Amairah ne usko nagawari se ghurte hue kaha "yeh Kya harqat thi Leyla, Kon esey uthata hai Kisi ko" ab aasteno se chehra saf karrhi thi.
Leyla ne tissue box uske samne kiya "Tumhe mei pichle 30 minute se uthane ki Koshish karrhi hu magar majal hai jo ek inch bhi hili ho Tum"
Amairah tissue ne ek Sath 2, 4 tissues khinch kr nikale or apna chehra saf krne lagi "toh aesi konsi qayamat aagyi thi jo 30 minute se utha Rahi ho" uski Nazar darwaze par gayi usko yad aaya ka Raat me yeh darwaza usne lock Kiya tha "aur ek minute Tum andar kese aayi kyu kei mei toh darwaza lock kar ka sooyi thi"

Leyla ka laboo par muskurahat aayi. Usne Apne dai hath mei pakre chabi ka ghuccha amairah ka samne leh raya. Amairah ko yeh bat bilkul achi nhi lagi "ab lagta hai ka Apne Ghar ki chabiya bhi gayab karni paregi mujhe" woh barbarati hui Apne oper se kambal hatati uth khari hui or washroom bandh hogyi.

Chand lamho bad bahir nikli toh Apne kamre ki halat dekh kr sakt hogyi.

Leyla Mirza ne uski har chiz idhar udhar kar rakhi thi. Almari se kapre, jutei sab kuch Zameen par bikhre pare the aur leyla Mirza bed pe suitcase rakhe hui khari kapre dekh rhi thi. Jo Pasand aata woh bag mei esey hi dal deti or Jo Pasand nhi aata woh aese hi Zameen par phenk deti.

Amairah ne lambi saans kharich ki or niche se Apne kapre uthati hui leyla ka sar par aa khari hui "mei 2 minute ka liye Kya gai ka Tumne mere saf sutre kamre ko kachra-kundi hi bana dia. Yeh suitcase Kyu pack karrhi ho"

"Kya Matlab Kya karrhi ho, bhaee trip hai aj tum bhul gayi" usne beyakini se amairah ko dekha

"Oh han mujhe yad aaya. Lekin woh toh....." Leyla ne uski bat kat di

"Han Kal ka hi plan tha Lekin phr meine Socha 'Kal kare so aj aur AJ kare so ab' isi Liye meine aj ka hi plan krlia. AJ nikle ge toh sham tak phonch jaige phr zahir hai safar ki thakan bhi Hogi toh aram bhi karna parega toh phir hum Kal subah se enjoy karege" woh ab Zameen se kapre utha rhi thi aur amirah ache se tail laga kar kapre suitcase mei dalte hue Leyla ki bat sunti rehne k bad uske laboo se beysakta hi nikla "Leyla Mirza you are unpredictable" Aur Leyla has di "yeh toh Tumne bilkul sahi kaha" ab amairah bhi muskura di.

"Wese Aaliyah Kahan hai?" Amairah ne pucha

"Han meine call ki thi usne kaha ka woh apni packing krrhi hai, meine Tumhe bhi call ki Lekin tumhara phone off tha toh aunty se pata Chala Tum Soo Rahi ho toh mei apni packing kar ka Yahan aagyi. Ab tumhare Sath niklugi or Aaliyah ko pick karte hue jaige"

Amairah bilkul khamosh hogyi. Usko abhi tak nazli aunty ki bat yad thi. Pr usne abhi tak koi faisla nhi Liya tha. Usne pehle Socha tha ka woh apni dosto ko Bata dei Lekin phr usne apna irada tark kar diya. Woh janti thi uskei dost usko Kitna bhi samjhle Lekin woh uska Dard nhi mehsoos kar sakte Jo amairah Siddiqui Karti hai.
Woh khamoshi se apni packing Karne lag gayi.

_____________________________________

Subah ka sawera apni Zindagi ka ehsas leta ek dafa phir namudar hua. Thandi haya ka ehsas or haryali ki khusbu ruh ka andar ek sukun sa utar rhi thi. Garden mei beithi sada libas zaib-tab kiye ek aurat hatho mei chai ka cup pakre subah ki thandak saanso se khinch kar ruh ko phoncha Rahi thi.
Unki Nazar parking area mei aatei ek larke pr thehri. Or thehri hi reh gayi. Woh khamoshi se usey dekhti Rahi. Daraz kad, chora jisam, dhoop ki Kiran mei uske halke bhurei rang Baal or aankhein mazeed sunhere lag Rahe the, Uska chejra hamesha ki Tarah sanjida tha, woh mobile Apne kaano se lagai hue tha, shayad woh kisi se call pr tha. Usne nazre ghuma kr inki Tarah dekha toh woh isi ko dekh rhi thi. Woh call par rabta khatam karta inki janib barhne Laga toh woh bhi muskurate hue isey dekhne lagi.
"Assalamualaikum mummy" usne galei se lag kar Salam Kiya
"Walaikumsalam beta" unhone bhi iske gaalo ko bhot muhabbat se chuma "tayariya hogayi tmhari"
"Jii" usne yak lafzi jawab Dena hi munasib smjha
"Phir kab tak niklogei" sawal Kiya gaya
"Abhi toh ek important meeting hai Meri, usse free hoke hi nikluga" usne mobile pr Kuch type krte hue masroof Andaz mei jawab diya
"Chalo phir apna khayal rkhna" unhone kaha
"Ap bhi" usne nazre ghuma kr idhar udhar dekha "wese Azan ali Kahan hai, subah se kahin Nazar nhi aa rahe?" Usne sawaliya Andaz mei pucha
"Woh subah 5 baje hi Nikal gaya tha ka subah hi phonch kr Sara arrangement dekh le or din tak sab ready hojai, aur Ali ko hospital mei Kuch Kam aa gaya tha toh wahin gaya hai toh woh bhi badme hi jaiga, balke tm dono Sath hi chale Jao, isse safar mei zyada bore bhi nhi hogei' muskurate hue kaha toh smne khara Zain bhi muskura diya "jii dekhuga, chale ab mei chalta hu Allah hafiz" phr woh apni gari mei beithta Nikal gaya. Or uski maa usey jata dekh muskurane lagi. Lekin unki muskurahat me bhi chupa Kuch tasur tha jese unhe bhi shayad ilam tha ka agei Jo Hoga woh shayad bilkul acha nhi Hoga. Unhe Apne pairo ka pass kuch mehsoos hua toh unhone dekha. Unke pairo se chipki ek safaid rang ki Persian Billa beitha tha. Unhone nei usey goud mei uthaya "aa jao rusty, ab phr se Kuch dino ka lie hum dono bilkul akele es barey se mehal mei rahegei" woh isey uthati, isse bat krti, Apne Ghar ka andar Jane lagi.
______________________________________

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now