Chapter- 19

415 34 25
                                    

ENGAGEMENT DAY
All the members were preparing for the functions and everybody reached the hall.

Nandini- Kajal beta Kavin kaha hai?

Kajal- Woh aadhe ghante pehle kehke gaya tha ki aa jayega thodi der mein. I guess woh bureau gaya hoga.

Daya- Lekin hum dono ne toh aajki chutti le rakhi hai aur baki sab log bhi aa rhe honge.

Kajal- Abhi 1 ghanta aur hai aap tension mat lijiye aa jayega woh.

Hemant- Agarwal sahab se baat hui?

Keshav- Han bhai sahab maine unhe phone kiya tha woh log pohunch hi rahe hain.

Tanya- Ye bro kahan reh gaye.

Aarav- Mamma aaj bhi masi nahi aayengi?

Sunita- Han Kajal bohut waqt ho gaya jab bhi kabhi koi celebration hota hai Purvi nahi aati. Ab toh woh is parivar ka hissa haina tumhari behn hai.

Nandini- Didi sahi keh rahi hai. Humara chodo lekin uske tumhare birthday ke din bhi nahi aana.

Keshav- Aur tum bhi toh bahane deti ho aaj ye kaam hai aaj bureau mein ye hua woh hua lekin aaj toh puri team aa rahi hai.

Hemant- Han is baar woh aayegi ya nahi.

Kajal- Woh.... maa kya haina... actually.

Daya- Actually DCP sir ne use ek urgent mission pe kal hi bhej diya bohut man tha uska aane ka lekin ab kaam hai kya kar sakte hain.

Nandini- Har baar yahi dialogue rehta hai. Mili bhi toh nahi woh saalon se humse.

Aarav- Iska matlab is celebration mein bhi massi nahi aayegi.

Kajal- Baccha kaha na abhi massi haina zara si busy hai. Jese hi unka kaam khatm hoga woh aa jayegi.

Hemant- Ye lo Kavin aa gaya. Kahan tha tu??

Kavin- Woh tauji mai apne hone wale jijaji ke liye ek gift lene gaya tha.

Tanya- How mean bro aapne mere loya koi gift nahi layi ulta us Nikhil ke liye leke aa gye.
Well sabse jyada response Nikhil ke liye aaye the aur mujhe bhi sahi laga.

Nandini- Chup tera honewala pati hai woh.

Tanya- Han toh aap apne bete ko bolo mere liye gift laane se kya jayega aur upar se inko mera room bhi hadap na hai😑😑.

Kavin- Tere liye bhi gift haina.

Tanya(excitedly)- Kya😀😀😀!!!

Kavin- Woh maine jo parso maggi banayi aur tune puri plate chat ke khali wahi hai gift.

Tanya-😒😒😒😒😒😒.

Kajal- Tum dono aise hi ladhte rahe na toh pura din bhi kam hai. Nikhil ke family members aate hi honge aur Kavin tum jaldi jaake ready ho jao.

(After sometime Nikhil's family members come and the engagement was done. Everybody shower their gifts to him and now it was time for Kavin)

Kavin- Ye lo meri taraf se.

Nikhil- Nahi sir...... mera matlab bhai.

Kavin- Arey pehle dekh to lo kya hai tum kabhi nahi badal sakte huh...

(Nikhil unwrappes the gift and it was a small box)

Nikhil- Ye!!!!

Daya- Arey ye toh wahi watch haina jo tumhe pasand aayi thi Nikhil.

Nikhil- Han.

Tanya (murmering)- Aur mere liye GHANTA.

Kavin- Tere naseeb mein ghanta bhi nahi hai.

Tanya- 😑😑😑😐😐.

NIGHT
KAVIN'S ROOM
Kajal entered with food in her hand and knocked the door.
Kavin- Arey bhabi aap andar aao. Bakk sab so gye.

Kajal- Han so gaye.

Kavin- 😊😊😊😊

Kajal- Kya kar rahe the tum?

Kavin- Kuch nahi bhabi mai toh bas ye kuch files check kar raha tha.

Kajal- Aur mai tumko check karun. Bacche ho kya tum Kavin? Aarav bhi jyada responsible ban gaya hai.

Kavin- Maine aisa kya kiya.

Kajal- Waah khud toh apne khane peena ka dhyab nahi rakhte upar se batao toh kitne innocent bante ho.

Kavin- Aisa kuch nahi hai bhabi mera man nahi kar raha tha khane ka.

Kajal- Tum yaad haina Kavin jis din meri aur Daya ji ki shaadi hui thi aur jin halaton mein hui thi tumne kya kaha tha??

Kavin- Ki mere bhaiya ke saath aapka jo bhi rishta ho but aap meri bhabi hai aur mai aapka devar.

Kajal- Sirf kaha hai ya maante bhi ho?

Kavin- Ofcourse maanta hun bhabi.

Kajal- Pata hai Kavin ek devar aur bhabi mein na sabse pehla rishta dosti ka hota hai.

Kavin- Ji.

Kajal- You know what jo tum chupana chahte ho woh har pal tumhare aankhon mein dikhta hai.

Kavin- Mai samjha nahi.

Kajal- Tumhari aankhon mein dikhta hai Kavin kese tumne apne andar ka dard chupa rakha. Tumhe lagta hai ki mai nahi jaanti par jaan ke bhi anjaan banti hun pata hai kyu kyun ki ab waqt wapis nahi aa sakta lekin aap aage badh sakte ho.

Kavin(getting up from his bed and turning backside)- Ye aap kha bol rahi hai mere samjh mein kuch nahi aa raha.

Kajal- Kavin jyada der nahi hui hai bhul jao use un baaton ko un yaadon ko un feelings ko aur aage badho zindagi tumhara intezaar besabri se kar rahi hai.

Kavin(teary eyes but still turning back)- Bhabi aap kehna kya chahti hai kesa dard aage badhun kise bhula dun.

Kajal- PURVI ko.

Kavin(wiping the tears and turning towards her)- Kya!!! Pu...pu...purvi. Aap Purvi ko bhulane ki baat kar rahi hain par....

Kajal- Tumhe kya mujhe pata nahi ki tum Purvi se pyar karte ho.

Kavin- Ye aap kya keh rahi hai aisa kuch bhi nahi hai.

Kajal- Pata hai badi bhabi ko humesha maa ke saath compare kiya jata hai jaante ho kyun.... kyuki woh bhi ek maa ki tarah man ki baat ko samjhti hai. Aaj ya kal nahi peechle 2 saal se mai ye jaanti hun ki tum Purvi ke liye kya feel karte ho.

Kavin- Par kya fayda bhabi jin feelings ka koi matlab hi nahi unhe bhala mai kyu yaad karun. Kyu phirse apni zindagi mein unko jagah dun.

Kajal- Mai wahi keh rahi hun bhul jao Purvi ko bhul jao jo 2 saal pehle hua tha bhul jao woh sab kuch jo tumhe aaj bhi dard deti hai.

Kavin- Kese bhul jaun bhabi jise maine apni jaan se jyada pyar kiya uski madad hi nahi kar saka. Kyu bhabi kyu humesha mere saath aisa hota hai. (He hugged her and started crying)

Kajal- Chup ho jao Kavin.

Kavin- Shayad aap sahi keh rahi hain mujhe sab kuch bhula kar ek nayi shuruwat karni chahiye
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

TO BE CONTINUED

ManzeeleinWhere stories live. Discover now