TWO

309 11 0
                                    

Teen orange colour ke gol lamps dining table k upar lage hue the. Usme se aati roshni dining area ko ek behtareen look de rahe thi. Haya ko apna ghar sajana behad pasand tha. Wo charo dinner aksar sath hi kiya karte the. Jihan k pehlu me khadija ki feeding chair rakhi thi aur uspe bethi Khadija Gul apne baba ke hath se khana kha rahi thi. Jihan k samne Sabeel phuppo aur unn ke beech k side pe Haya bethi sabko serve kar rahi thi.

"Haya tumne mummy se baat ki?" Jihan dheere se Haya k taraf halka sa jhuka aur sargoshi se pucha.

Haya ne isbat me sar hilaya.
Jihan zer e lab muskuraya phir apni khushi daba kar pucha "Mummy aap rehlengi na yaha?"

"Bilkul meri gudiya ke sath khoob maze se rehlugi" Haya ne Jihan ki taraf dekha aur dheere se muskurai.

----------------------------------------------------------------------------

Khushrang neela aasmaan rui jese badalo se bhara tha. Haya ke bed ke dayen simt ek badi si glass window thi jo chhat ke thode neeche se shuru aur zameen se thode pehle khatm hoti thi. Uspe ese parde lage the jinhe shutter k tarah remote control se up and down kar sakte the. Subha jihan exercise karke aata aur unn pardo ko poore tarah se upar kardiya karta tha. Haya ke chehre pe subha ki dhoop parti aur neend halki hoti aur Jihan usi waqt tray leke Haya se kehta

"Assalamualaikum...Good morning sunshine"

Haya muskurate hue aakhe kholti aur kehti "Walaikumassalaam".

Phir Jihan tray ko side me rakh ke apni biwi k peshani k bosey leta aur shower lene chala jata. Tamam masrufiyat k bawajood bhi Jihan Sikandar ko apni biwi ka khyal rakhne ache se ata tha.
Phuppo k aane k baadse Khadija unhi ke paas soya karti thi. Haya breakfast karke phuppo aur apni princess k liye nashte ki tayari me lagjati.
Jihan k office jane ke baad wo kuch waqt apni deeni taleem ko diya karti phir khana banane chali jaati. Jab usne ek qadam deen ki taraf aur apne Rab k taraf barhaya toh usey Allah ki qurb mehsoos hui. Ye ehsas usey duniya me sabse acha lagta tha. Kabhi bhi usse koi galti hoti toh esa lagta jese Allah se wo door hogayi aur iss dar se wo galtiya kam se kam karne lag gayi. Kabhi wo gumrah bhi hojati toh Khadija Gul ek zariya banti k wo seedhe raste pe chale. Wo apni beti k liye Islam ko ache se pesh karna chahti thi. Woh apni beti k liye ek achi misaal banna chahti thi.
Aaj bhi wo khadija ko sath lekar lecture sun rahi thi.

Surah Al-Kahf.

Jannat Ke Pattey FanfictionWhere stories live. Discover now