-Keh diya na bas keh diya-

179 31 35
                                    

I and my cousin were playing Ludo.

Me: Ae tu cheating mat kar.

She: Mei kahan cheating kar rahi hun

Me: Tu kar rahi hai, I can clearly see that.

She: Tu humesha aisa karti hai, khud bawaal karti hai koi aur mujhe pe ilzaam daal deti hai. Huh! Mujhe nahi khelna Ludo.

Me: *after two hours* Chal na Ludo khelte hai, boht bore ho rahi hun mei.

She: No

Me: Pleaseee

She: No means No

Me: Yaar please ek baar, mei kabhi tujhe nahi daantungi.

She: Keh diya na, bas Keh diya.(guess which movie had this dialogue)

Me: Pleeeeaaaassssseeee

She: bola na nahi yaar.

Me: Zyada bhaav mat kha yaar.

She: Acha mei bhaav kha rahi hun, woh kaun tha Jo cheating karne ka ilzaam laga raha tha.

Me: Maine sorry bola na.

She: Sorry bolne se dil pe pade zakhm nahi bharege (Boht dramatic nahi ho gaya?)

Me: Last baar pooch rahi hun, khelna hai ke nahi?

She: *shouts* Nahi Nahi Nahi

Me: Theek hai, tel lene jaa. Ab mei bhi kabhi tere saath kabhi Ludo nahi khelungi. Humesha bas jhagda kart rehti hai, sorry bolti hun to bhi nahi maante. Navri baithi hoti ha poora din, mei tera sahara thi, but ab tune tere sahare ko bhi kho diya, Get lost. Ab jab bore ho to sadd ke Mar Jana par mere pas mat aana, hattt Jane de mujhe.

She: Arrey sun to

Me: Keh diya na, bas Keh diya.

Moral of the story- "Naraz hone wale ko itna bhi naraz nahi hona chahiye ke, manane wala khud hi naraz ho jaya"

#LameJokesWithMe

#LameJokesWithMeWhere stories live. Discover now