Book 2 : chapter 36

Start from the beginning
                                    

" mujhay to lagaa tha ke tum dono kaafi achhay dost ho , par tumhain dekh ke lagta hai mujhay pehlay galat fehmi ho gayi thi shayad. " jub sub ki nazrain aur dhiyaan Amjad sahab aur Safia khala par markooz tha.p , Tab Zoyan aur Mateen halki awaaz main baat kar rahay thay.

" to phir tai paaya ke is mahinay ki 25 taareekh ko hum saadgi se in dono ka nikaah kar dain ge. Aur phir Rukhsati ki taareekh jub aap chaahain tab tai kar dengay." Amjad sahab bohat moadab andaz se Daadi jaan aur Murad sahab se bolay.  unkay chehray ki chamak bataa rahi thi ke wo is faislay se kitna khush hain.

" Dost ka matlab ye nahien ke main apni behn usay pakraa doon , agar mujhay pehlay uski is buri niyat ka shaq hota to main usay yahaan ghusnay hi nahien deta...ab pata chal raha hai ke wo itnay itnay din kyun yahaan tika rehta tha. " baron ki baaton ke doran Zoyan phir se halki awaaz main bola.

Zoyan ke ye kehnay par Mateen ke honton par halki si muskraahat phail gayi thi. "Main to ek mahinay baad hi samajh gaya tha. Aur wesay bhi Idrees ne koyi galat kaam nahien kiya. Wo shuroo se Rida ko pasand karta hai , aur sahi waqt dekh kar usnay sharayi tor par uska haath maang liya. Haan   Agar wo Rida ke saath koyi afaair rakhnay ki koshish karta to tum se pehlay main hi usay taang se pakar kar is ghar se baahar nikaalta. Lekin wo kaafi hoshyaar hai. Us bewaqoofi ke liye. " Mateen ka lehja saada tha aur nazrain ab bhi saamnay aapas main nikaah discuss kartay Baron ki taraf thi.

Aaj unka lounge kaafi bhara poora lag raha tha. Pakistan shift honay ke baad ab ye sub,  usay aam din ki tarhaan na sahi , par itna heraan kun tajurbaa bhi nahien lagta. Par agar wo ye kahay ke Tanhaayi pasand Mateen is bheer main dimaagi sukoon mehsoos karta hai to ghalat nahien hoga. Kyunkay yahaan usay apnay taareek saaye khud se door hotay mehsoos hotay hain. Jahann wo kuchh lumhon ke liye apni takleef , apnay ghum ko bhula kar khud ko is bheer ka hissa banaanay ki koshish karta hai.

Mateen ke is pur aitmaad lehjay par Zoyan ne uski taraf hont bhainch kar dekha , lekin Mateen ki nigaahain saamnay dekh kar wo thandi saans le kar khud bhi saamnay hoti discussion ko sunnay lagaa.

Wahien bethay kisi ne koyi mazaahiya jumlaa qasaa to sub ke qehqahay nikal gaye thay. Lekin Mateen ki muskraahat uskay honton ko choo bhi nahien paayi thi. Kyunkay uski mazrain is bheed main  is waqt Zarish ke saath ek taraf khari Aayat par jami huwien thien. Jo baaqiyon ki tarhaan qehqahay to nahien par ek bharpoor muskraahat apnay chehray par sajaaye huwi thi. Aur uski ye muskraahat Mateen ki takleef phir taaza kar gayi thi , jisay wo bari mushkil se sub se chhupaaye betha tha.

Jub Aayat ko uski reports ka pataa chalay ga , to kya Aayat bardaasht kar paaye gi...? Ya usay is se koyi farq nahien paray ga...?

Jahaan ek taraf wo Aayat ko kisi takleef main nahien dekh sakta ' wahien doosri taraf uskay liye ,  Aayat ki us report par koyi takleef na mehsoos karnay ki soch bhi baa'us e takleef thi.

Aur sach kahay to is sawaal ka jawaab jaannay ki usmain himmat nahien thi.

****####****####****####****#####****

Nikaah ki taareekh tai honay ke saath jo  Fehmida beghum Rishta tai honay ke din khilkhilaa rahien thien , ab unki ki pareshaani aur Rida ke liye mohabbat main aur zyada izaafa ho gaya tha. Bethay bithaaye wo Rida ke liye is tarhaan ro partien jesay ek din baad , Rida ka sirf Nikah nahien , balkay Rukhsati bhi ho rahi ho.

Aur doosri taraf Rida thi , pehlay din jo bachon ki tarhaan ro rahi thi. Ab jesay jesay din qareeb tar aatay jaa rahay thay , uskay chehray ki shaadmaani main izaafa hota jaa raha tha. Aur jub bhi Idrees ka zikr hota , wo bechaari sharmaati muskraati wahaan se khaamoshi se khisak jaati. Aur baaqi sub uski is harkat pe maainay khaizi se muskraatay rehtay.

Nikaah ki taqreeb ke liye karachi ke ek hall ko book karaya gaya tha. Karachi aur Hydrabad se sirf qareebi rishtay daaron ko hi maduo kiya gaya tha. Safia beghum ne Taqreeb se ek din pehlay hi Rida ka nikaah ka samaan  driver ke haathon bhaij diya tha. Jis main uska jora , sandle aur jewelry shaamil thi.  

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now