Chapter - 2 (Ahad)

14.9K 546 97
                                    

AHAD

Ahad after closing the doors closes his eyes in frustration and breaths heavily, he don't want to believe what he just did, he asked her love to leave and throws her out of the house.

" Why did you do this to me aaliya. Why?" he shouted.

Flashback

Ahad - " Ammi please mujhe abhi nikah nahi karna, mei bahot busy hu aap jaye"

Ammi - "Ha bus yahi karna ab, jab bhi tumhari nikah ki baat karti hu busy ho jate ho tum" "ab tuo baki bacho k bhi rishte aane lage hai but tum ho ki nikah hi nahi karna chahte"

Ahad - "Ammi acha hai na agar rishte aa rahe hai tuo zayn aur fahad ka nikah kara de "

Ammi - " ha ha jarur vo bhi tumhare hi nakshe kadam par chal rahe hai, kehte hai bhai ka nikah karaaye phele hum bhi kar lenge" " aur waise bhi mujhe tension un bandaroo ki nahi apni beti Aaliya ki hai, tum sab k chakar mei uski shaadi nahi hopayegi, bechari kitni excited ho jati hai apni nikah ki baat se.

Ahad - " Ammi aap bhi na, abhi bahot choti hai vo aur dekha hai aapne use kabhi tikti nahi hai ek jagah, poore ghar ko sir par uthaye phirti hai kon karega usse nikah."

Ammi - "Haye nazar na lagao mei bachi ko ahad, aur riste ki koi kami nahi hai uske pass, kal hi Hania aayi thi uska haath apne bete k liye maangne, London padai k liye gaya tha, agle hafte aa raha hai. Sab theek raha tuo vahi nikha pakka bhi ho jayega."

Ahad - " Kya ? Aur mujhe kisi ne bataya bhi nahi."

Ammi - " Aree abhi kon sa humne rishta pakka kar diya hai abhi tuo rishta aaya hai, sochenge dekhenge phir bulayenge unhe. Aur waise bhi tumse bina pooche konsa koi kaam hota hai yaha"

Ahad - " Hmmmm"

Flashback ends

AALIYA

I opened my eyes to find myself in hospital, the rooms are too bright, Suddenly Sana held my hand and started crying.

"Aaliyaaa Aliyaaa..... Oh my Allah, thank you for saving her" suddenly Sana said.

Sana - "How are you darling, I was so worried for you and you want me to die or what, why don't you call me. i got the call from Zainab appi, she told me everything and asked to come and help but I found you on road unconscious." "mujhe laga aaj tuo tum bahot kush hogi, tumne apni pregnancy k baare mei ahad bhai ko kuch kyu nhi bataya aaliya" she just kept on speaking.

The one who accused me and doubted my character, he doesn't deserve my love and my baby. she thought in her mind.

Then the female nurse came in and smile.

"so, you are awake dear, its good to see you so how are you feeling. Look you are very week and its not good for you and your baby, you need proper care and food. Prescribing you some medicines, take them time to time" and don't worry your baby is fine."

Aaliya - " jee thank you" I have nothing to say.

Sana - "kya hua aali tu chup kyu hai kya soch rahi hai"

Aaliya - "Sana, kon care karega meri. Humesha sochti thi ki nikah zindgi ka sabse sunder sach hai, aur jab mera phela baby hoga tuo mei aur ahad apni har wish poori karenge aur mei ahad se khoob demand karungi. But vo tuo is laayak hi nhi nikla. Aur kya batati mei use ki mei pregnant hu aur vo papa banne wala hai. Bharosa karta vo mera jab usne tab vishwaas nhi kiya....." she started crying.

Sana - " Tu fikr mat kar mei hu na, mei karungi teri care aur bhulna mat khala hu mei is baby ki."

Flashback

Aaliya - " kya ammi, aap ye kya bol rahi hai mei aura ahad bhai. Aapki tabiyat tuo theek hai" " mei us khadoos se shaadi nahi karungi, jeete jee khudkhushi kon karta hai. Aur waise bhi vo bhai hai.

Ammi - "Vo bhai nahi hai tumhara, tumhara bhai sirf kaif hai" aur tumhari tayiji ko khud ahad ne apni pasand batai hai" vo tumse nikah karna chata hai"

Aaliya - "Ammi please samjiye na kitne khadoos hai ahad, baat tuo dhang se karni nahi aati unhe aur gussa dekha hai naak par hi baitha rehta hai. Mujhe bahot dar lagta hai unke gusse se, poora ghar sar par utha lete hai. Mei usse shadi karungi jisse gussa na aata ho aur jo sirf mujhe pyaar kare."

Ammi- " badi aayi sirf mujhe pyaar kare wali, nalaayak kaam dekhe hai apne kise gussa nhi aayega. Aur uspar pure ghar ki zimmedari hai isliye aisa hai vo, aur vo tumse bahot pyaar karta hai tabhi tuo haath maanga hai. Aur nikha k baad aur pyaar karega. Gussa bhi kam ho jayega waqt k saath uska. Samjhi"

Aaliya - " ha ammi samajh gyi ki mera kuch nhi ho sakta, mei tuo gyi"

Flashback ends here.

So guys, hope u enjoyed.

Khushnaseeb hote hai vo log jinhe sache dost milte hai,

Wait for the next chapter. Will update soon.

Please tap the star icon to vote and do comment.

Love jomessey

REGRET - (Completed)Where stories live. Discover now