Wo Mazeed bataanay hi waali thi ke darwaaza khulnay ki awaaz aayi aur Ammi muskuratay chehray ke saath dakhil huwien.

"Assalam-u-alaikum ami"dono ne salaam kiya .

" waalaikum assalam , Zarish main baahar sofa pe Aashir ke kapray rakh ayi hoon zara unhain teh karkay uskay cupboard main rakh ao..shabaash "
Salaam ka jawab denay ke baad wo pyar se Zarish se kehtay huway Aayat ke saamnay bed par beth gayien.

Aayat jaanti thi ke ye dar-asal Zarish ko kamray se bahar nikaalnay ka tareeka tha.

Wo jaanti thi ke jis baat ka usay subha se dar tha wo honay jaa raha tha. Zarish ji Ammi keh kar wahaan se uth gayi aur jaatay huway darwaaza bhi bund kar diya.

" beta mujhay tumse kuchh baat karni thi." Rehana begum  shaaistgi se bolien.

"Ji Ammi kahain"Ayat ne halki awaz main kaha.

"Beta, subha Zarina begum wo Naazish ki Ammi, wo aayin thien..." Ye keh kar wo rukien ,par Aayat ke haan main sar hilanay par wo phir se bolna shroo huwien. Sachaayi to ye thi ke wo khud bohat dari huwien thien Aayat se ye sub kehnay se.

" wo bata rahi thien ke unka bhai jo Australia main rehta hai ... Wo apnay betay ke liye ek pakistani larki talash kar rahain hain....aur.."

Rehana beghum ye keh kar Ayat ki taraf umeed bhari nazron se dekhnay lagien, lekin Aayat ka chehra ab bhi be taassur tha. Is liye unki himmat main thira izaafa huwa.

" Larkay ka wahaan apna business hai aur wo bataa rahien thien ke wo bohat khush shakal bhi hai.

Rehana beghum is baat se anjaan thien ke Aayat ka ye be taassur chehra kis dard ko chhupaanay ki koshish kiye huway tha.

Aayat ka dil tezi se dharakna shuroo ho gaya tha aur uskay galay main ansuon ka gola jama ho gaya tha. wo kitni mushkil se apnay aap pe zapt kiyay huway thi.

Be saakhta Aayat ne apnay ghutnay apnay seenay se laga liye aur nazrain neechay kar lien thien. Wo jaanti thi ke agar usnay Apni Ammi ki un ankhon main dekha, jo Aayat ke liye fikarmandi se bhari huwien hain to wo toot jaye gi , wo bikhar jaaye gi. kyunkay wo chah kar bhi apni maa ki ye khuahish poori nahi kar sakti thi.

Aayat ki musalsal khamoshi Rehana beghum ko khauf dila rahi thi , par phir bhi unhon ne apni baat jaari rakhi.

"Aayat ,Zarina kay betay ki shadi ki photographs main unhon ne tumhain dekha ....aur ...aur. wo tumhara rishta maang rahay hain.." Rehana beghum ne Jhijhaktay huway Baat mukammal ki thi.

Wo Aayat kay saaf inkar kay liye tayaar thien. par Ayat ko is tarhan bina kuchh kahay khaamoshi se sur jhukaaye dekh kar wo pareshan ho rahien thien. pichhli kayi baar jub unhon ne Aayat se shadi ki baat ki thi , to wo har baar saaf inkaar kar deti. par aaj..aaj usay is tarhaan khaamosh dekh unhain kisi toofaan ka andesha ho raha tha.

"Aayat..."Rejana begum ne Uskay sar par haath phairtay huway halki awaz main pukara. Jisay mehsoos kartay huway Aayat ne apnay ghutno se sar uthaya aur Rehana beghum ke pareshan chehray ki taraf dekha.

Aayat ki ankhain kisi bhi jazbaat se khaali thien, siwayay us jagmagaatay terrtay paani kay , jo Aayat ke dil ki haalat bayaan kar raha tha . Aayat ko is tarhaan dekh Rehana beghum ka kaleja do tukray ho gaya tha.

" main tayaar hoon Ammi. " jub Aayat ne ye jumla kaha to Rehana beghum ko apnay kaano pe yaqeen nahi huwa aur wo Aayat ko heraangi be yaqeeni se dekhnay lagien.

"aap jis se kahain gi ..main us se shadi karnay ke liye tayaar hoom..."Aayat ke ek baar phir bolnay par Rehana beghum ka dil khushi se surshaar ho gaya aur unhon ne Aayat ko apnay seenay se laga liya. Unhain yaqeen nahi ho raha tha ke Aayat shadi ke liye maan gayi hai .

"Aayat... Meri bachi ...tum nahien jaanti tum ne mujhay kitni bari khushi di hai...main..."

"Par mari ek shart hai..! "Rehana beghum ki baat ko kaat-tay huway Aayat ne ye kaha to Rehana beghum ne usay khud se alag kiya aur khojti nazron se Aayat ko dekhnay lagi.

"Jis se bhi meri shadi hogi...."Aayat ke aansoo ab rawaangi se beh rahay thay aur wo seedha Rehana beghum ki aankhon main dekh rahi thi. " main usay apnay baaray main sub kuchh such bataoogi.....aur phir bhi agar wo mujhsay shadi karna chahay , to phir mujhay koyi pareshani nahi hai" Aayat ne bina rukay saaf keh diya.

Lekin Aayat ki shart sun kar Rehana beghum ke peron talay se zameen khisak gayi thi. wo Aayat ko herat se dekhnay lagi .

"Tum aisa kuchh nahi karogi Ayat..!"Is baar Rehana beghum ne qadray sakhti se kaha tha.

"Kyun Ammi..aapko lagta hai ke sachayi jaanay ke baad koyi bhi mujhsay shaadi nahi karega...?!..phir kyun aap baar baar meri shaadi ki baat karti hain , jub kay aap achhi tarhaan se jaantien hain kay jo kuchh meray saath huwa uskay baad koyi bhi mujhay shadi nahi karega ... Phir kyun..!."

Aayat ki haalat hysterical ho rahi thi , uska poora jism kaanp raha tha aur ronay se uski hichkiyaan bundh gayi thien. Subha se Jis baat se wo dar rahi thi Aakhir wahi ho raha tha aur har baar ki tarhaan aaj bhi usnay apni maa ka dil torna par raha tha. par wo kya karti.

haan kar deti..?.

ek jhoot pe apni zindagi ki shuruaat karti.. ?

Kyunkay wo aur  Rehaana beghum achhi tarhaan jaanti thien ke jo kuchh uskay saath huwa , uskay baad is muaashray main wo ek kharaab cheez ki maanind hai , jisay koyi bhi qaabil aur izzatdaar larka qabool nahi karega. Phir kyun wo apni zid ko chhorti nahien.

" Aayat meri baat ko samajhnay ki koshish to karo.." Aayat ki ye haalat dekh kar Rehana beghum ne uskay qareeb jaa kar narmi se samjhaanay ki koshish ki.

" nahi Ammi .... Baat aap samajh nahi rahi.....,main kisi ke qaabil nahi hoon ..maili ho chuki hoon main..!" Aayat takiyay ko apnay seenay se laga kar lait gayi aur ba awaz ronay lagi.

Rehana beghum ko samajh nahi aa raha tha kay wo kis tarhaan apni beti ki bikhri zindagi ko samaitay. kis tarhaan is baat ka yaqeen dilaaye kay wo ab bhi paak hai. kisi aur ke kiye gaye gunha se wo maili nahi huwi hai.

aur kis tarhaan usay un buri yaadon se nikaalay ...unhain laga tha ke waqt ke saath shayad uska dard kam ho par paanchh saal baad bhi unhain apni beti utni hi bikhri nazar aati hai jitni pehlay thi.

Wo Aayat kay barabar main beth gayien aur uskay sar par shafqst se haath phairtay huway chup karanay lagi. Wo uskay liye pareshan thien.

Doctor ne Aayat ko kisi bhi pareshani say door rakhnay ke liyay kaha tha. Aur uski is haalat ki wahah se Aayat ko phir se panic attack ho sakta hai.

" Shhshh.....Aayat chup ho jaao " unki ankhon se bhi Aansoo behna shuroo ho gaye thay.

"Ammi.." Aayat ne unki god main sar chupa liya tha.. Wo jaanti thi uski baaton ne uski maa ka bohat dil dukhaya hai. Wo unki god main sar rakhay bilkul chhotay bachon ki tarhaan ro rahi thi aur Rehana beghum usay chup karatay huway kabhi uskay baal sehlaati kabhi uskay baalon ko bosa deti.
..................................

Salaam:

Ab tak aap logon ko samajh aa gaya hoga kay Aayat kay saath kya huwa tha , yes she was raped.maine uper story main direct wo word use nahi kiya kyunkay Aayat wo sub apni ami ke saamnay nahien keh sakti thi. Par jo kuchh usnay kaha samajhnay ke liye kaafi tha.🍁🍁
Please comment, vote and share my story with your friends and jo log vote kar rahay thank you so much for your support it means a lot 😘😘
Tc🌺🌺🌺🌺🌺

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now