Mateen : chapter 7

Start from the beginning
                                    

" Abu wo main ek dost ke saath tha.  "

" chalo chhoro in baaton ko  , aur apnay cousin Mateen se milo aur Mateen ye hai mera na layak beta Zoyan "

Murad sahab ki nazar jub Mateen pe gayi jo in baap bete ko halki muskurahat ke saath dekh raha tha , to unhon ne Zoyan ki dair se aanay ki waja ko nazar andaz karkay un dono ka taaruf karaya .  Par Murad sahab ke Zoyan ko na-layak kehnay par Zoyan ne apnay abu ko pehlay masnuyi ghussay se dekha par doosray hi pal qehqaha lagaya aur  hanstay huway  Mateen se galay miltay huway salaam kiya.

" waAlaikum Assalam  " Mateen ne uskay salaam ka jawab usi garam joshi se diya.

" Murad chachu ne mujhay tumharay baaray main bataya tha." Mateen ne Zoyan se alag ho kar muskuratay huway kaha. Sach kahain to Usay ab bhi yaqeen nahi ho raha tha ke wo is waqt pakistan main hai aur iskay saath kharay ye do shakhs ,us se blood related hain , jinka ek mahinay pehlay tak naamo nishan tak nahien tha.

" ek minute .... Tum ne abhi urdu zaban boli? "  zoyan  phati ankhon se herat main Mateen ko dekhnay laga ,  jesay Mateen koi alien ho ya uskay sar par seengh nikal aaye hon.

" kyun ... Main urdu nahi bol sakta?"

Zoyan ke is ajeeb radd e amal par Mateen ne uskay sawaal par apna sawal kar diya. Ek nazar wo zoyan ko to doosri nazar wo Murad sahab ko sawaliya nazron se dekhnay laga .

" nahi mera matlab wo nahi tha... I mean tum london main paida huway ho ..aur wahien palay badhay ho ,aur wo bhi apni English maa ke saath  ,to. .mujhay laga..."

"Zoyan..!" Zoyan ki baat pe Murad sahab ne usay toka par  Mateen ko Zoyan ki is ajeeb baat par hansi Aa rahi thi.   Kyunkay Mateen ko Zoyan ki ye baatooni aadat apnay maazi ki yaad dila rahi thi jub wo khud bhi isi tarhan khush mizaaj huwa karta tha.

" bachpan main baba mujhsay humaisha urdu main baat kartay thay ,aur phir school main bhi mera ek indian friend tha , aur hum dono urdu / hindi main baat cheet kartay thay. Is liye Urdu bola meray liye koyi bari baat nahien hai."

Mateen ne halki muskurahat ke saath usay apni itni saaf urdu ki waja batayi.

"Ohh....ab samajh aaya" Zoyan ne baat samajhtay huway kaha.

" bohat ho gayi baatain .. Ab ghar chalo tumhari maa intzaar kar rahi hogi Mateen ka.

Murad sahab ke kehnay par teenon Parking lot ki taraf badhay.

Mateen car main Murad sahab ke barabar main back seat par betha bahar ki taraf dekh raha tha.aur is doran  Zoyan ,  Murad sahab ko uski ammi kay baaray main bata raha tha.

Lekin is waqt Mateen ka kisi bhi baat par dhiyaan nahi tha , kyunkay uski soch baar baar ek hi shakhs ki taraf lot rahi thi jo Mateen ki har soch ki tanha mehwar thi.

Aayat....

Car main ac on honay ke bawajood uskay chehray par paseenay ki boonday chamak rahi thien. Mateen ne garrdi ka sheesha neechay kar diya , aur bahar se aanay walay hawa ke jhonkay usay jannat ki hawa ka taasur de rahay thay.

usnay seat par taik laga kar ankhain moond lien. Aur karachi ki thandi hawaon ke sehar main kho gaya.

**~~**~~**~~**~~**~~**~~**~

"Dubai is a city of contrasts, a land where old and the new ,traditional and modern, east and west, blend seamlessly to create a few fascinating and exciting........"

Bus main sawaar sabhi passengers ka dhiyaan saamnay khari company ki taraf se di gayi unki guide ki taraf tha jo apnay makhsoos arabic accent main unhain dubai ke baaray main bata rahi thi.

" i think i really I like her.."

Aditya bhi Mateen ke barabar main betha guide ko dekh raha tha aur saath hi mineral water ki bottle se pani bhi pee raha tha, par Mateen ke achanak kahay gaye alfaaz par Aditya ki halak main jesay paani phans gaya ho aur usnay khaanstay huway apnay moo main jama saara paani apnay saamnay phaink diya.

Uskay khansnay ki awaz par sub ka dhiyan uski taraf mutwajja ho gaya tha. Aur sub usay ajeeb nazron se dekhnay lagay.

" ahhh.. Main wo....sorry" sub ko apni taraf yun dekhtay dekh Aditya ne apnay haath main pakri bottle ki taraf ishara kartay huway ye lafz kahay. Jub sub ne us se nazrain hataayien aur waapas apni guide ki taraf dekhnay lagay to usnay gehri saans bhari jo wo nervousness main rokay huway tha.

" Nice show. Hunn"

Mateen ne Aditya ko hanstay huway tease kiya.

" shut up Mateen.... Aur tu kya keh raha tha?"

" haan ! Mujhay Aayat pasand hai" Mateen ne , yaad aanay par barabar ki row main ek seat aagay bethi Aayat ko dekha jo Rabia ke saath bethi thi , aur bahar ke nazaaron ka lutf le rahi thi.

" kya tum pagal ho !?"

Mateen ke inkshaaf par Aditya ko uski dimagi haalat pe shak honay laga. Par Aditya ke ye kehnay par Mateen ne bura maan'ne ke bajaye hansna shuroo kar diya.

" nahi main pagal nahien hoon , mera dimaag Einstein ki tarhaan na sahi par ek normal insaan e hisaab se bilkul theek kaam kar raha hai. "

Lekin Aditya ki uspay herat aur be yaqeeni aur barh gayi thi. "Tumhain us se milay huway abhi ek ghanta bhi nahi huwa , aur ab tum keh rahay ho ke wo tumhain pasand hai!?" Itnay saalon ki dosti ke baad bhi Mateen uski samajh se bahar tha.

" pasand aanay ke liye ek nazar hi kaafi hoti hai , aur main to pata nahi kitni nazrain uspay daal chuka hoon. "

Mateen ki nazar is waqt bhi Aayat ke chehray par thi , jo Rabia ki kahi gayi kisi baat pe khilkhila rahi thi.

Aur uska khilkhilata chehra Mateen ke chehray par bhi muskurahat saja gaya tha.

Mateen ko muskratay huway Aayat ko dekh kar Aditya kay dimaagh main ek hi soch thi. Mateen ki Aayat ki taraf feelings kya waqai sachi hain ya har baar ki tarhaan sirf time pass.

***********************🌿🌿🌿

Assalam u Alaikum my lovely readers. So what do you think about Mateen's feelings for Aayat , is he serious about her ????

Aur bohat bohat shukrya aapkay votes aur pyaray comments kay liye it means a a lot. Aur meray silent readers thank you meri book parhnay ke liye par please vote for my book aur aap log bhi comment karain aur mujhay bata'en ke aap is book ke baaray main kya sochtay hain please.
Ones again thank you for reading my book🌹🌹🌹🌹💐
Next chapter main Aayat shadi function attend karay gi , dekhtay hain wahan kya hota hai.🤔🤔😉😉😉😉






"

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now