Chapter- 13

536 39 29
                                    

Purvi- Wh..what Daya sir ka blood group bhi [O-] hai!!!

Kavin- Papa aur Tauji ka bhi. Par mujhe ek baat samjh nahi aayi. Ye ek rare blood group hai. Infact Tans ka blood group B+ hai.

Purvi- I'm sorry Kavin ek pal ke liye kya kya soch liya tha maine.

Kavin- Kya socha??

Purvi- Kuch nahi.... jaane do. We have to leave.

Kavin- Pankaj aur Ishita hospital gaye hain aate hi honge phir hum chalenge okay.

Purvi- Hmm.. Ye dekho dono aa gaye.
(Both of them headed with a different emotion)

Kavin- Tum dono ko kya hua??

Pankaj- Kuch nahi sir......

Purvi- Kya Pankaj aaj tumne sach much ka aatma dekh liya.

Ishita- Nahi Purvi..... baat kuch aur hai.

Kavin- Kya hua Ishita any problem??

Ishita- Daya sir kahan hai?

Kavin- Woh shayad washroom mein honge. But hua kya ??

Purvi- Ishita... Pankaj batao kya hua??

Pankaj- Mai Daya sir ko bulake aata hun. (He leaves from there without waiting for their response)

Kavin- Ishita kya baat hai batao.

Ishita- Ek baar Daya sir aa jayen phir baat karte hain.

Kavin- Ishita tum aaj subah se hi weird behave kar rahi thi aur woh tumhare haath mein kya hai??

Ishita- Woh sir... woh..... ye (she shows the picture of Shreya/Priya)

Purvi- Shreya ki photo ye tumhe kahan se mili??

Kavin- Ek min ye toh pregnant hai. Matlab ye recent ki picture hogi. Ye tumhe kahan se mili?? Shreya yahin hai kya??

Purvi- Ishita Kavin sir kuch puch rahe hain jawab do. (Pankaj arrives with Daya)

Daya- Purvi kya hua tum Ishita pe kyu chilla rahi ho?

Purvi- Woh aap is se puchiye sir. Tabse kuch bata hi nahi rahi.

Daya- Pankaj kya hua batao.

Kavin- I'm loosing my temper. Batao warna...

Pankaj- Shreya hi Priya hai.

Trio- What!!!!!

Ishita- Han sir Shreya maam hi Priya hai (so Ishita pehle jr. Inspector thi par Shreya ke resignation ke baad uska promotion hua thats why she addressed her as maam)

Kavin- Ye tum kya keh rahi ho Ishita...

Ishita- Mai sach keh rahi hun sir. Shreya maam hi Aarav ki maa hai aur ye tab ki hi photo hai.

Daya- Dikhao mujhe (he looker the picture and was shocked).

Purvi- Ye kese ho sakta hai?? Shreya ki toh shaadi bhi nahi hui thi toh woh pregnant....

Kavin- Bhaiya kya ye sach hai??

Daya- Mujhe nahi pata tha ki Shreya pregnant thi.

Purvi- Iska matlab Shreya ko guzre 4 saal ho gaye (she brokedown while Kavin controller her)

Kavin- Purvi apne aapko sambhalo.

Daya- Shreya ap is duniya mein nahi hai!!! (He cried whole of his heart)

Kavin- Agar Shreya ki shaadi nahi hui thi toh... Aarav bhaiya ka beta hai!! (Everybody was shocked as they didnt thought about it)

Ishita- Pata nahi sir par hum DNA test karwa sakte hain. Shayad kuch pata chal jaye.

Daya- Aarav mera hi beta hai. Mai jaanta hun kyuki us raat jo hua tha woh mai kabhi nahi bhul sakta.

Pankaj- Shayad isliye Kavin sir aur Aarav ka blood group same tha.

Daya- Kya!!! (They told him the matter in hospital)

Kavin- Woh mera bhatija hai. Mera saga bhatija.

Daya- Woh mera beta hai mujhse itne saal dur raha woh😢😢.. tum log niklo mai hospital jata hun.

Kavin- Par bhaiya..... hum bhi aate hain. Sabse important yahi hai is waqt.

HOSPITAL
Kajal- Daya ji aap yahan..... kya hua??

Daya- Mujhe Aarav se milna hai.

Kajal- Woh andar hai. Par aapki toh train thi na.

Daya- Hmm. Kajal mai Aarav ko apne saath leke jaa raha hun.

Kajal- Aarav ko apne saath leke jaa raha hun matlab kya hai aapka. Aap mere bache ko kahin nahi le jaa sakte.

Daya- Woh mera beta hai. Aur mai uska pita hun. You get that.

Kajal- Kya!!!

Purvi- Han di Daya sir sach keh rahe hain. Woh Shreya inhi ke bache ki maa ban ne wali thi jab aap us se mili.

Kajal- Han thik hai par mai apne bache ko nahi jaane dungi.

Daya- Mai mere bete ko yahan se leke jaunga. Aur tum mujhe nahi rok sakti kyuki mai uska biological father hun. Aur court mein ye baat prove karne ke liye bas ek DNA test kaafi hai.

Kajal- Daya ji mai aapko Aarav se milne nahi rok rahi haq hai aapka par maine use paala hai. Aur ab mai uske bina zinda nahi reh sakti (Daya didnt listened to anyone and enteted the ward)

Aarav was eating apple. When he noticed Daya entered his ward.

Aarav- Arey Daya uncle aap... aap toh aaj jaane wale the na.

Daya- Par aapne hume jaane nahi diya. Ab mai aapko mere saath  Mumbai leke jaunga.

Aarav- Wow Mumbai.... aapko pata hai Daya uncle mera Mumbai jaane ka kabse man tha par mamma ne kabhi suna hi nahi.

Daya- Toh thik hai mai aapko le chalunga.

Aarav- Par uncle....

Daya- Uncle nahi beta... mai aapka Papa hun..

Aarav- Papa!!!!! Aap mere papa ho?? Par mamma ne kabhi bataya nahi. Jab bhi mai apne Papa ke baare mein puchta tha toh woh kehti thi jaldi milayegi.

Daya- Han toh mil liya na. Actually mai aapko surprise dena chahta tha.

Aarav- Wow phir hum kab jayenge Mumbai??

Daya- Aaj??

Aarav- Aapne mamma se permission li??

Daya- Mujhe tumhari mamma ke permission ki zarurat nahi.

Aarav- Mamma bhi mere saath aayegi na Papa??

OUTSIDE THE WARD
Kajal- Purvi tu jaanti haina mai apne bache ke bina nahi reh sakti mar jaungi mai.

Purvi- Aa shaant ho jao di. Sab thik hoga.

Kajal- Kya thik ho jayega.. itne saalon tak woh kahan the?? Aur aaj achanak aake kehte hain ki woh mere bache ko alag kar denge mujhse.

Kavin- Bhaiya is waqt apne emotions ko samjh nahi paa rahe ek baar woh bahar aaye mai unse baat karunga.

Kajal- Kya unhone socha mera bacha mere bina kese rahega?? Woh har pal apni maa ko dhundta hai. Ek bache ke liye baap ho ya na ho, par agar maa hoti hai toh uski zindagi mushkil nahi hoti.

Kavin- Tab toh bas ek hi raasta hai jis se sab kuch thik ho jaye....

Ishita- Kya sir??

Kavin- Woh ye hai ki
.
.
.
.
.
.
.
.



So the chapter is over. I hope you liked it. I really apologise for being inactive. I was having exams so there was no sufficient time to write.

Do vote, comment and follow me for more updates.

Regards
Love💝

ManzeeleinWhere stories live. Discover now