H🖤A (1)

5K 275 20
                                    

Arsam's POV..

I was sleeping peacefully when I heard a weird noise.. I picked the pillow and kept on my face to get rid of the noise.. But you know.. I couldn't..

I got up irritated.. Just to find her standing in front of the mirror drying her hair..
I kept on looking at her in awe..  Two months of our wedding.. And I still can't believe that she said yes to me..  I thought I could never get her.. The love of my life..  No.. Correction.. The only love of my life..

One second.. Is that noise.. Oh my god..  This girl is insane..

"Haniaaa... What are you doing man"

"Dikh nahi raha.. Baal dry kar rahi hu.. " She looked at me through mirror..

"Dikh raha hai.. Lekin insaan dusre ka bhi thoda khyaal kar leta hai..kitna shor machaya hua hai yaar.. "

"O hello..Dusre insaan.. Waqt dekho zara, ye insaano ke kaam pe jaane ka waqt hai..Chalo uth jao fauran..shabaash" She walked towards bed and started folding the blanket.

"Yaar shauhar hu tumhara.. Ye kya tareeka hai apne shauhar ko uthane ka.. "

"Agar shauhar tumhare jaisa lazy ho, toh yahi tareeka hota hai.. Chalo ab uth jao" She pulled my blanket to fold..

But i pulled it my side and she came with that..

"Arsam.. Ye kya harkat hai.. " She tried to get up..

"Kya? Maine Kya kia.. Kitni kamzor ho yaar tum.. Itne se jhatke mein mere upar gir gai.. "

"Accha ab hato.. Uthne toh do.. " She rolled her eyes..

"Nahi.. Kahi nahi ja rhi tum.." I said.

"Arsam.. "

"Ji? "

"Chorh do mujhe please.. Shiza wait kar rahi hogi mera" She said with puppy face..

"Yaaar..  Ek toh ye tum na..  Itni cute lagne ki kya zarurat hai tumhe.. " I said and leave her..

She laughed..

"Chalo ab..  Dramebaaz.. " She said..

~~~~~~~

(In living area)

"Kya kar rahe hai aap log" I asked in confusion.. Everyone was present.. Except hania and shiza..

"Arey Shiza ki shadi ki tayyari.. Aur kya.. " Mom said.

"Abhi se.. " I said and sat with Haadi Bhai..

"Haan aur kya.. Ek hi toh behan hai hamari.. Uski shadi toh sabse acchi honi chaiye.. " This was obviously Haadi bhai..

"Bhai bhi ek hi tha aapka.. Ye khyaal tab nahi aaya aapko" I asked.

And everyone started laughing..

"Toh tumhari shadi mein kya kami reh gai thi bhaee.... Kitna accha toh tha sab" Arisha bhabhi said..

"Haan bohot accha tha.. Aap toh rehne hi dein mohtarma....  Shaadi ke waqt apni behan ke side se thi aap" I am not gonna leave teasing her for this..

"Toh bhaisaab apko phir koi aur ladki pasand karni chahiye thi.. " Haadi bhai came for her defense as always.. And arisha laughed.

" Arey kya bhai.. Thodi der tang toh karne dia karein..  Bhabhi bhi ek hi hai mere pass"

"Mom ye Ayaan aur uske Dad ke  kapde bhijwane tha, wo ready hai.. Sham tak mil jaenge" Arisha got busy with mom..

" Arisha beta ek kam karo.. Tum aur haadi aaj Ayaan ki taraf chale jao.. Unki ammi ka phone aaya tha..Alizeh ko kuch help chaiye thi, ayaan ke room ka interior change karwa rahe hai shayad isliye"

"Ji theek hai.. Lekin agar hania jaati toh zyada sahi rehta.. Usko zyada acche se pata hai shiza ki pasand ka.. "

"Arey rehne do.. Mujhe toh lagta hai Hania aur shiza abhi market se aane ke baad do din tak kahi jane layak nahi rahengi" She laughed..

"Haan wese ye log bohot shopping kar rahi hai ..ye koi inhe kuch kehta kyun nahi" I said..

"Chup raho tum.. Shadi ka mauka hai.. Isme bhi ladkiya shopping nahi karengi toh kab karengi.. Bas sab tmhri tarah aalsi ban jae.. " Mom was not coming slow..

"Wah wah.. Dekh rahe hai haadi bhai..  Ye toh hamari mom rahi hi nahi..  " I said dramatically.. "Socha tha saas bante dekhna naseeb hoga, ye nahi pata tha, hamari hi saas ban jaengi aap"

"Bas drama karwao isse..  Tumne wo wedding planner se baat ki? " Mom asked.

"Ji.. Kon wedding planner..  "

"Arey tumhari dost..  Kya naam hai uska.. Payal mishra..  "

"Arey wo.. Haan baat hui na meri..Wo toh Australia mein hai..Meri shaadi ke baad gai hai..4-5 mahine baad hi aegi"

"Khair.. Dafa karo use..  Haadi.. Tum koi dusra Wedding planner dekho.."

"Ji mom theek hai.. But aap bohot zyada hi pareshan ho rahi hai.. Relax, sab ho jaega.. Hum sab hai na, hum kar lnge"

"Assalamualaikum.. " Girls came back..

"Walaikum assalam.. " I quickly made space for hania to sit there..

But she went and sat with mom..

I gave her a broken heart look.. And she chuckled then rolled her eyes.

God, i so want this girl to openly confess her love..

Even though I know that she loves me, she said it so many times, but she is not that expressive in actions..

"Mom, you know humne ye necklace order kia hai shiza ke liye" Hania said showing a picture on her phone

"Hmmm " She looked impressed and forwarded the phone to aru "dekho beta, pyara lag raha na"

"Ji mom.. Bohot accha hai" Arisha replied with a smile..

Why all these ladies in my house live so peacefully and in unity..  No ladai ni jhagda..   Koi entertainment hi nahi hai..

"Aur kya kya liya tum logo ne" Arisha asked.

"Haan ye itni der mein sirf ek yahi necklace hi liya tum ladkiyo ne? " Mom also said

"Nahi mom.. Wo actually hum log na bohot confuse ho gae the.. Itne saare options..Bhabhi aapko hona chahiye tha sath mein, akele toh hum dono pagal hi ho gae" Shiza replied them

"Haan next time Aru tum hi jana yaar iske sath.. Itna confuse hoti hai ye.. Bas khudaya.. Mai toh ja rhi hu chai banane apne liye.. Kisiko peeni hai"
Hania asked

"Hania mere liye bhi please.. " Haadi bhai said and walked out to receive the call i guess.

"Yaar bana rahi ho toh mere aur mom ke liye bhi" Aru added.

"Accha, saare kaam meri biwi se hi karwa lo tum log.." i also tried to jumped into the conversation.

"Ye ek toh Arsam bhai aapka bhi sahi hai, haani se sabse zyada kaam aap hi batate hai.. Ek minute ka usko nahi chorhte akela" shiza said while hania laughed.

"Accha.. Toh bhaee.. Meri biwi hai, mere kaam kare..  Sab log kaam bata rahe ho, mere liye time hi kaha rehta hai uske paas" I said dramatically .

"Khuda ka khauf khao arsam.. Bas aaj hi toh wo gai hai bahar, wo bhi sirf shiza ki shadi ki wajah se. Warna har waqt toh tum sath hote ho uske"  Aru said

"Yaar theek hai.. Karwao jaldi se iski shadi ye jae ab " I said to tease shiza while she threw a cushion on me.

"Bhai.. Not fair..  You are gonna miss me the most dekh lena.. " Shiza said..

"Accha ji.. Dekhte h.. .  Khair mai bhi chai ka bol ke aata hu" I said and walked out..

"Haan haan pata h arsam bhai, aapki special chai ka" I heard shiza say.

-----------

Dear silent readers..

If you have read it till here.. Please leave a comment here.. I have a message for you.. X

My One And OnlyWhere stories live. Discover now