Book 2 : chapter 43

Start from the beginning
                                    

Wo khud dil aur anaa ki jung main pis rahi thi. To baaqi sub ko kya samjhaati.

**********

Haadi mobile kaan se lagaaye apnay kamray main musalsal aagay peechhay chal raha tha.

Pichhlay roz bhi ghar aanay ke baad usnay musalsal Aashir ke mobile par call par call kien ,lekin Aashir ne ek baar bhi uski call attend nahien ki.

Wo Aashir se poochhna chaahta tha ke usnay Aayat ki shaadi Mateen jesay shakhs ke saath kyun ki.  Kyunkay Mateen ne Dubai main jo tamaasha kiya tha , uskay baad Haadi ko kahien na kahien ye shak zaroor tha ke Aayat ke saath us haadsay ka zimmay daar bhi wahi hoga.

aaj wo dobaara Aashir se contact karnay ki koshish kar raha tha to uskay mobile se Aashir ko call nahien lag rahi.

lagta hai usay Aashir se mil kar hi ye baat poochhni paray gi.

usnay apnay aur Aashir ke dost ke zariye Aashir ke naye office ka pataa maaloom kiya. Aur wahaan pohanch gaya.

****

" tumhaari himmat kesay huw yahaan aanay ki.!!" Haadi ko apnay saamnay dekhtay hi Aashir ne gussay se kaha.

" main jaanta hoon jo kuchh huwa uskay baad tum mujhay dekhna bhi nahien chaahtay. lekin mujhay jo jaanna hai wo bohat zaroori hai. " Haadi ne tahammul ka muzaahira kartay huway inthaayi narm lehjay main kaha. Lekin Aashir ko uskay narm lehjay se koyi farq nahien parta.

" yahaan se chalay jaao Haadi , mujhay tum se koyi baat nahien karni..security!!!.." Haadi se zehar khand lehjay main kehnay ke baad usnay security guard ko awaaz di.

" Aashir mujhay Mateen ke baaray main tum se baat karni hai , please mujhay sirf paanchh minute do uskay baad main chalaa jaaoon ga. " is baar Haadi ki awaaz bhi thori taiz huwi thi.

Aashir usay ghoorta raha , jub Usay yaqeen ho gaya ke Haadi bina baat kiye yahaan se nahien jaaye ga , tab Aashir ne haar maan li. Jis ki doosri wajah Haadi ki zabaan se Mateen ka naam bhi tha.

" theek hai , jo kehna hai kaho..lekin sirf paanchh minute..is ke baad tum yahaan se chalay jaao ge. "

Haadi ne sukoon ka saans liya ke chalo Aashir uski baat sunnay ke liye raazi to huwa.

" Tum ne Aayat ki shaadi Mateen jesay shakhs se kyun karaa di. Jubkay Wo Aayat ke bilkul laayak nahien hai. "

Aashir ne abru charaahtay huway  be yaqeeni se usay dekha. " aur ye tum kis bina par keh rahay ho ke wo Aayat ke laayak nahien hai..?"

" Dubai main usnay Aayat se jis tarhaan se bartaao kiya tha us bina par."

Is naye inkshaaf par Aashir ko herat ka shadeed jhatkaa lagaa. " kya matlab hai tumhaara..! Mateen Bhi us trip main tumhaaray group main tha..?!" Aashir ki awaaz se uski heraangi saaf zaahir thi.

" kyun !? Aayat ne tumhain nahien bataaya ke Mateen bhi us trip main humaaray saath tha..!? " ab heraan honay ki baari Haadi ki thi.

" to is ka matlab hai Aayat ne tumhain ye bhi nahien batayaa ke Mateen kis tarhaan poori trip main Aayat ke peechhay paraa tha. Aur sub ke saamnay wo uskay saath kesay flirt karta.  aur sirf yehi nahien balkay  Pakistan aanay se ek raat pehlay usnay sirf is wajaah se haatha paayi ki kyunkay usay mera Aayat se baat karna na gawaara guzraa tha. Jis par Aayat ne usay thapar bhi maara tha.  " Haadi ne ek saans main sub kuchh bataa diya.

Ye sub sunnay ke baad Aashir ka chehra dekh kar Usay yaqeen ho gaya ke Aayat ne Aashir ko Mateen ke baaray main kuchh bhi nahien bataya.

Lekin abhi ek aur andaaza tha jo wo Aashir ke saath share karna chaahta tha , aur jo uskay yahaan aanay ki asal wajaah bhi tha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now