Chapter- 2

727 44 25
                                    

Purvi went to her room and closed the door. She went near the window and looked at the moon that was glazing and the trees which were having the droplets of water.

Purvi- Agar us din papa ne woh galti na ki hoti toh aaj di hum sabke saath hoti. Humesha papa ke liye unka ego, unki respect unka fame unka business  aage raha hai. Parivar ko importance toh unhone kabhi diya hi nahi. Woh din bhi door nahi jab papa ko mere kaam ke baare mein pata chalega. (Just then she gets a call from Kavin)

Call

Purvi- Yes sir.

Kavin- Purvi woh kal ke conference ke aaacchhooo.... conference ki file ready karke rakhi hai na.

Purvi- Yes sir. Sab ready hai. Par sir aapko sardi lag gayi.

Kavin- Arey hn woh kal raat tyre puncture ho gaya so usko theek krne ke chakkar mein mujhe aur bhaiya ko sardi lag gayi.

Purvi- Aapne medicines li??

Kavin- Hn Purvi.

Purvi- Aap na aunty ko bolna aap dono ko kadha aur haldi wala doodh dene ke liye.

Kavin- Oh god Purvi jabse ghar aaye hain kuch na kuch de hi rahi hai woh ab tum kaadhe ka naam bhi mat lena.

Purvi- Okay sir.

Kavin- Acha suno maine Abhijeet sir aur Dushyant se baat karli hai so you need to be worry.

Purvi- Thik hai sir.

Kavin- Good night and take care.

Purvi- Good night sir. (He hung up)

Purvi- Ye Kavin sir bhi na. Humesha mera mood thik kar dete hain. (She was standing near the window and feeling the cool drizzles of air just then her mother called for dinner)

DINNING
Anand- Purvi kal tumhe ladkewale dekhne aa rahe hain toh ready rehna.

Purvi- Kya ladkewale. Papa maine kaha na mujhe koi shaadi nahi karni. Aur mummy aapne bhi mujhe kuch bataya nahi.

Rekha- Mujhe bhi abhi pata chala.

Anand- Kya matlab tujhe shaadi nahi karni. Aaj nahi toh kal karni hi padegi na.

Purvi- Par papa kal meri ek important meeting hai aur mera jana bohut zaruri hai.

Anand- Tum kal kahin nahi jaogi.

Purvi- Par papa.

Anand- Bas!!!! Tum jaanti ho mai koi bhi baat repeat nahi karta.

Purvi- Papa agar mai kal nahi gayi toh bohut badi problem ho jayegi.

Anand- Kya hoga?? Jyada se jyada teri naukri chali jayegi. Jane de. Kisi aur call centre mein kaam kar lena.

Purvi- Par papa jab mujhe shaadi karni hi nahi hai toh is baare mein baat karke kya fayda.

Anand- Rekha apni beti ko samjha do ki meri baat maan le. Woh bohut bade log hain. Aur mujhe koi badtameezi nahi chahiye.

ManzeeleinWhere stories live. Discover now