Vidaai

2 0 0
                                    

vida aaj leti hu baabul...

des paraye jaati hu... naye dor se rishte sare aaj jodne jaati hu

kya de du is maayke ko... kya le jau saasre 

jaha hriday tera o baba.. vahi mere bachpan vaas re

aankhe bheegee jati aur mann hai vyaakul is rain bada 

naya jo bandhan jode jau vo ghar hai us paar khada..

kya koi bandhan tode jau.. hain sab baatein yaad re

janm sutra hai ese dhaaga ... kare kya koi naash re

mamta teri bhi hai maiya esi ki achraj hota hai..

kasht uthe mere par to phir dard tujhe kyu hota hai 

seene se lipte thi janm par..aaj bhi tujhse lipti hu..

roti thi tab bhi ese hi aaj bhi dekho roti hu..

tab tune paya tha mujhko aaj parayi karti ho..

kanyadaan kiya hai phir bhi meri balaaye leti ho..

kya de du ki tarr ho jaye.. doodh ka tere karz re

akhir tune seencha hai khoon se mujhe.. jata kar farz re.

vida aaj leti hu baabul par bichhad na paugi..

beti hu is angan ki har din main yaad to aaugi..

hasi hilore..mera bachpan... chahak meri is ghar mein hai..

kasak masak sab meri murade..meri jawani bhar mein hai..

sabhi piroya aur sanjoye aaj mere aanchal mein hain..

Aaj khadi hu ban ke dulhan... chhoti vo gudiya mann mein hain..

kya de du is maayke ko... kya le jau saasre

jaha hriday tera o baba.. vahi mere bachpan vaas re

Thoughts of a loner girlWhere stories live. Discover now