Nine

105 3 4
                                    

"Mummy! Mummy!" Nanhe nanhe haath darwaze pe dastak derahe the. Darwaze pe. Washroom ke darwaze pe.

Bohot der baad Khadija Gul ko behlate behlate ab sabeel phuppo fresh hona chahti thi. Par jese hi wo washroom gayi Khadija Gul ne knock karna shuru kardiya.

"Aarahi hun gudiya" sabeel phuppo ne kaha.

"Mummy..." Ek afsurda si awaz aai. "Kya mai aap ko bohot pareshan karti hun?"

Itna maasoom sawal. Ese sawalon ka kya jawab diya jata hai?

Sabeel phuppo ne darwaza khola, Khadija ke taraf dekh kar muskuraye aur uski taraf apna hath badhaya. Khadija ne unka hath apne nanhe haathon se thaam liya.

"Mummy! Haya aur Baba itne door kyun chale gaye? Mai toh Gul hun. Mai unke bina kese rahugi?"

"Gul. Tumhari daadi haina tumhare sath." Sabeel phuppo Khadija ki masoomyat aur samajhdari dekh kar udaas hogaye par kuch soch kar muskurayi.

"Daadijaan. Khadija Gul ab sad nahi hogi." Maasoomyat se usne kaha aur toys nikaal kar khelne lagi. Abhi kuch hi lamhe guzre the ki usne dobara sawal kiya...

"Baba aur Haya kahan gaye hain Mummy?"

"Aapse Baba kya keh kar gaye hain Khadija?" Sabeel phuppo ne baat ka rukh moda .

"Woh baat jo unhone mujhse secretly ki thi?" Khadija gul ne masumyat se pucha.

"Haan wahi wali" Daadijaan achumbe se bolein.

"Aapse bata dun?" Khadija uchalte hue boli

"Aap ko help chahiye ho toh bata dena" daadijan muskurayi.

"Mujhse Baba ne Surah number 20 parhne kaha tha. Kya aap mujhe iss Surah ke baare me bata dengi?" Gul ne hasrat bhari nigaho se dadi ko dekha aur sawal kiya.

"Surah number 20..? Yani Surah - At- Taha. Bilkul. In sha Allah rozana Fajr me aapko iske baare me bataugi. Abhi sojao."

Gul ab khush thi. Wo muskurai , dua parhi "Allahumma bismika amutu wa ahya"
aur chayn se so gayi. Abhi khwab me usey kahin sair par jo jaana tha.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 23, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Jannat Ke Pattey FanfictionWhere stories live. Discover now