ye story shuru karne se pahle mai apko iske bare m batana chahti hoon
Kya kabhi aap bhi kisi aise ajnabi se mile/mili hain, jo aapka duniya ko dekhne ka nazariya, khud ko dekhne ka tareeka aur zindagi jeene ka matlab...bahut kuch sikha kar chala gaya ho?
Ye kahani jitni hi simple hai, utna hi emotional hai... Indu-Priya ki ye kahani aapke sath jarur rahegi
kyuki ye kahani shirf indu ki nahi, un sab logon ke liye bhi hai jo kabhi Indu ki tarah sochte hain, mehsoos karte hain ya apni zindagi mein kuch alag karna chahte hain
mai aesa kahani first time likh rahi hoon aur mujhe nahi pata kitne logon ko ye pasand aayega bhi ya nahi, aur pasand aa raha hai to batayega jarur
shayad is kahani mein aapko koi aesa pal mil jaaye jo aapko apni zindagi ki yaad dilaye, ya shayad Indu ka koi faisla aapko apna lage, ya uski koi uljhan aapko apna sa lage
main ye nahi chahti ki aap sirf Indu ki kahani padhein... balki aap uske safar ko mehsoos karein, uske kaani ka hissa banein.
Toh chaliye... Indu Priya ke saath uski zindagi ka ek naya panna kholte hain
hani selene
YOU ARE READING
AGLA PANNA
RomanceKabhi kabhi jo paana hota hai, uske liye kuch yaadon aur logon ko bhoolkar aage badhna padta hai. Indu Priya apne liye kuch karna chahti hai, aur dusron ki tarah sirf shaadi nahi karna chahti. Isliye nayi shuruaat ke liye apne purane ghar, rishton a...
