synopsis

108 1 0
                                    


"Ishq ka rang"
Ek aisi kahani hai jo nah sirf muhabbat ki taroo se kheilti hai balke dosti, nafrat aur khouf ki dunya se bhi waqif karwati hai.

Yeh Kahani hai ek aisi larki ki jo
Muhabbat ko afsana kehti, na-mehrumiyo ko Zindagi kehti
Rango mei usey apni dunya Abad dikhti
lafzo mei usey apni pehchan milti
Asoolo ki thi woh paband
Apni zindagi kei asool khud banati thi
Muhabbat par tha nah yakin usey
Lekin qismat ne kheil diya apna kheil
Usko bhi hogayi Kisi se muhabbat
Phir usne chor di apni muhabbat
Woh hogyi usse juda
Kyun??? 

Kyu kei yeh kahani hai Zain Ahmed ki
Bachpan ka khof
Apno ko khone ka dar
Yaadoo se Anjan
Hadsato se bekhabar
Yeh Kahani hai Zain Ahmed ki
Zindagi ki bhulbhulaiyo mei uljha
Kar beitha muhabbat ek aesi larki se
Jisei nah tha muhabbat pe aitebar
Is bat se anjan ka usey aitebar tha 'ishq' pe
Aur woh Karne lagi thi usse ishq
Phir
Phir kismat ne kheila apna kheil
Zain kho gaya apni Zindagi ki bhulbhulaya mei
Dheere dheere hota gaya woh sabse dur
Woh wapis kabhi nah lout saka apni muhabbat ka pass
In duriyo mei jeeti galat fehmiya
Lagei Zain pe ilzamat
Kho di Zain ne apni pehchan
Bhul gaya woh apni muhabbat
Bhul gaya woh apno ko
Hogaya woh sabse Anjan

Lekin Kahani yahin khatam nhi hoti
Kahani ka bhot se pehru baqi hai abhi
Jahan the 2 log apni zindagiyo mei uljhe hue
Wahin the 2 log unka hath thamne ka lie bhi
Unhe mazbut bnanei ka lie
Unki har Jung mei dhaal banne ka lie

Leyla Mirza thi sabse alag, sabse Bahadur
Dosto mei basti thi uski jaan
Unhe Sath rakhne ka lie kar jati thi har had par
Irado ki mazbut, zuban ki pakki
Ehsaasat ki Malika
Raaz ka samandar
Leyla Mirza
Jahan karti thi woh sabki fikar par bhool jaya karti thi khudko
Usi ka khayal rakhne ka lie qismat ne milaya ussey Azan Ahmed se

Azan Ahmed
Khushmizaj aur hasmukh sa larka
Bhaiyo se shuru Hoti uski zindagi aur leyla pe khatam Hoti uski zindagi
Tha woh bala ka haseen Lekin uski kanj si aankho mei Rehti thi ek chamak
'shatani chamak'
Aankho mei shataniyaa, laboo pe muskurahat
Log khouf khate the uske is roop se
Na-janei kesa Sehar tha uske wajud mei
Logo ko rakhta tha entertain Apni mastiyo se
Aur
Karta tha muhabbat Leyla Mirza se
Rakhta tha uska khayal
Karta tha usse Apne Dil ki batei
Woh piyara sa Azan bacho sa lagta
Jab hota woh Leyla mirza ka sath
Leyla ka tha woh Sahara
Aur Leyla thi uski muhabbat

Jahan the yeh dono khush wahin the 2 aese shaks bhi jinke naseeb nhi the ek
Jinke Sath kheilei the qismat ne bhot se kheil
Ek ki Zindagi na-mehrumiyo se bharii thi
Aur dusre ki zindagi uska passion thi

Aliyah Rehman thi ek psychologist
Logo ke masle sunkar unhe hosla dena
Banata tha usey mazbut
Deta tha usey hosla
Milti thi usey himmat halato ka samna karne ki
Par bachpan ke Kuch hadse aese hote hai jinhe waqt par sambhala nhi Jai toh kardete hai tabah Zindagi ko
Aesa hi Kuch hua tha Aliyah Rehman ka Sath bhi
Hogayi thi uski Zindagi barbad
Ban gayi thi woh buri
Nhi thi woh buri Bas halat ne majbur kardia tha usey burei Kam Karne par
Lekin thi woh Apne dosto se barii wafadar
Uski zindagi bas dosto se shuru hoti or unhi pe khatam
Muhabbat karne ka lie nah uske pass waqt tha aur nah koi irada
Lekin Kismat ne phir se kheila apna kheil
Hogyi muhabbat Aliyah Rehman ko bhi
Lekin Kya Mili usey uski muhabbat ya Mili usey koi saza muhabbat ka roop mei
Bachpan ki aziyato ka bad muhabbat thi uske Khush honei ki wajah
Lekin Kya qismat ne chin li usse yeh wahid Khushi ki wajah bhi ya thi usi ki kisi galti ka khasara

Ali ahmed ne ki thi Aaliyah Rehman se muhabbat
Succhi muhabbat
Aaliyah ki khamiyo par Dala tha usne parda
Diya tha sath uska
Lekin Kya tab bhi Sath deta woh uska
Jab usey ilam hota aaliyah ka gunaho ka
Ali ahmed tha ek doctor.
Logo ki Zindagiyaan bachana tha uska farz
Lekin phir gayi uski aankho ka samne Kisi ki Zindagi
Kuch nah kar Saka woh
Aur phir gayi uski Zindagi
Koi nah bacha saka usey
Sabne man li apni har
Sabne taslim karliya khudko 'bebas' sa
Aur kho dia
Dr. Ali Ahmed ko

Yeh Kahani hai rango ki...
Nafrat ke rango ki...
Khouf ke rango ki...
Dosti ke rango ki...
Insano ke rango ki...
Yeh Kahani hai,
Ishq ke Rango ki...

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now