THREE

211 9 1
                                    

Khadija ko lecture me kuch samajh nahi ata tha. Phir b Haya chahti thi usey shuru se deendaar mohol mile.
"BismillahirRahmanirRaheem"
"ALLAH ke naam se shuru jo bada meherbaan nihayat rehem karne wala hai"
Haya ne ruk kar Khadija ko iska ma'ne bataya.
"Har kaam se pehle bismillah parhen" ustazah ne kaha.
Khadija gul ne mutajassas se pucha "kyun Haya? Har kaam Allah ke naam se kyu shuru karna chahiye?"
"Isse hume Allah ke saamne jawabdehi ka ehsas hoga aur hum gunaho se bachege. Jese jab bhi khadija gul mumma ke bag se candies nikalrahi hoti hai toh mumma ke pata chaljane ke khayal se mohtat ho kar phir esa nahi karti. "Haya ne shaistagi se apni beti ko samjhaya.
"Oh" khadija ne apne shaane uchkaye
"Aur jab khadija gul esa nahi karti toh kya hota hai?" Haya ne usse pucha
"Toh phir tum mujhse khush ho kar mujhe candies deti ho" khadija haste hue boli
"Isi tarah jab hum Allah ka naam le kar kaam karte hain aur bure kaam karne se darte hain toh Allah ki madad humare uss kaam me hojati hai aur humara kaam ba barkat hojata hai betu" Haya ne pyaar se uske rukhsar chumte hue kaha.
"Haya phir toh mai har kaam se pehle BismillahirRahmanirRaheem parhungi...kya phir mere chocolates aur toys me barkat hogi?" Khadija gul ne masoomiyat se pucha
"Bilkul hogi" Haya ne zer e lab muskurate hue jawab diya.

"Bacche kitne masoom hote hain" khadija ki dadi ne Haya aur apni poti ki guftgu sunkar kaha.

"Mummy tum kisko masoom bolrahi ho" Khadija Gul ne pucha.

"Haya ko" Sabeen phuppo ne jawab diya.

Haya muskurai aur phir uth kar kitchen ki taraf jaane lagi. Ab uske khana banane ka waqt jo ho chuka tha.

Jannat Ke Pattey FanfictionМесто, где живут истории. Откройте их для себя