" in janaab ko dar tha ke Khaalu isay phaansi pe charhaanay ka keh kar gaye hongay.." Idrees ne kaha aur phir se hansnay laga. Jis par Zoyan ne usay khaa jaanay waali nazron se dekha.

"Tum kab jaa rhay ho hydrabad..?! koyi kaam dhanda hai ke nahi tumhain. "

" oh hello..!! main medical ka student hoon , aur apni house job shuroo honay ka intzaar kar raha hoon ,tumhari tarhan nahi ke bus faaltu degree lekay abba ke paison pe ayaashi karoon..!!"
Idrees ne bhunna kar kaha.

Zoyan abhi idrees ko jawab denay hi wala tha ke Mateen beech main bol para.

"Bachon ki tarhan aapas main larna bund karo, bachay nahi ho tum log..!, Pehli baat ke ye Idrees ka bhi ghar hai..! Aur doosri ye ke Zoyan ki degree main koyi buraayi nahi hai. Ek doosray ki izzat karna seekho, ye rishta bohat aham hai zindagi main.. isay kisi bhi qeemat main nahi khona.. Tum log nahi jaantay ke kitni takleef hoti hai kisi aisay shakh ko khona jo aap ke liye bhaai jesa ho..! "

Mateen ne jazbaati hotay huway kaha. Idrees ne usay moo'n phaaray herangi se dekha. Mateen ki baat uskay sar se guzri thi.

par ye sunnay ke baad Zoyan ke chehray par hamdardi ke taasuraat thay.

" umm... hum lar nahi rahay thay Mateen.., hum to aisay hi.." Idrees ne halki awaz main kaha. Idrees ke ye kehnay par Mateen ko apni ghalti ka ahsaas huwa to usnay kuchh lumhon ke liye Aankhain bhainch lien aur dil main apnay aap ko kosnay laga.

" i am sorry .." Ye kehnay ke baad wo uth kar lambay dug bhartay apnay Room ki taraf chala gaya. Idrees ab bhi be yaqeeni se uski pusht ko dekhta raha.

" ye Mateen ko konsa dora para..!?" Idrees ne Zoyan ki taraf dekhtay huway herangi se poochha.

" mujhay aaj bhi herat hai , tum ne bina dimaag ke Medical kesay karli. "

Jawab main idrees ne sofay pe rakha cushion uskay moo'n pe de maara.

"jaahil Doctor ..!!!"

***********

"Ye log hain kon.! Aur aap ne unhain aanay ki ijazat kesay de di ammi..? ek baar mujh se mashvara to kar letien kam se kam. !"

" Aaahir maine haan nahi kahi thi.. darasal Aayat ne hi meray kuchh kehnay se pehlay hi saajda begum ko haan kardi. Aur phir meri samajh nahi aaya ke Aayat ke haan karnay ke baad main inkaar kesay kar doon.., aur wesay bhi hum ne abhi rishtay ke liye haan thori kardi hai, wo to bus hum se milna chaahtay hain .."

Rehana beghum ne Aashir ke gussay ko thanda karnay ki koshish ki. Wo khud Zarish ke is achanak ke rishtay se pareshan ho gayien thien. Par kehtay hain na ke jahan bair ke darakht hotay hain to wahan pathar bhi barastay hain.

" Aayat hai kahan.."

" wo kitchen main mehmano ke liye refreshment ka intzaam kar rahi hai.. subha se pata nahi kitni cheezain bana chuki hai..." Rehana beghum ko Aayat ki Zarish ke is rishtay main itni dilchaspi kuchh hazam nahi ho rahi thi.

" Aayat to bachi hai , par aap to bari hain Ammi , aisay kesay kisi ko bhi apnay ghar aanay ki ijazat dedi?! pata nahien kis tarhan ke log hain.. main to kehta hoon abhi Saajda Aunty ko phone karkay unhain un logo ko ghar laanay se mana kar dain.." Aashir ne hatmi andaz main kaha aur sofay par beth gaya.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now