Doli Ya Arthi

15 4 2
                                    

Doli main baithke hum,
Kardete hain betiyon ko vida.
Iss umeed par ki sasural mein,
Khush raheingi woh sada.
Sanwaar lengi khud ke sapne
Saath patiyon ke apne
Milake, kandhe se kandha.

Par afsos, ki aisa ho nahin pata
Betiyon ka dukh hamesha
Maa baap ko dikhaya nahin jata.
Sasural mein DAHEJ ke liye
Tane sunti, taqleefein sehti
Kabhi jalke to kabhi
Khud ko jala ke
Unhi patiyon ke kandhe par sawar
Chali jaati hain Duniya ke uss paar.

Kabh bujhegi Dahej ki yeh aag
Kab tak vivah ki agni,
Hamari betiyon ke liye
Chita ki Agni banti rahegi

To już koniec opublikowanych części.

⏰ Ostatnio Aktualizowane: Oct 16, 2020 ⏰

Dodaj to dzieło do Biblioteki, aby dostawać powiadomienia o nowych częściach!

MusingsOpowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz