Confrontation

1.1K 105 35
                                    

Here unlike the show Surekha dislikes Sirat and Arohi from the start and loves Akshara a lot as she is the last piece of her favourite daughter Naira who she loves more than her own daughter Mansi. Also she isn't after Muskan and Kairav instead she ships them together as she wants Kairav to be happy in his life and can see that Kairav and Muskan will have a good future together. Here Akshara had told everything to Kairav in Kasauli about what happened with her after leaving Udaipur not Muskan.

Scene starts with Manjari revealing Abir's  to the Goenkas.

Listening to the truth all the Goenkas are shocked.

Manish: Kyun kiya aisa tunhe Akshu kyun nahi bataya tunhe humhe sach. Aisi kya galti hogayi thi humse ki tumne humhe sach batana zaruri nahi samjha. Agar aaj Kartik Naira hote toh tum unse yeh baat kabhi nahi chupati phir humse kyun chupaya.

Swarna: Kya kami rehgayi thi humare pyaar mein Akshu ki tumne humse itna bada sach chupaya. Kya sachmein hum tumhari zindagi mein humare Kartik Naira ki kami puri karne mein nakaamyab rahe.

Suhasini: Hai bhagwan kya dikhaogi mein Kittu aur Naira ko. Jab meri maut hojayegi aur main Kittu aur Naira se milungi toh kya hoga. Jab woh mujhse puchenge ki maine apna farz theek se kyun nahi nibhaya? Kyun unki chotu sherni ko itna dukh jhelna pada toh kya jawaab dungi main unhe. Mujhe maaf kardo Kittu Naira mere hote hue Akshu ko itna sab kuch sehna pada.

The mention of Kartik Naira makes Swarnish, Surekha and KaiShu emotional.

Manjari: Arey yeh toh hai hi aisi jhooti aur dhokebaaz. Pehle mere Abhi ko chodkar bhaag gayi aur ek saath uss parayi aadmi Kunal Khera ke saath reh rahi thi aur pata nahi kya hua Abhi ko ki usne Akshara ko maaf kardiya. Neil ke maut ke baad phir mere Abhi ko chodkar bhaag gayi divorce papers sign karke. Aise giri hui aurat maine aaj tak nahi dekhi.

Surekha(shouts): Bas Manjiri bas ab ek aur shabdh nahi meri Akshu ke khilaaf. Hum chup hai iska matlab yeh nahi ki aap humare ghar mein khade hokar humare ghar ki beti ko kuch bhi keh sakte hai.

Arohi: Choti dadi aap maa ko kyun suna rahe hai sach hi toh kaha. Yeh Akshara humesha mere khushiya cheenti hai aur ab bhi wahi kar rahi hai. Isse dekha nahi jata meri khushiyan. Ab jab main aur Abhimanyu shaadi karne wale hai toh yeh phirse wapas aagayi humari zindagi mein apni manhoosiyat phelane.

Listening this Surekha gives Arohi a tight slap and she falls on the floor with a red cheek.

Surekha(shouts): Shut up Arohi just shut up. Himmat kaise hui teri meri Akshu ko manhoos kehne ki. Akshu ne kabhi tumse kuch nahi cheena, woh tum thi joh aaj tak Akshu aur iss ghar se bas chinti aayi ho. Bachpan se sab kuch cheena hai tumne Akshu se. Tum gayi thi mandir Sirat ke peeche isliye Akshu tumhare peeche aayi thi. Sirat ka pair fisal gaya tha mandir ki sidiyon pe jisse woh girke margayi aur tumne uska ilzaam Akshu pe lagaya. Usse ghar chodne pe majboor kardiya, uska bachpan cheenliya. Tera gussa, nafrat, ilzaam sehte sehte thakk gayi woh bechari, dil tut gaya uska tumhari nafrat dekhe aur chali gayi woh Cape Town Singhanias ke paas. Jis beti ko Kartik apne palko pe bithata tha, uske saare nakhre uthata tha usko ek kaanch ke gudiya jaisa nazu se palta tha ussi beti ko Kartik ke maut ke baad kya kya nahi sehna pada sirf apni sauteli behan ke wajah se. Akshara ji aur Naira ke jaane ke baad Akshu hi hai Naitik ji ke jeene ki eklauti wajah. Apne princess Naira ki princess ke liye hi toh ab tak Naitik ji zinda hai. Apni patni Akshara ji ke jaane ka dukh toh Naitik ji ne seh liya kyunki unke bacche unke Naksh aur Naira te unke saath uss wakt. Lekin jab Naira ki maut ki khabar mili Naitik ji ko toh woh sehen nahi karpaye woh ussi wakt mar jate agar unhone Akshu ke baare mein na socha toh. Tumhare wajah se Arohi sirf tumhare wajah se aaj Keerti iss ghar mein kadam tak nahi rakhti. Apne khudke maike ki taraf aankh uthake nahi dekhti Keerti aur Mansi sirf isliye kyunki woh nafrat karte hai tumse tumhari shakal nahi dekhna chahti joh tumne Akshu ke saath bachpan mein kiya aur aaj tak karti aayi ho uske baad. Tumhare maa ki wajah se mere beto ne ghar chod diya aur US chale gaye Kartik aur Sirat ki shaadi ke baad kyunki woh nahi dekh sake ki Naira ki jagah Sirat ne leli. Ek Naira thi jisne humare bikhare hue parivaar ko phirse joda aur tumhari aur tumhari maa ki wajah se humara parivar phirse bikar gaya, Naira ki saari mehnat par paani pher diya. 10 saal tak Naira ne jis parivaar ko bade pyaar se ek saath rakha woh tut gaya, kitni tadpi hogi Naira ki aatma apne pariwar ko bikhare hue dekhar, apni bachi ko itna dukh jhelte hue jisse woh duniya ki saari khushiyan dena chahti thi par afsos woh apne beti ke muh se mumma sunne keliye bhi zinda nahi rahi.

YRRKH OS BookWhere stories live. Discover now