Bond of Love ( Part 4 )

589 47 15
                                    

Singhania Sadan
Kairav is at Singhania Sadan as KarShu have gone to Mumbai. Singhanias and Kairav too will be going but one day before the competition which is gonna be after a week.

Note: Krishuv's room is actually Krish's room but when KaiShu come to stay at Singhania Sadan Kairav stays in Krish's room while Akshu in Vatsal's room. When Kaira was alive she and Krish along with baby Kairav used to stay at Krish's room. Currently as Vatsal isn't there Akshu will be staying with Krishav in Krish's room.

Krishav's room
Kairav is sitting in the room holding Naira and Kaira's photo as he is missing him mumma and sister a lot.

The photo:

Kairav: Mumma I miss you so much bahut yaad aati hai aapki, kyun chali gayi mujhe chodke? Atleast maine toh aapko dekha hai lekin Akshu ne toh kabhi aapko dekha nahi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Kairav: Mumma I miss you so much bahut yaad aati hai aapki, kyun chali gayi mujhe chodke? Atleast maine toh aapko dekha hai lekin Akshu ne toh kabhi aapko dekha nahi. Akshu ko kya kabhi mumma ka pyaar nahi milega? Woh kabhi kisiko mumma ne kehpayegi? Yahi question tha mere dimag mein jab aap humhe chodke chali gayi lekin mein galat tha. Jaise mujhe mumma ka pyaar mila hai waise hi Akshu ko bhi mumma ka pyaar dene ke liye papa ne Akshu ko ek dusri mumma dediya ab Akshu bahut khush hai, usse aapki kami mehsoos nahi hoti. I know aap bohot khush honge ki humari dusri maa aapki saari responsibilities acche se nibha rahi hai. Kaira di I know aap hum sab se bohot pyaar karti hai lekin aapne mumma ko apne paas kyun bulaya, ab aap toh mumma ka saara pyaar akele enjoy kar rahi hai aur mere aur Akshu ka kya? Mujhe yaad nahi lekin mumma papa kehte te ki aap apne baby brother yaani mujhse bohot pyaar karti thi phir mumma ko apne paas kyun bulaya. Aapke baare mein to mujhe zyada kuch yaad nahi, bohot chota tha na main jab aap hume chodke chali gayi. Bas itna yaad hai ki aap mujhe din bar apne godh mein leke khelte rehte te chief ke saath aur aap mujhe chote kehti thi. Chief ne ek baar mujhe chote kaha tab aapko pasand nahi aaya aur tabse chief mujhe sirf junior kehte rehte hain. Aap bohot possesive hoti thi mere liye. Main aap dono ko bohot miss karta hoon. I love you mumma I love you Kaira di.

Krish enters the room.

Krish: Junior. ( Stops what he is speaking seeing Kairav crying holding Naira and Kaira's photo. Krish too gets emotional seeing his bua and his best friend Kaira. He sits near Kairav and side hugs him.) Kaira aur bua ki bohot yaad aarahi hai na, mujhe bhi specially bohot miss karta hoon main Kaira ko.

Kairav: Chief main toh bohot chota tha na jab di ki maut hogayi mujhe toh theek se kuch yaad bhi nahi hai sirf kuch hi cheeze yaad hai lekin aap toh bade te na, mumma mujhe batati thi aap aur di best friends te. Mamu kehte hai jaise aaj Vasu aur Akshu ka rishta hai waisa hi rishta aapka aur di ka tha. Aap mujhe aapki aur di ki bacchpan ke kisse sunaye na please.

Krish(emotionally): Kaira aur main best friends te ek dum Jay Veeru jaise. Kaira meri gundi aur boss thi aur main uska crybaby. Main tum teeno ka chief hu lekin woh meri boss thi, humesha mujhpe hukum chalati rehti thi. Gundi banke maarti thi mujhe. Bacchpan mein bohot fussy aur rotlu tha mein, baat baat pe rota rehta tha toh usne mujhe crybaby bulana shuru kardiya. Usse bohot maja aata tha mujhe fasaane mein, shaitaaniya woh karti thi aur mujhe fasakar saza dilati thi. Kutte billi ke tarah ladte te hum. Hum ek dusre ke bestfriends te, bhai behan kabhi mana hi nahi ek dusre ko isliye maine kabhi usse di nahi kaha. Woh chahe kitna bhi pareshan karle mujhe lekin mere aankhon mein aasu nahi dekh sakti thi, aur agar mujhe koi aur pareshan karta toh chup nahi bethi thi. Sherni bua ki badi sherni thi woh. Meri saari galtiyon chupati thi woh. Jab tu paida hua tha na junior tab ek din mujhse galti hogayi, tu uss wakt sirf ek hafte ka hua tha. Mujhe tumhare saath khelna tha toh main tujhe uthake apne saath legaya bina kisi ko bataye garden mein jab tum sab Singhania Sadan aaye te. Tere saath khelte waqt waha par bohot dhoop thi toh main tujhe udhar ek minute ke liye chodke paani peene gaya tha jab wapas aaya tab tu hua ke haath mein tha, itne kadi dhoop mein hone ke wajah se teri puri skin jal rahi thi aur tujhe rashes aagaye. Uss wakt mein chota tha toh mujhe nahi pata ki newborn babies ki skin bohot sensitive hoti hai. Bua bohot gusse mein thi aur puch rahi thi ki kisne tujhe itne dhoop mein akele chod diya. Mujhse galti hui thi joh maine realise ki aur main bua ko batane hi wala tha ki tujhe main leke gaya waha par usse pehle hi Kaira ne mujhe bachane ke liye ilzaam apne sar pe liya. Bua uss din bohot gusse mein thi aur pehli baar unhone Kaira ko thappad maara aur itna daanta. Thappad ki wajah se Kaira ka pura gaal laal hua tha , bohot rorahi thi woh. Uski halat mujhse dekhi nahi gayi aur main sach batane wala tha ki Kaira ne mujhe ishaara kiya chup rehne ko. Do din koi bhi Kaira se baat nahi kar raha tha jiski wajah se woh bohot dukhi thi, mujhse aur dekha nahi gaya uski yeh udaasi aur maine jaake sab ko sach bataya tha. Mumma papa ne bohot daanta mujhe, bua aur mamu ne mujhe maaf kardiya aur Kaira se bhi maafi maangli. Lekin woh bohot khush te hum dono ka rishta dekhar. Kaira ne mujhe bachane ke liye khud ilzaam apne sar pe liya aur maine Kaira ki udaasi dekhe khud sach bataya sabko iss baat se bohot khush te kyunki isme humara pyaar saaf saaf dikh raha tha. Kaira chahe jitna maare mujhe lekin agar kisi aur ne mujhe haath bhi lagaya toh sherni banke maar pit karti thi. Jab playschool mein tha mein tab Kaira bhi ussi school mein thi, ek din kuch ladkon ne mujhe pareshaan kiya aur dhaaka maara jiske wajah se mujhe girke chot lagi. Main rote rote Kaira ke paas gaya aur usse yeh sab bataya jiske wajah se Kaira ko bohot gussa aaya, meri chot pe dawai lagane ke baad usne jaake unn bacchon ko bahot maara. Itna bada issue hogaya tha ki school walo ne bua aur mamu ko bulake Kaira ki complaint kardi. Pehle Kaira ke iss harkat par bohot gussa aaya lekin jab unhe sach pata chala toh they were proud of her phir unhone Kaira ko samjhaya ki maar pit kisi cheez ka solution nahi hoti. Jab Kaira kidnap hogayi thi toh main bohot roya tha, khaana paani kuch bhi nahi liya bas din bar Kanhaji se prarthna karta raha ki meri Kaira hume jaldi wapas mil jaye. Lekin jab woh mili toh waise nahi jaise maine socha tha. Jab Kaira ko hospital mein admit kiya tab mujhe aur tujhe waha leke gaye te kyunki Kaira humse milne ki zid kar rahi thi shayad usse pata tha ki woh marne wali hai isliye woh hum dono ko ek aakhri baar dekhna chahti thi. Jab main usse mila uss hospital ward mein tab main bohot roraha tha, usne haske mere aansu poch liye, tujhe gale se lagaya aur phir humare saamne hi usne apna dum tod diya. Mujhe aaj bhi yaad hai jaane se pehle kya kaha tha usne kabhi nahi bhul sakta mein woh shabdh. " I love you crybaby I love you chote, cry baby mere chote ka dhyaan rakhna aur khudka bhi. Tujhe pata main chote se zyada tujhse pyaar karti hoon isliye kabhi tere aankhon mein aansu nahi aane chahiye". Uss ke jaane ke baad koi nahi tha mujhe pamper karne keliye jaisa woh karti thi, mujhe school mein bullies se bachane ke liye bhi koi nahi tha mujhe khud apna bachav karna padta tha. Bohot miss karta hu main usse khaaskar humare birthday ke din isliye uss ke jaane ke baad bhi har saal humare birthday pe hum do cakes cut karte hai. Kaira ka birthday cake uss ki taraf se mein cut karta hoon.

5 days later
Everyone have just reached Mumbai and have gone and checked-in their rooms after meeting Kartik Akshu. The couples in their separate rooms, Kartik Kairav and Krish Akshu in one room. Till now she was with Karthik but after the family arrived she will stay with Krish. Till now Kartik and Tina haven't seen each other.

Night 2.00 am
Naksh who has been trying to sleep from a long time fails and gets up. He goes near the window and starts watching out. His eyes fall on the garden of the hotel where he can see a lady walking around lost in thoughts. The moment he sees that lady's face he gets shocked+emotional. He immediately leaves his room and goes down.

Garden
Tina is walking around in the garden busy thinking and trying to remember who are those people that come in her dreams. That time Naksh comes infront of her suddenly and starts staring at her emotionally. Tina is startled when an unknown man comes infront of her. Seeing that man a sense of familiarity engulfs her heart, she feels like she knows that man very well but shrugs off her feelings when she notices that man staring at her continuously making her angry.

Tina: Kon hai aap aur aise mujhe ghoor kyun rahe hai. Sharam nahi aati aisi harkat karte hue, ghar mein maa behan nahi hai kya. Yeh ghoorna bandh kijiye nahi toh aapki aankhein noch lungi main.

Naksh doesn't say anything as he is just shocked seeing his Naira alive infront of him. He goes and hugs her tightly making Tina shocked. When Naksh hugged her she felt very safe and protected in his arms but ignores her thoughts and pushes him away. The moment he hugged Tina he instantly knew that she is his Naira, his 007 who he has bought up like his own kid from the time she was born.

(Naksh has grown up treating both his sisters as his kids. Gayu is his first kid and Naira second, his actual kid Krish comes third in the line that's why he loves both his sisters children more than his own.)

When Tina pushed him away he got shocked.

Tina(shouts): Aapki himmat kaise hui mujhe chune ki, sharam nahi aati ek aurat ko uski marzi ke bina chune mein.

Naksh: Naira yeh tu kya bol rahi hai. Aur tu chodke kyun chali gayi thi hume pata hai kitna miss kiya sabne tujhe. Bohot yaad aati thi teri.

He hugs her again and kisses her forehead lovingly while she tries to come out of his hold. He breaks the hug and holds her hand saying.

Naksh: Chao tu mere saath jab main sabko bataunga tab sab kitne khush honge tujhe dekhne ke baad.

Tina frees her hand from his hold and punches him straight on his face making him shocked.

Tina: Aapki himmat kaise hui mera haath pakadne ki aur kya Naira Naira laga rakha hai, main koi Naira nahi hoon Tina naam hai mera. Agar phirse aapne mere saath badtameezi karne ki koshish ki toh jaan se maar dungi aapko samjhe.

Naksh(crying): Naira tu jhoot kyun bol rahi hai mujhe pata hai tu koi Tina nahi balki meri Naira hai. Tu choti behen hai meri , meri 007 jisse maine apne haathon se bada kiya hai. Bohot tadpa hai tera bhai tere liye ab aur mat tadpa. Mera na sahi toh Kartik Kairav aur Akshu ke baare mein soch unka kya haal hai tere bina. Humare mumma papa ka toh soch aur aake sabse mil tere bina humara ghar suna suna lagta hai. Kitna mushkil tha sabke liye yeh maana ki tu mar chuki hai, Kartik ko toh pura yakeen tha ki tu zinda hai aur dekho uska vishwas jeet gaya. Uski biwi uski Naira apne mendak ki sherni zinda hai.

Hearing his words her anger subsides and she feels bad for him thinking that his sister is dead and that he misunderstood her to be his sister. She feels bad for hitting him. Seeing him crying her heart pains. The words 007, mendak sherni felt very familiar to her. She also gets shocked hearing the names which she had in her dreams.

Tina: Dekhiye sorry maine aapko bewajah maara lekin mein aapki behan Naira nahi hoon. Mera naam Tina Sharma hai. Shayad aapko laga ki main aapki behan Naira hoon par main Tina hoon.

Saying this she gets up and runs from there back to her hotel room before Naksh could follow her.

Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

YRRKH OS BookWhere stories live. Discover now