Aayat ne apnay haath main pakra khaali glass wapas side table pe rakha , aur Zarish ki taraf dekhtay huway Ek naqli muskurahat apnay honto'n pe sajaatay huway kaha.

" main theek hoon , bus bukhaar ki wajah se..." Apni wajah se Wo Zarish ko aur pareshan nahi karna chahti thi, haala ke uska dimaag Zoyan aur Mateen ke aapas main rishtay se juray sawaalon se phat raha tha.

Wo Zarish ko batana chahti thi ke Aaj us ne us shakhs ko dekha jis ke tasawwur se bhi Aayat nafrat karti hai , aur wo Zoyan ka cousin hai, us Zoyan ka , jis se wo pyar karti hai aur shadi karna chahti hai.

Par wo ye sub kesay kahay..!?

" phir jaldi se ye khaaaiye taakay phir main aap ko dawaayi de sakoo'n " Zarish jo ab Aayat ke saamnay beth chuki thi,  chamach main chaawal letay huway Aayat ke honto'n ki taraf barhaaye. Aayat ne is baar Asli muskurahat ke saath moo'n khola aur uski Ammi ke haath ka bana pulaao khaanay lagi.

Aayat jaanti thi ke Aaj jo kuchh huwa , uskay baad Zarish ke dimaag main kayi sawaal hongay , wo khud paraishaan hogi , par wo is waqt Aayat ke saamnay aisa zaahir karnay ki koshish kar rahi hai, jesay kuchh bhi nahi huwa ho. Aur sirf is liye kyunkay wo Aayat ko yaad dila ke aur takleef nahi dena chahti thi.  Aisi thi uski Zarish. Uski chhoti behn , jo ab Aayat ko apni bari behn jesi lagti hai.

" Zarish bus.. ab ek aur daana bhi khaya to mujhay qai aa jaaye gi. " Zarish ne apni dost ke baaray main batanay ke doran pulao ki Aadhi plate Aayat ko khila di thi.

" ewww Aapi .." Zarish ne Ajeeb shakal banatay huway kaha aur plate side main rakhnay ke baad wahaan rakhay khaali glaas main jug se paani daala  , aur paracetamol Aayat ke haath main thamaayi.

" moiz bhaai ne kaha tha ke do tablets khani hain. Aur haan!!bhaai ne aapkay Doctor se kal shaam  ki appointment bhi le li hai , bhaai ne kaha tha ke aap utho to bata doon. kal aap ko bhaai Le kar jaayain ge. "

Zarish Aayat ki baaqi dawaaiyan bhi nikaal rahi thi aur saath hi Aayat ko Aashir ka paigaam bhi de rahi thi.

" par kyun...!! Doctor ne to mujhay ek mahinay ke baad aanay ko kaha tha... phir kal kyun..??!" Aayat ne heraangi se poochhaa, par aaj ka waaqya us ki Aankhon ke saamnay aa kar uskay sawaal ka jawaab de gaya tha.

" Zarish lights off kar do, main sona chahti hoon..." Aayat ne dawaayi peenay ke baad , halki awaz main kaha aur wapas lait gayi aur blanket sar tak orh li.

Paanchh saal pehlay jub wo sub karachi shift huway thay , tab se Aayat kay depression ka Ailaj chal raha tha. Aur kayi had tak Aayat ko counseling se faaida bhi huwa tha jis se Aayat ko ab khatar-naak had tak ke depression Attacks hona khatam ho gaye thay. Par ab bhi wo poori tarhaan se is jaal se azaad nahi huwi thi.

" ji aapi .." Zarish Aayat ki is achanak mizaaj main tabdeeli ki wajah samajh gayi thi. Wo khud bohat mushkil se apni zabaan par aatay sawaalo'n ko rokay huway thi.

Wo din se Aayat se poochhna chahti thi ke aisa kya huwa tha , jis ke baad Aayat ki ye haalat ho gayi thi. Aakhir aisi kya baat Zoyan ne kehdi thi , jis se Aayat phir se taqreeban apnay hosh gawa bethi thi.

Par wo Aayat ke liye apnay dimaag main uthtay un sawaalo'n ko nazar andaaz kiye ja rahi thi.

Zarish Aayat ke bed se uthi aur light bund karkay apnay bed pe aa kar beth gayi. thori dair main Bathroom ke darwazay ki kinaari se daakhil hoti roshni , kamray main itni phail gayi thi ke Zarish , blanket main liptay Aayat ke wajood ko saaf dekh sakti thi.

Wo khud bhi apnay bed par Aayat ki taraf ki taraf karwat kiye lait gayi , wo Aayat ko dekhti rahi.

kyunkay neend to us say koso'n door thi.

Wo jaanti thi ke Aayat bhi uski tarah bedaar thi.

" agar aap ko Zoyan ne kuchh kaha hai..., ya wo Aap ko pasand nahi aaya hai to aap mujhay bata sakti hain....."

"main wesa hi karoon gi , jesa aap chahti ho... main..."

" Zoyan bohat achha larka hai Zarish.... usko kisi bhi baat ke liye zimmaydaar mat samjho..., wo tum se bohat pyar karta hai, "

Zarish ki afsurda lehjay main doobi us Baat ne Aayat ko ek baar phir , apni khud-garzi ki yaad dilaayi, aur isi liye uski baat poori honay se pehlay hi Aayat ne uski galat fehmi door ki.

Aayat ka chehra ab bhi blanket main chhupa huwa tha , aur wo Zarish ki taraf pusht kiye leti huwi thi.

" phir...?? Kyun..?" Aayat ki us baat ne Zarish ko herat aur khushi se do chaar kar diya tha. Wo heraangi se bhari halki Awaz main poochhnay lagi.

"Is se zyada, main kuchh kehna nahien chahti. " Aayat ke Aansoo beh niklay thay , par Aayat Zarish ko ye zahir nahien karna chahti thi. Isi liye wo blanket main khud ko chhupaaye Khaamosh Aansoo baha rahi thi.

Wo kesay Zarish ko ye sub bataaye, us main itni himmat nahien thi ke wo Mateen ke baaray main kisi se baat bhi kar sakay.

Zarish ke honto'n pe halki muskaan bikhar gayi thi.

" meray liye itna hi kaafi hai....." Zarish ne bhi halki awaaz main kaha. Aayat ki baat ne Zarish ke dil ke bojh ko ek dum se khatam kar diya tha. Wo khud ko pur-sukoon mehsoos kar rahi thi.

Par agar Zoyan Aayat ki us haalat ka zimmay daar nahi tha, to phir kon..? Zarish ki muskurahat jis taizi se aayi thi, utni ho taizi se gayab bhi ho gayi thi.

Usnay Aayat ki taraf dekha, wo hnooz usi tarhan Blanket main sar ta pair lipti huwi thi.

Kuchh dair isi tarhaan karwatain badaltay badaltay , wo Aayat ki haalat ki wajah talaash karti rahi, aur jub itni dair ke baad bhi usay kuchh samajh na aaya to wo uth gayi, aur apna mobile lekar dabay paaoon, baathroom main aa gayi.

Aur bina dair kiye Zoyan ka number dial kar diya aur us kay phone uthanay ka wait karnay lagi.

Aayat ne sirf ye kaha tha ke wo usay mazeed kuchh nahi bata sakti. Par ye to nahien kaha tha na , ke wo kisi aur se kuchh nahi poochh sakti.

Aayat ke baad agar kisi aur ko Aaj ke baaray main kuchh pata hoga , to wo Zoyan hai.

Ab sirf wahi usay sachaayi bata sakta tha.

" hello.... Zarish..!." Doosri taraf se Zoyan ki be-chain Awaz zarish ke kaano'n main goonji thi.

💕💕💕💕💕💕💕💕💕

Assalaam o Alaikum 😊😊😊

Aap ko kya lagta hai , ke Zoyan Zarish ko Mateen ke baaray main bataaye ga.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now