Mateen ke honto'n pe ek tanziya muskurahat dar aayi thi. Wo to khud apnay aap se itni nafrat karta hai.

Daadi jaan usay ek baar phir Wahab ke baaray main batanay lagaien , Aur Mateen bhi bohat mushkil se apna dhiyaan Aayat ki soch se hata kar unki baaton ko sunnay ki koshish kar raha tha.

Thori dair baad Rida , Dadi aur Mateen ka khana lekar aa gayi aur wahien, Daadi ke bed ke saamnay rakhi table pe serve karnay ke baad wapas bahar chali gayi.

Mateen ka kuchh khaanay ko dil nahien chah  raha tha , Par apni Daadi ke liye wo baraye naam chhotay niwaalay khaanay laga.

Unhon ne jub khana khatam kiya to , Rida ne Mateen se coffee ka poochha , par Mateen ke saaf mana karnay par wo bartan wagaira wapas kitchen le gayi.

Uska dimaagh ek baar phir , na rukti  socho'n main ghir chuka tha. Wo Rida ko Room se jaatay dekh raha tha, aur soch raha tha , ke agar in sub ko uskay kiye ke baaray main pata chal jaaye, to kya ye sub usay itni hi izzat dengay jitni abhi detay hain. Ya phir Jesay Aaj Zoyan ki nazro'n main wo gir chuka hai, baaqi subki nazro'n main bhi gir jaaye ga.

" meray bohat armaan hain tum se Mateen.."

Daadi ki awaaz pe , Usnay  in sub khayaalat ko apnay dimaag se jhatka tha. Aur apna dhiyaan  Daadi jaan ki taraf kar diya , jo usay kuchh bata rahien thien.

" bus ab tumhari shadi ho jaaye to tumharay bachay bhi dekh loon, iskay baad agar Allah miyaan mujhay apnay pass bula le to koyi ghum nahien..."

" Daadi jaan , aisy baatain mat karain.. Allah aap ka saaya humaray saron pe salaamat rakhay... Allah aap ko lumbi umar de. ."  Mateen ne kaha, aur usi waqt Murad chachu Aur fehmida beghum aur unkay peechhay , Rida , kamray main daakhil huway.

" Assalaam o Alaikum Amma jaan.. tabiat kesi hai aapki. " Murad sahab aur Fehmida Beghum ne unhain salaam karnay ke baad unki tabiat daryaaft ki.

" wa Alaikum salaam , Murad beta.. main ab kaafi behtar hoon.. Aao betho.."

Mateen ne uth kar Murad sahab ko bethnay ki jagah di, par Murad sahah ne usay wapas wahien bethnay ka keh kar , saamnay rakhay single sofa par beth gaye. Aur Fehmida beghum aur Rida  ek saath doosray sofa par.

Wo thori dair pehlay hi office se aaye thay , aur Dinner ke baad wo roz ki tarhan , sonay se pehlay Daadi amma ke saath bethnay ke liye aa gaye.

" sahi waqt pe aaye ho Murad.. main abhi Mateen ko humari khuahish ke baaray main bata rahi thi.." 

" kis baaray main Amma.." Murad sahab ne unki baat na samjhtay huway poochha. Par Rida aur Fehmida beghum unka matlab shayad samajh gayien thien , is liye unkay chahray par shagufta muskurahat bikhar gayi thi. Aur Mateen ka dil  apni lai se hat kar dharakna shuroo ho gaya tha.

" Murad .., Main Mateen ko jald apnay ghar baar ka hotay dekhna chahti hoon , maine Fehmida se bhi keh diya tha, ke wo larki dekhna shuroo kar de, Masha Allah se humara Bacha , khoob-ro(handsome) hai khush ikhlaaq hai, hazaro'n khoobsurat aur khoobseerat larkian mil jaayain gi Mateen ke liye. " 

Daadi jaan ne Mateen ki balaaye letay huway , uski taareefo'n ke pul baandhtay huway bataya , to Murad sahab  ke honto pe bhi fakhriya muskurahat ubhar aayi thi. Mateen ko dekh kar unka seena  bhi fakhar se phool jaata tha.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now