par jo baat usay bilkul samajh nahi aa rahi thi , wo ye thi kay itni khoobsurat larkion ke hotay huway wo uskay peechhay kyun par gaya hai..?

Wo hi kyun!!?...

" kin sochon main ghum ho madam?.."

Is waqt wo sub Burjul khalifa ke Elevator main thay , aur Elevator main kuchh mini screens aur chhoti lights ki bilkul halki si roshni thi.

Aayat ki nazar saamnay lagi screen par thi , par dimaag kayi socho'n main gum tha , jub Rabia ki awaz par usnay chonk kar uski taraf dekha.

" baad main bata'un gi tumhan " Ye keh kar usnay apni nazar wapas saamnay floor numbers ki taraf kardi jo tezi se barh rahay thay.

Unkay package ke mutaabik  Elevator 124th floor tak ruk gaya.
Jub darwaza khula aur wo sub Elevator se bahar observation desk main daakhil huway to jis manzar ne un sub ka Suaagat kia wo un sub ko apnay sehar main lenay ke liye kaafi tha.

"Subhaan Allah ..." Glass ke saamnay kharay hokar bahar ki taraf dekhtay hi , be'ikhtyaar  Aayat ki zabaan se ye lafz niklay thay.

" waqayi.... subhaan Allah ,bohat khoobsurat hai.." Aayat saamnay dekhnay main itni magan thi ke wo apnay saath kharay Mateen ko bhi na mehsoos kar saki.

" aur jo manzar main dekh raha hoon .. Wo tumharay manzar se zyada khoobsurat hai.."

Is baat par Aayat ne uski taraf asamjhi se dekha to Mateen ko apnay seenay se haath baandhay shareer muskurahat liye usi ki taraf dekhtay paaya.

"Phir se nahi..." Aayat ne moon hi moon main kaha "

"Kuchh kaha tum ne Aayat..?" Aayat ne Mateen ko jawab na dena hi behtar samjha aur wapas glass ki taraf mur gayi.

" wesay yellow colour tum pe suit karta hai. Bilkul ek chamakta suraj lag rahi ho." Pehlay kabhi Mateen ko kisi larki kay liye itni koshish nahi karni pari thi. Is liye wo nahi jaanta tha kay aisa kya kahay jis se Aayat khush ho jaaye.

Par Shayad ek ye wajah bhi thi jo Aayat uskay liye ek challenge bhi bun gayi thi. Aur challenges kisay pasand nahi hotay..?

Mateen ke ye kehnay par Aayat ne chonk kar herat se Mateen ki taraf dekha.

" Tumhain dikhayi nahi deta ke main tumhain avoid kar rahi hoon.,?! is kay bawajood tum har baar kisi na kisi bahanay se mujh say baat karnay ki koshish kar rahay ho. Self respect naam ki koyi cheez hai bhi kay nahi tum main?.!". Aayat ne aakhir khul kay baat karnay ka faisla kar liya tha.

"Awww... meri billi ko to gussa aa gaya...? "

Ye suntay hi Aayat ka paara aasman tak pohanch gaya tha.

" how dare..... main billi nahi hoon. " us ne dheemi awaz main Mateen ki taraf cheekhnay kay se andaz se kaha. Wahan mojood baqi tourists ki awaz ki wajah se koi in dono ki baatain nahi sun sakta tha.

" tumhain billi naam pasand nahi aaya ..? Achha phir chuhiya theek hai? " Mateen ko Apnay saamnay khari gussay main laal hoti Aayat bala ki khoobsurat lag rahi thi. Is liye us nay Aayat ko mazeed tease karnay ka socha. .

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Kde žijí příběhy. Začni objevovat