ONE

590 16 0
                                    

Misr.
Qahira University.
Kon jaane ki iss naye safar pe usey uski bichdi hui doste wapas mil jaaye
Kon jane ki Aishe aur Baharey Gul bhi misr me rehti ho
Kon jane k Aishe ab b wese hi sada aur mazhabi si ho jab ki Baharey ab ek khubsurat teenage ladki me badal gai ho
Jihan ko job ki wajah se unse raabta karne ki ijazat nahi thi
Magar Haya ne apne saamne dono nufoos ko dekhte huue zer e lab muskurate hue socha
Magar kon jaane k Haya ne unse raabta kabhi tark hi na kia ho
Kyunki cheeze jitni naa-mumkin hoti hain wo utni hi mumkin b hoti haina... Magar kon jane?

Jihan ke bill pay karne ke baad wo teeno ghar ke liye rawana hogaye. Haya driving seat pe bethi aur socha ab wo Turkey jesa nahi hone degi aur humesha driving seat pe wo rahegi! Khadija apne baba k god me passenger seat pe bethi thi aur Haya ko drive karte dekh rahi thi. Jihan ko apni beti ko apne paas bethana acha lagta tha isliye usne haya se drive karne kaha. Haya apne abaya me drive karte hue uski apni marra jameela lag rahi thi. Jihan kuch der apni beti ko dekhta phir apni biwi ko. Usey unke sath waqt guzarna bohot acha lagta tha.
Wo ab apne apartment tak pohoch gaye. Khadija apne ghar ke rasto se waqif thi. Ghar dekhte hi wo purjosh hogai aur ese muskurai jisse uske dono rukhsar gulab ke pankhudiyo k tarah surkh hogaye. Jihan ne uske rukhsar chue aur usey chooma aur pyaar se muskuraya. Haya ne bilkul ek mahir driver ki tarah gaadi ko park kiya. Phir Jihan ne apna door khola aur khadija daudi apni mumma ka door kholne. Usne Haya ka door khola wese hi jehan ne usey utha kar apne kandhe par betha liya. Haya bahar nikli aur jehan ko ese dekh wo zer e lab muskurai. Car lock karke wo log ghar k taraf badhe.

---------------------------------------------------------------------------------

Haya asr ki namaz parh kar tasbeeh parh rahi thi wese hi door bell baji. Khadija gul samajh gai k uski mummy aagai hain. Jehan k tarah Khadija b Sabeel phuppo ko mummy kehti thi. Haya apni beti ko ese bhaagta dekh hasste hue door kholi.

"Assalamualaikum phupo."

" Walaikumassalaam. "

"Assalamualaikum mummy."

"Walaikumassalaam meri gudiya."
Sabeel phuppo jab b kahi se aati thi wo khadija k liye khoob sare khilone aur chocolates sath lati thi. Yahi wajah thi k khadija gul itni josh o kharosh k sath phuppo ko khushaamdeed karne daudti aur unka besabri se intezar kiya karti thi.

Jannat Ke Pattey FanfictionWhere stories live. Discover now