Custody Battle ( Final Part )

1.3K 109 17
                                    

Scene starts from Akshara keeping her gifts in her side of the wardrobe. She keeps her the things in the wardrobe and locks it. She keeps the keys in her pocket but it falls on the floor which goes unnoticed by her. She was going to leave the room when she feels like vomitting again so she turns back and rushes to the washroom. Arohi who was standing out and peeping inside sees everything including the keys falling down. When Akshara rushes to the washroom she sneakily goes in and picks up the keys looking at it with an evil smile, she keeps the keys in her pocket and tip toes out of the room before Akshara comes out.

Evening 5.00 pm
Amish has already left back for Rajkot. Everyone is sitting in the hall having tea and snacks together except Akshara and Arohi. Akshara is resting in their room ( AkshNav's) as she wasn't feeling well while Arohi is gone to VaRa's room taking the opportunity as everyone is busy with each other downstairs to do her favourite work from childhood ( that is Akshara ki cheezon pe nazar dalke usse chori karne ki koshish karna. )

VaRa's room
Arohi enters the room and goes to the wardrobe, unlocking it with the keys and then opening it. She searches for the kangan that Meenakshi dadi had given Akshara and soon finds it. She wears the kangan and admires it. She puts them in her pocket and goes to remove the other things when suddenly someone turns her around and gives her a tight slap. She sees that it's Manish who slapped her.

Manish(angry): Tum apni inn cheap harkaton se kabhi baaj nahi aaungi na Arohi, humesha tum Akshu ke cheezon pe nazar dalti ho aur unhe churane ki koshish karte ho. Problem kya hai tumhari sab kuch toh hai tumhare paas yeh baat mujhe acche se pata hai ki woh Manjiri Birla tumhe sar pe chadake rakhti hai kyun tum ho toh unke hi jaisi ghatiya aurat joh har wakt unki chamchi banke rehti hai. Toh tumhe toh sab kuch deti hogi na woh mehenge se mehenge tohfe kapde gehne sab kuch phir bhi tumhe Akshu ko diye hue cheezon pe hi humesha apni nazar dalni hai. Tumhari bachpan ki aadat abhi tak nahi gayi hai na Akshu ke cheeze churane ki, bacchpan mein jab bhi Singhanias ya Rajvanshs mein se Akshu ke liye tohfe aate te tum humesha uske tohfon ko churane ki koshish karti thi. Chahe woh Naira ki princess ring ho joh Naitik ji ne Naira ko di thi phir Akshu, Mishti ka diya hua woh diamond bracelet ho, Naksh ka diya woh pendant ho ya phir Gayu ke diye hue woh khilone ho. Tumhare paas sab kuch tha bachpan se Kartik ki beti ho isliye tumhe kabhi kisi cheez ki kami nahi hui joh maanga woh diya jata tha tumhe lekin tumhe sirf Akshu se jalna tha aur uski cheeze hadapne ki koshish karti thi. Main toh bhul hi gaya tum ho toh uss Sirat ki beti aur uss Sheila ki naatin, tumhari maa aur nani dono chorniya thi aur tum bhi waise hi bangayi. Woh Sheila humare ghar mein aake chori karti thi aur phir woh Sirat khud usse sabke saamne expose karke humare nazron mein mahaan banna chahti thi. Usne sabko toh bewakoof bana diya lekin mujhe aur Surekha ko kabhi bewakoof nahi bana payi. Insaan ko acchi tarah se pechanne ka tajurba hai mujhe aur Surekha ke paas uski baaj ki nazar isliye hum dono ne jab Sirat ko pehli baar dekha tab hi samajh gaye te ki iss ladki ki fitrat mein khot hai aur yeh humare parivaar ko barbaad kar degi joh usne sach mein kardiya. Kitna samjhaya hum dono ne parivaar ko lekin uss Sirat ne joh bholi bhali acchi ladki hone ka mukhota pehna tha uske wajah se sabki aankhon mein patti bandh gayi aur sab usse accha samajhne lag gaye. Woh Sirat humari ghar ke bahu bane usse kuch din bhi nahi hue lag gayi apne kaam pe humari Naira ki jagah lene chali thi woh sadakchap manhoos aurat. Naira aur Sirat ki sirf surat milti thi lekin dono ki fitrat bohot alag thi. Ek ka mann aaine ke tarah saaf that sone ke dil wali humari Naira aur tumhari maa Sirat uska mann toh koyle se bhi kala tha pattar dil ki thi woh. Nikal jao iss kamre se aainda agar maine tumhe iss kamre me paas, Akshu Abhinav ji ke kamre ke paas ya Akshu ke kisi bhi saaman ke paas dekha toh tumhari khair nahi. Akshu se Abir se aur Akshu ke hone wale bacche se dur raho tum, agar tumne Akshu ko ya uske hone wale bacche ko nuksaan pahunchane ki koshish ki toh woh tumhara aakhri din hoga iss ghar mein. Tumhare saath saath Ruhi keliye bhi iss ghar ke darwaze humesha humesha keliye bandh hojayega sirf tumhari ek galti ki wajah se. Tumhari fitrat ko bohot acche se pechanta hoon main Arohi Akshu ki khushiyan tumse dekhi nahi jaati toh tum apne mann mein zaroor koi planning kar rahi hogi Akshu ki khushiyan barbaad karne keliye. Arey tum Akshu ke ajanme bache ko bhi maar sakti ho.

YRRKH OS BookWhere stories live. Discover now