Samne beitha shaks khamosh raha
"

Leyla ne bataya" bhuri aankho ne bs andaza lagaya
"Han..." Sunheri aankhein woh lamha yad krte halka sa has di toh bhuri aankhein heirat se phat gayi "KYAAA??? LEYLAA NE TUMHE BATAYA" "usne yakinan tumse bhi kuch manga hoga"
"Han manga toh hai"
"Aur woh Kya hai?"
Sunheri aankho wala bhuri aankho ka thora nazdeek aaya or sargoshi mei kaha "it's a secret you know"
Aur bhuri aankhein ab heirat ka sath sath ghusse mei bhi lag rhi thi. Usne Apne hath mei pakri kitab sunheri aankho wale ka bazuu pr puri quwat se dei mara
"Ouchhh yeh kyu tha" sunheri aankho wala apna bazuu sehlate hue kehne laga
"Meri marzi ab jao yahan se mujhe kam karna hai" bhuri aankhein khafa thi. Woh apni kitab khol kr wapis parhne lagii toh sunheri aankho ne jhuk ke uski kitab par Nazar dali. Sunheri aankhk mei ta'ajub hua.
"Yeh tumhari book ka Liye hai?" Usne pucha toh bhuri aankho wali ne sar ko asbab mei janbish di
"Acha. Kis barey mei hai" sunheri aankho mei sawal ubhra
Bhuri aankho wali ka lab hilei or usne apni kitabb mei likha pehla jumla dohraya aur phir kaha "muhabbat".
"tumhara Kya khayal hai muhabbat ka barey mei?" Bhuri aankho mei sawal tha. Sunheri aankhei Chand lamha bhuri aankho wali pr markuz Rahi or phir usne kaha "dar"
Bhuri aankho mei nasamjhi ubhri "darr?" ... "Woh kese?"
"Jab hum muhabbat karte hai toh humei usey khonei ka dar toh hota hi hai nah" sunheri aankho ne kaha
"Han yeh bhi hai" ... "Chalo mei Tumhe apni book ka barey mei btati Hun" bhuri aankho mei excitement thi ''Ek ne muhabbat kho di thi toh dusre ne muhabbat Karne ki wajah kho di" "Tumhe Kya lagta hai ka muhabbat jab kho jati hai toh insan kabhi khush hosakta hai ya nhi"
Sunheri aankhein chand lamha khamosh rahi or phir bas yaklafzii jawab aaya "nhi"
Bhuri aankho ne usey dekha or phr kehna Shuru kia "kyu nhi? Ab har chiz toh muhabbat nhi Hoti hai. Kabhi kabhi humara naseeb humei Kisi se muhabbat Karwa Deta hai or phir usko humse dur krdeta hai. Kya yehi zindagi hai? Zindagi bas muhabbat ka hi naam hai?
Shayad han!
Shayad .. han ...
Humare aas pass hamesha koi aesi chiz ya insan zrur hota hai jo humei bhot acha lagta hai.
Jab humei koi chiz ya insan acha lagne lagta hai toh humare Dil mei usey panei ki humari khuwahish paida hoti hai aur phir jab humari khuwahish puri hojati hai toh hun kuch din uska bhot khayal rakhte hai or un Kuch din me woh chiz humare bhot kareeb hojati hai humei esa lagta hai Jese humei ab woh chiz bs achi nhi lagti balke hum usey pasand Karne lag gai hai aur phir kuch dino bad humei ehsas hota hai ka humei usse muhabbat hogayi hai aur phir hum dheere dheere uski ahmiyet bhulne lagte hai. Hum dheere dheere bhulne lag jate hai ka kabhi woh chiz humare lie kitni ahm thi, ya kabhi hum usse kitni zyada muhabbat karte the.
Phir ek waqt aata hai jab hum usey puri tarah kho dete hai.
Aur phir woh bs humari yadoo mei zinda reh jati hai.
Lekin Yahan sawal yeh hai ka 'jinse hum muhabbat krte hai unhe chor dena bhi muhabbat hi hai?'"
Bhuri aankho ne sunheri aankho ko dekha Jo bhot dihan se uski batei sun raha tha Lekin iske Yun khamosh hone pr iski janib dekha "Kya iska jawab mil gaya tumhe"
Bhuri aankhein muskura di aur samne bane jheel ki janib dekhne lagi "iska yaklafzi jawab hai 'nhi' lekin phir bhi iska jawab dhundna itna aasan nhi hai jitna lagta hai"
"Kyu?" Sunheri aankho ne sawal Kiya
"Kabhi kabhi insan kisi majburi mei apni muhabbat chor Deta hai, ya kisi dar ki wajah se, ya family ka lie, ya Apne liye ... Muhabbat chor dene ka bhot sare wajuhat hotei hai Lekin muhabbat qubul karne ka bhot Kam. Dunya me esey bhot Kam log hai Jo apni muhabbat qubul kar lete hai. Aur baqi sab buzdil chor dete hai or phir kehte hai 'koi tha jisse humei muhabbat thi' jese muhabbat nhi koi tamasha ho" akhiri bat ko thori bhari awaz mei kaha gaya tha shayad woh kis ki nakal utar rhi rhi. Uska Andaz esa tha ka sunheri aankhein has di. Phir woh bhi has di.
______________________________________

Present

Sayah aasman par chahya manzar ab dhundla horaha tha. Zain ki aankhein bheegi hui mehsoos hoti thi par woh roo nhi raha tha. Jabke amairah ki aankhein aansuo se tar ho rahi thi.
Zain aur amairah dono apne kamre ki janib murda qadmo ka sath barh gai. Dono ka pairo mei jaan nhi thi.
Amairah ne apni balcony ka darwaza band Kiya or phr apni pusht darwaze se tikai khari hogyi or dheere dheere zameen-bos hoti Chali gayi. Woh ab ghutno mei muh diye hichkiyo ka Sath rooti gayi.
Jabke Zain khamoshi se apne bed ki janib barha or girnei se andaz mei leit gaya phir Kisi gair-murai nukte ko dekhta gehri soch mei kho gaya.
Dono ka dil phat raha tha.
Dono hi aziyet mei the.
Bas farq itna tha ka ek roo kar apni aziyet Kam Karna Chahta tha jabke dusra khamosh reh kar.
Dekhte hi dekhte raat ka chand dhalne Laga or Raat gehri se gehri hoti Chali gahi. woh dono bhi Apne khayalo mei khoye, nind ki waadiyo mei jaa phonchei...

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now