Usay ab pata chala tha ke ye dulhanain kyun apni gardan jhukaaye rehti hain. Jahan Ye ek mashriqi aurat ke sharam ki nishani hai. Wahien subki khojti nazron se bachnay ka waahid zariya bhi.

  khud ko naye doar ki larki kehnay waali , aaj wo khud bhi sub baron se sharmaatay huway  apni nazrain jhukaaye huway thi.

Aur doosri taraf uske barabar main bethi Aayat thi.

Usay pata nahien tha ke Aayat is waqt kya mehsoos kar rahi hai. Aaj poori raat usnay Aayat ki zabaan se ek lafz bhi nahi suna. Aur naa hi uski body language se kuchh pata chal raha tha. Par ek baat zaroor thi, Aayat ki ye musalsal khaamoshi kisi baray dhamaakay ka andesha zaroor de rahi thi.

Us ne halki si gardan ghuma ke Aayat ki taraf dekha jo hunooz nazrain jhukaaye apnay haath main pakray clutch par lagay heeron ke ooper apnay angoothay se koyi naksh bananay main masroof nazar aa rahi thi.

Ya phir wo yahan mojood hokay bhi dimaagi tor par yahaan mojood hi nahi thi.

Zarish ko itna andaza zaroor tha, ke Is waqy Aayat normal bartao nahien kar rahi , wo maamool se kuchh zyada hi pursukoon dikhaayi de rahi thi.

" bahu , ye meri saas ne mujhay meri shadi ke din par di thi. Meri bohat khuahish thi ke ye main wahab ki dulhan ko doon , par shayad qismat main ye likha hi nahi tha. Par aaj main ye amaanat tumhain de rahi hoon... " dadi jaan ne Wo hara box khola jis main puranay style ki sindhi duhri thi usay Aayat ki goad main  rakhtay huway uski paishani pe mushfiqaana bosa diya.

Unhain dekh Aayat ne apnay chehray par halki muskaan laanay ki koshish ki.

" aray dulhan apni dadi saas ko shukrya nahien kaho gi..! Unhon ne tumhain itna qeemti tohfa jo diya hai. " ek aurat ne kaha to Aayat ne pehli baar nazar utha kar Daadi jaan ki taraf halki muskurahat ke saath dekhtay huway shukrya kaha.

Is ke baad baaqi aurtain bhi apni taraf se kuchh na kuchh unhain tohfe main de rahien thien. Par choonkay dono Aayat aur Zarish bohat thaki thaki lag rahien thien , Fehmida beghum ne sub se maazrat ki aur dono dulhanon ko apnay apnay kamron main le jaanay ke liye uth khari huwien.

Rida aur uski khala Zarish ko uskay kamray main le jaanay lagien. Aur fehmida beghum Aayat ko apnay saath Mateen ki kamray main le aayien.

*******

Ye tasveer kesi hai..?  Isay upload karoon ya nahien...?" Nawaz ne apnay mobile ki screen Zoyan aur idrees ki taraf ghumate huway poochha.

Mateen sofay par taang taang pe rakhay apni hi soch main ghuum tha.

Baraat ke aatay hi saari aurton ne lounge main aur mard hazraat ne bahar lawn main jubkay larkon ne drawing room main dera jamaaya tha.

Pichhlay ek ghantay se wo yahien bethay shadi se mutalliq hi guftagu main masroof thay. Par Ek Zoyan tha jo baar baar uth kar halka darwaza khol kar lounge ki taraf dekhta ke shayad ab in aurton ne apnay ghar ka rukh kiya ho , par phir maayoos hokay wapas apni jaga aakar beth jaata.

" ismain Main to handsome lag raha hoon par tumhari shakal paros ke gullu jesi lag rahi hai. " Idrees ne usay zich kartay huway kaha. Jis par usay taang par laat naseeb huwi.

" wesay ye batao Faheem kahan hai ? kab se nazar nahien aa raha , kahien gaya hai kya.?" Nawaz ne Sub ki taraf dekhtay huway heraangi se poochha.

" Maamu ki family to shadi hall se hi hydrabad ke liye nikal gayi thi . "  Zoyan ne bataya.

" kyun kya huwa..? Aisay achanak kyun chalay gaye.?"

" wo aaj ki chamak damak se meri zubaida maami ki aankhon main jalan ho rahi thi shayad is liye. " Zoyan ne Mateen ki taraf maain e khaiz nazron se dekhtay huway kaha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now