Chapter 1

14K 378 352
                                    

🍂Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai FARAZ

Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

❤️AHMED FARAZ❤️

💞💞💞💞💞💞💞💞💞
Edited

Hum sochtay hain ke hum subsay behtar hain.., hum kabhi kuchh galat nahi kar saktay, par sach to ye hai ... Waqt aur Haalaat hum se Kya kuchh karwa dain , ye hum soch bhi nahi saktay.

Wo nahi jaanta, us raat usnay  aisa kyun kiya,....par aaj bhi apni us galti ki saza, wo khud ko  de rahaa hai...kunke wo jaanta hai ke jo kuchh isnay kiya . us ke liye agar wo khud ko ek ek pal ke liye aag main jalata bhi rahay to wo bhi kam hoga uskay gunaah ki talaafi ke liye ...

Wo har roz apne khuda se apnay gunah ki maafi maangta hai , par.., par kya agar wo khud apnay aap ko maaf na kar paa raha ho ...kya agar usay khud apnay wajood se ghin mehsoos hoti ho.

, paanchh saal guzar chukay hain us raat ko ...paanchh saal..,  aur aaj bhi us raat ka , ek ek pal , us ki har ek dard bhari aah , us ka har behta ashk, Mateen apnay dil pe tezaab ki tarhaan mehsoos karta ho.

Guzartay har din ke saath wo har pal , ek nayi maut mar raha hai. Aisi maut jo usay Pachhtaaway ki zindagi ki surat main mil rahi hai.

Us raat Mateen ne us se kaha tha ke wo us se be panaah pyar karta hai , ...and he really loved her so much .. Ishq kiya tha us se , aur usi ke saath...!

"Mr Mateen aap ki waalida hosh main hai , aap chahain to un se mil sakte hain. "

"Shukrya . "

Nurse ki awaz ne usay apnay khayaalon ke siyaah andheray se bahar nikaala tha.

Uski mom ko hospital main admit huwe do hafte se zyada ka arsa ho gaya tha , aur doctors ka kehna hai ke wo ab kuchh nahi kar sakte. aur mom ke paas ab zyada waqt nahi hai , zyada se zyada ek hafta . Par uska dil ye baat maannay ke liye bilkul tayaar nahien tha. Wo apnay betay ko tanha chhor kar nahien jaa sakti, jub wo tootnay ki kagaar par hai.

Wo darwaza khol kar jesay hi daakhil huwa , uski nazar saamnay be par neem daraar apni maa pe pari. Uski mojoodgi se be khabar wo ooper chhat par gair mueeni nuqtay ko dekh rahien thien. Unki aankho'n ke poor num thay. Jis ka matlab tha ke uskaay aanay se qabal wo ro rahien thien.

darwaze bund honay ki awaz par unhon ne Mateen ke fikar mund chehray ki taraf dekha, aur apni wahi muskurahat di , jo humaisha usay baqi har shai se gaafil kar deti hai . Unhain muskurata dekh uska dil unkay liye tarap utha tha.

"Assalam u alaikum mom ,aap kesi hain ."

Mateen salaam karta huwa un ke bed ke barabar ki seat par beth gaya , aur un ka umar raseed haath , jo ab siwaye hadiyon aur chamri ke ilawa ,aur kuchh nahi tha , apnay mazboot haath main thaam liya , aur un ki taraf dekhtay huway ek halki muskaan apnay chehre pe sajaayi, jo uski aankhon main bethi udaasi aur kabhi na khatam hone walaay dard se bilkul alag thi.

"Wa alaikum salaam Mateen ..." Halki awaaz main jawab diya gaya tha.

"Bus ab aap theek ho jaayain to hum ghar chalain..mujhay pata hai aapko hospitals se kitni mafrat hai.." Mateen halki muskaan liye unhain behlaanay ki koshish ki.

Sazaye  ishq. سزائے عشق  Completed ✔️Where stories live. Discover now