar jaati Neil ki jagah. Tum doctor ho na bahut bade doctor, tumhe toh pata hoga ki miscarriage ke baad ek aurat ko kitni care ki zarurat hai. Woh mentally aur physically weak hoti hai woh depression mein chale jaate hai toh kaise khyaal rakhna chahiye unka kaise unhe khush rakhna chahiye. Aur tumne kya kiya mujhe hi blame kiya, uss wakt uss halat mein joh mental torture se main guzar rahi thi tumhare wajah se woh koi soch bhi nahi sakta, yeh tha tumhara postpartum care mere liye Dr. Abhimanyu Birla. Jab mujhe pata chala ki mera ek baccha zinda hai tab apni self respect side mein rakhe maine Abhimanyu ko call kiya yeh batane keliye ki humara ek baccha zinda hai tab kya kiya aapke bete ne puchiye usse.

Manjiri is shocked learning this and she looks back at Abhimanyu who is standing with his eyes downcast.

Akshara: Ek baar nahi do baar nahi kahi baar lagatar call kiya maine Abhimanyu ko Abhinav ne bhi call kiya lekin usne ek baar bhi call nahi uthaya agar uthaya bhi toh sirf mujhpe chillata tha ek mauka nahi diya mujhe kuch bolne ka. Phir maine socha ki bas bohot koshish karli maine Abhimanyu ko sach batane ki ab aur nahi. Jis wakt mujhe Abhimanyu ki sabse zyada zarurat thi uss wakt usne mujhse muh pher liya sirf Abhinav hi te mere saath. Abhinav ne mujhe ek ladies hostel mein daala lekin jab hostel ke warden ko pata chala ki main pregnant hoon toh mujhe beizzat karke aadi raat ko hostel se nikala. Pregnancy ke halat mein main ek anjaan jagah mein ek sunsaan raaste mein akele batak rahi thi raat ke liye aashray dhoondne ke liye. Mujhe nahi pata mein kaha jarahi thi woh jagah konsi hai phir uske baad joh hua mere saath woh kabhi kisi ladki ke saath nahi hona chahiye. Kanhaji kabhi kisi ladki ko aisa din na dikhaye aise situation mein na daale jisme main thi.

Akshara drops down on her knees crying bitterly remembering the past incidents. Abhimanyu feels guilty seeing her sufferings because of him. Manjiri too feels bad seeing Akshara's tears, she may hate her a lot but deep down she still has a soft corner for her and considers Akshara her daughter. Kairav and Abhinav kneel down and hug Akshara from either side comforting her.

The Goenkas and Birlas are confused as to what happened with Akshara that night that made her break down.

Manish: Akshu beta kya hua tumhare saath uss raat please batao humhe bohot dar lag raha hai.

Akshara cries more making everyone worried.

Kairav: Bade papa please aap Akshu se kuch mat puchiye uss baare mein woh uss incident ke baare mein batane ki halat mein nahi hai. Main bata hoon aap sabko kya hua tha. Uss raat Akshu uss sunsaan raaste pe jarahi thi tab usne paanch ladko ko dekha joh puri tarah nashe mein dhut te. Jab unn ladko ne Akshu ko dekha tab woh buri tarike se usse ghoor te rahe jise Akshu bohot dar gayi. Unhe ignore karke woh chup chap waha se jarahi thi tab unn sabne uska raasta rokh liya aur usse badtameezi karne lage.

Akshara: Ek minute bhaiya mein bolungi kya hua tha, kya kya feel kar rahi thi main sab bataungi inko apne muh se. Uss raat unn ladko ne mujhe molest kiya, woh paanch ladke te aur main ek akeli ladki iss baat ka fayda uthaya unhone. Main cheekti rahi chillati rahi madad maangti rahi par koi nahi tha meri aawaz sunne wala. Isse pehle ki woh ladke kuch kar paate mere saath Abhinav waha par pahunch gaye mujhe dhoondhte hue kyunki unhe pata chal gaya ki warden ne mujhe hostel se nikala jab woh waha gaye te. Abhinav ne uss din meri jaan aur izzat bachayi, unhone unn ladkon se ladayi ki meri raksha karne ke liye jisme woh bhi bohot ghayal hue te. Kuch mahine beet gaye Abhinav ne mera bohot acche se khyaal rakha jab humara koi rishta hi nahi tha uss wakt. Jab main labour mein gayi toh doctor ne kaha ki mera baccha shaayad survive nahi karega kyunki meri pregnancy itni complicated thi. Jab Abir paida hua tab ek hafte tak main behosh thi. Abhinav ne Abhir ko apne seene se lagake ke rakha usse ek minute ke liye bhi neeche rakha uss ek hafte mein. Ek baap hone ke saare farz Abhinav ne nibhaye. Jis din maine aapko call kiya tha na bade papa usse 10 din pehle Abhir paida hua tha. Abhir ke liye maine Abhinav se shaadi karne ka faisla liya aur humne mandir mein shaadi kardi, uske baad aapko call karke bataya mere shaadi ke baare mein. Pati patni ka rishta toh tha nahi humare beech itne saalo se bas Abhir ke maa baap banke jee rahe te. Abhinav aur mera pati patni ka asli rishta toh abhi kuch samay pehle hi bana hai. Kuch samay pehle maine Abhinav se phirse shaadi kardi aur usse pure mann se apna pati maana aur pyaar ko ek second chance diya. Yeh mere life ka sabse best decision tha main bohot lucky hoon ki mujhe Abhinav jaisa caring, understanding aur itna pyaar karne wala husband mila hai.  Ek baar tumne humari shaadi ko ek galti kaha tha na woh sahi tha, aaj main bhi kehti hoon Abhimanyu Birla ki mera tumse shaadi karne ka decision mere life ki sabse badi galti thi.

Everyone is shocked hearing about all her sufferings. Abhimanyu and Manjiri feel guilty for all the things that happened to her because of them.

OS completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

Continue Reading

You'll Also Like

21.8K 827 11
A place to enjoy sad,happy & romantic AbhiMaan OS/SS. (Occasional updates)
3.4K 216 6
This book will contain OS/TS based on RuHit/RoHi. You all can give your suggestions as well
58.9K 3.7K 113
Gen 3 Abhira story in my way