Uff yeh bechain dil mera !!

17 0 0
                                    

Na jane kyun hai dil bechain mera

Kyun rehta hai yeh darra darra sa 

Na jane kyun hota hai isse mehsoos

K yeh nahi hai ab mehfooz

Kuch toh hai jo nahi hai sahi 

Shayad isse itni khushi k ab adaat rahi nahi...

Sab kuch toh hai theek par fir bi nahi lagta kuch sahi 

Sab kuch toh waise hi hai par na jane kya badal gaya hamare bech 

Waqt k sath chali jaye yeh bechaini bi 

Bas yehi dua kar rahe hai hum rab se abhi

Aage ka toh pata ni par fihaal jeena tum bin hai mushkil

Adaat tumhari lagi hai itni gehri

k mano jaise saaaso se jyada ho gaye ho tum jaruri 

Laga ni tha k kar payenge hum bepannah pyar doobara 

Par ab lagta hai tum bin ek pal bi beetana nahi hai is dil ko gawara 


Nahi jante hum kab tak rahega sath hamara

Na jane kab chut jaye hath tumara 

Nahi jante kya hoga is dil ka haal tabhi

Dil mae rehkar samne tum na hoge jabhi

Dua karte hai k yeh din aaye na kabhi

Shayad is baar ho jaye pu re sapne hamare sabhi 

-TOWlove

Love ❤️Where stories live. Discover now