chapter 2

61 8 2
                                    


Zain Ahmed Apne office room ka darwaze pr sakth khara tha uske pichei adil bhi lamhe Bhar ko hairan hua Lekin phir agle hi pal uska hasaa nikla jispe Zain ne usko ghurii se nawaza. Adil ne apne muh pr shahadad ki ungli rkhi jese kehrha ho looo meine Apne lab sii lie hai ab toh ghurna band kro yaar......

Zain ne ab apna rukh samne ki janib kia Jahan uski desk ka aagei 2 larke zameen pr lot pot hue pare the. Ab ek sayah t-shirt pr neeli jacket pehna larka khara hua or safaid hoodie wale larke ko jo Zameen par leita gehri sansei lerha tha usko collar se pakar kr khincha or hatho ka mukka banai uske jabre ka pass le gaya ka tabhi ek awaz aayi
"Bas karo Tum dono" zain ghusse se dharta hua neeli jacket wale larke ka pass aa phoncha jiska hath Zain ki awaz se ruk Chuka tha phir usne safaid hoodie wale larke ko jhatke se chora or 2 kadam pichei ko hua

"Yeh Kya batamizi thi Ali" ab ka woh neeli jacket wale larke pr dhara tha jis se uske tewar bigrei jabke white hoodie Wala larka pur sukun sa muskuratei hue dai taraf rakhe couch ki janib jaa beitha toh adil ne aagei barh kr usey Pani ka glass thamaya
"Bhaii shuruwat isne ki thi" Ali ka ishara samne couch pr nim daraz hue larke pr tha. Zain ne uski janib dekha or phr uske Sath khare adil ko dekha toh adil uska Matlab samajhta kamre ka darwaza bandh krta bahir Nikal gaya phir Zain apni desk ki janib barha apna coat utarta stand pr latkaya or tie ki knot dheeli krta apni kursi ki janib aa beitha or phr in dono ko bhi samne aakr beithne ka ishara kia toh dono ne pehle ek dusre ko aankho se ghura or phr kursi khenchte hue beith gai toh Zain ne kehna Shuru kia "Ab batao konsi aafat aa pari thi jo esey janwaro ki Tarah lar Rahe the tum dono"

"Tum humei janwar kehrhe ho" white hoodie wale larke ne beyakini se Zain ki janib dekha jo indirectly inko janwar ka khutab se nawaz Chuka tha
"Han bilkul" usne kaha toh Ali ne bhot sanjidah lehje mei kaha "Bhai ap jante ho humei janwar kehna bhi janwaroo ki toheen hogi" kehte hi zaban dantoo talei dabai jese usey ab andaza hua tha ka usne yeh kehkr phrse apni hi beztii ka pitara khol Lia hai
"Thank you Ali itna such kehne ka lie" white hoodie wale larke ne muskuratei hue Ali ka kandhe pr zor se hath mara jisse Ali ki karah besakta ubhri "ahhh, ab kyuu maraa"

"Hatho mei bhot khujli horhi thi is lie check krrha tha ka Kahi tumhe Marne se khatam Hoti hai ya nhi" apne hatho ko aankho ka samne lejate hue kaha

Ali ne Dil mei Socha uff yeh larka iska Bhai toh hai lekin itna batamiz kyu hai akhir phr zabt krta aankhein michta azan ki Janib mura or chehre pr zabardasti ki muskurahat sajai "ab sukun mil gaya tumhari 'khujlii' ko" khujli pr zor dia gaya

"Han bhot sukun mil gaya" muskurahat abhi bhi barkarar thi.

"You know what, Kabhi kabhi mei sochta Hun ka koi itni mar khane ka bad bhi itna dheet kese ho Sakta hai" thori nagawari se apne barabar mei beithe apne bhai ko dekha Jo iske yeh kehne pr besakta muskura gaya
"Mere piyare bhaii Ali" apni puri tawajjah Ali pr markuz kiye sidha ho beitha "agar Tum yeh soch rahe ho ka aesa kehne se tum Azan Ahmed ko sharminda kardo gei toh yeh tumhari bhot barii Galat fehmi hai" Ali ne Apne samne beithe white hoodie wale larke ko dekha or phir usi ka Andaz mei behad mutmain hoke kaha "Mei Janta hun Tum sharminda nhi hogei. Kyu kei yeh sift sirf insano ki hai, Tum jese janwar ki nhi" kehte Sath hi apni jagah se utha or couch ki taraf lapka, wahan rkha cushion uthaya or azan pr puri quwat se de mara lekin Azan ne usey catch krlia. Woh abhi dusra cushion bhi utha kr phenkne hi wala tha ka
"ab bas karoo tum dono" zain Jo tabse khamosh tha ab lehje mei sakti lie hue tha.
Ali Azan ko ghurta wapis apni jagah aa beitha
"Tum dono mere office mei jangliyo ki Tarah kyu lar rahe the" zain ne apne lehje mei sakti barkarar rakhi. Samne beithe dono bandaro ki aankho ka tabadla hua toh zain ne table pr dastak di "kahan kho Gai? Mei Kuch puch raha hun"
Azan aur ali dono ne zain ko dekha Jo nasamjhi se inhe hi dekh rha tha phr Azan ne apna gala khankara or sidha ho beitha or pehle Zain ka chehre ka
Jaiza Lia woh filhal thik thak mood mei hi lag raha tha phr azan thandi saans bhari or Apne barabar mei beithe Ali ki janib dekha "Ali, Tum kehna shuru karoo phir mei continue kruga" .......
______________________________________

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Dove le storie prendono vita. Scoprilo ora