Eight

150 6 7
                                    

Wo apni Gul ko yaad kar rahi thi. Tabhi paas bethe sunehri rangat ke ladke ne jiske bhure silky baal chehre pe aarahe the uski taraf dekhe bina kuch badbadaya. Haya ne uske taraf achumbe se dekha. Uss khush shakal ladke ne Hilfiger ke bade glasses lagaye hue the. Wo young aur mature shakal o surat ka nojawan kafi zaheen aur chulbula malum parta tha.

Haya ne kaha "Excuse me?".

Iss par uss shaks ne kaha "Haya hum dono pehli baar iss tarah akele kahi ghumne jarahe hain".

Haya halka sa muskurai. Uska chehra dhaka hua tha. Uski muskurahat uski aakhon me waazeh hojati thi. Woh muskurati toh uski aakhein curve hojati. Uske muskurahat se nikalta noor jese Jihan ko  masroor kardeta tha. Jihan bohot der se apni biwi ki aakhon me nami dekh raha tha. Dil toh uska bhi tadap raha tha apni beti ke liye par apne kaam ko imaandari se poora karna bhi toh ehem tha khaaskar ke jab wo kaam apne watan ke liye ho.
Par apni biwi ko khush rakhna bhi toh uska hi farz tha.
Apni biwi ko iss tarah afsurda dekh kar uss se raha nahi gaya.Usne badi raastbaazi se aas paas ka jayeza liya.  Wo bhale hi apne cover me dhal chuka tha aur flight me bhi unke aas paas koi nahi tha toh har cheez ka dhyan rakhte hue usne khamoshi todi. Haya ne chehra cover kar rakha tha toh uske bolne par bhi kisi ko pata nahi chalta k wo dono baat karrahe hain.

"Hum ghumne jarahe hai?" Haya ne sargoshi ki.

Jihan ne nazar churate hue kaha "Haan toh? Ghumege nahi?"

"Bilkul ghumege" Haya ne tanziya andaz me kaha.

"Haan meri jaan" Jihan muskuraya.

"Jihan" Haya ke gaal Karkadeh ke manind surkh hogaye.

Haya jab kabhi bhi Tanz karti toh Jihan usko Meri Jaan karke mukhatib karne lagta jiss se wo aksar hi sharma jaya karti aur khamosh hojati. Itne saal guzarne ke baad bhi Meri Jaan sunkar woh sharma kar apne gaal surkh karleti. Guzishta saalon mein Jihan uske gaal dekh kar aksar socha karta tha ke uske aisa kehne par uske gaal kis tarah ke hojate hai? Kuch din pehle hi..Misr jane ki tayari karte waqt usne Karkadeh yani Egyptian Hibiscus Tea ke baare me parha. Iss chai ko dekhte hi Haya ke gaal usey yaad aaye.

Jihan ne Haya ko safar ki dua parhaya.

"Wo zaat paak hai jisne iss ko humare qabu me kardiya aur hum mein taqat na thi ki hum isko qabu me karlete aur humko apne Rabb ki taraf hi laut kar jana hai"

Dua parh kar jese dono mutmaeen hogaye. Ab bas Allah pe tawakul karke Misr pohochne ka aur waha ka kaam poori tawaja se mukhlis hokar karne ka intezar aur dua karne lage.

"Kitna itminan milta hai Allah se dua maang kar" Haya ne mann me socha. Ek sukoon ki gehri saans li aur pata nahi kab sogayi.

Jannat Ke Pattey FanfictionWhere stories live. Discover now